Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Downloaded files safe hai ya unsafe kaise check kare.

Inrermet ka istemaal aaj ke time me sabhi karte hai. chahe wo laptop users ho ya phir smartphone ho. aur internet ke jariye online bhuat tarah ke files download karte hai. jaise - Softwears, PDF files, Images, Photos, Musics aur movies etc.
Internet se download kiye huye files se aapke laptop, destop, ya mobile me virus aane ke chances badh jata hai. mai manta ho ki aaj kal sabhi log apne laptop aur mobile me anti-virus ka istemaal karte hai. magar ye  jaruri nahi hai ki aap laptop ya mobile ka antivirus aapke devic ko virus se se bach sake. isliye aaj mai aapko virus attack se bachne ke liye ek online tool ke bare batene wala ho. jiska use karke aap apne sabhi devic ko virus se bacha Sakte Hai.



Downloaded files safe hai ya nahi online kaise check kare.

download kiya huya koi files aap aasani se check Kar Sakte Hai. iske liye ek website hai hai jiska naam virus total hai. yaha par aap apne har tarah ke files, url, ip address. domain etc check kar sakte hai. is website ka link niche diya huya hai. aap is link par click karke virus total ke website par ja sakte hai.
https://www.virustotal.com/#/home/upload



File - yaha par aap apna download kiya huya softwear, pdf files apk app etc files ko fingerprint ke mark par click karke upload kare. jab aap file 100% upload ho jaye to aap Uoload and scan file par click kar dena hai. aapke upload kiya huye file ka details next page aa jayega.


Url - Url ke option me aap kisi bhi website ka url scan kar sakte hai. man lijiye aap kisi yese website par visit karna ja rahe hai. jis website ke bare aap kuch nahi jante hai. yese websites ke bare me janne ke ye option aapke liye bhuat acha saabit hoga. aapko isme bas kisi bhi website ka url paste karke search ke mark par click karna hai.

Search - is option me aap kisi laptop ya destop ka Ip address aur kisi website Domain name ke bare me jankari le sakte hai. iske aapko jis ip address ya domain ke bare me jankari le chahate hai aap us ip address ya domain ke khali box me dal kar search ke mark par click kar de. kuch sec me aapka search kiya huye ip address ya domain ka details aa jayega.



Browser me Virus total ka extension kaise install kare.




Virus total sabhi device ke liye apna services provide karta hai. jaise -
1 - chrome, mozilla, aur internet explorer browser me extension add kar sakte hai.
2 - Windows, Mac aur linux ke liye destop app download kar sakte hai.
3 - Aap apne smartphone me bhi virus total ka official app use kar sakte hai.


Virus se sirf bacha  ja sakta hai. kyuki kis bhi devic me ek baar virus aa jane ke baad isko hatana  mushkil ho jata hai.
isliye virus se bachane ke liye virus total ka use karna aapke liye jada acha rahega. yese hi ek aur tool ke bare me maine pahle bataya jisme aap apne kisi bhi login id ka password secure hai ya nahi ke bare me pata kar sakte hai.


I hope aapke virus total tool pashand aaya hoga. is post ko facebook par apne dosto ke saath share jaru kare.



Ise bhi padhe:
6 Amazing Websites Jiske bare me nahi jaante hoge
free website kaise banaye full guide hindi me
internet ki speed fast karne ka 6 best tarika
Laptop se wi-fi hotspot kaise banate hai.
mobile ka internet data save karne ke 5 best tarikaa.
phone kharidne se pehle 10 baato ka rakhe dhayan.



This post first appeared on Latest Tech Gyan, please read the originial post: here

Share the post

Downloaded files safe hai ya unsafe kaise check kare.

×

Subscribe to Latest Tech Gyan

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×