Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Jio me mile free voucher/cashback ko recharge me use kaise kare

Jio free Cashback/voucher ko use kaise karen? Jio user jisne 12-18 October 2017 ke bich me 399 Rs jio Recharge kiya tha use pata hoga ki 100% cashback 50Rs-50Rs ke voucher me mila tha. To bahut se users ko confusion hai ki is cashback ko kaise use kiya jaye jo next recharge me 50Rs kam kar de.
Aaj ke post jio free 100% cashback mile vouchers ko kaise use kare is topic par baat karne wale hai jo aapke har jio recharge me 50rs kam kar sakta hai.

jaisa ki aapko pata hai Diwali Dhan Dhana dhan ke name se ye 399rs jio offer aaya tha jo keval 12 October se 18 October tak valid tha.. Agar aapne use time me 399 rs ka recharge kiye the to 50rs-50rs ka 8 voucher mila tha jise 100% cashback bhi bol sakte hai.. Is cashback ko aap 9 November ke baad use kar sakte the. 12 oct se 18 oct me 399 ka recharge kiye the to shayad ab wo expire hone wala ho ya ho gaya ho. To ab next recharge 399rs ya isse uper ke recharge me us cashback ko use kar sakte hai.. Kaise use karen ye steps niche hai

Jio free cashback/voucher ko kaise use kare recharge me


pahle check karte hai aapke pass koi coupon/voucher hai ya nahi..

12 October se 18 October ke bich jisne bhi 399Rs ya usse uper ka recharge kiya ho usi ko ye voucher mila hai.. Pahle ya baad me recharge karne walo ko kiu 100% cashback nahi mila tha. To aapko ye check karna hai aapke pass ko koi voucher hai ki nahi.
Iske liye,
1. MyJio App open karen
Download MyJio App

2. Left side me three row button par click karen.

3. Voucher option par click karen.

4. Yaha aapko apne jio number me available sabhi voucher show ho jayega. Transferable and nontransferable bhi.

5. Aapke number me voucher ho to same niche image me jaisa hai vaise dekh sakte hai.



Kuch aisa show hone par aap har recharge me 50 Rs cashback paane ke liye eligible hai.

jio free recharge/cashback trick
Ab baat karte hai recharge me ise use kaise kare

Recharge process start karne se pahle mai ye clear kar du ki agar aap is cashback ka benefit lena chahte hai to aapko sirf MyJio ke through hi recharge karne lar milega. Agar aap kisi third party service like Paytm, Amazon pay, PhonePe se karte hai to us cashback ka koi bhi benefit nahi hoga. So
1. MyJio App open karen.
MyJio App - Download

2. Left side me three line button mile use tap kar.. Recharge option par click karen.

3. Yaha 3 option milega
1.Recharge your number
2. Recharge for Another number
3.Recharge history
First option me jaye aur next window me apna number type kar process par click karen

4. Ab aapke saamne jio ke sabhi plan show honge. Aapko jo plan lena hai le sakte hai but cashback sirf 399 rs ya usse uper je recharge me hi apply hoga. To 399rs select karen aur niche buy par click karen

5. Ab aap dekhenge ki 8 vouchers me se ek voucher apply ho gaya hai aur jitne ka plan tha usme 50 rs minus (kam) ho gaya hai.
Aapne 399 Rs ka plan select kiya ho to only 349 Rs hi pay karne bola ja raha hai.



6. Niche aapko kuch payment karne ke liye option milega. JioMoney, Paytm, Debit card, credit card, NetBanking.
Aapko jisse payment karna ho kar sakte hai. JioMoney App ya paytm me balance ho to ye jyada better hai.

7. Payment details daalne ke baad process karne par aapka number recharge ho jayega.
Thodi der me message bhi aa jayega ki recharge ho chuka hai.

Is payment methods me paytm hai to sirf aap wahi se hi paytm select kar skate hai jo OTP process se recharge hoga. Agar aap paytm ke website ya app se recharge karte hai to wo voucher apply nahi hoga..

jio SIM free me recharge kaise kare
Kuch important baate:
1. 50 Rs ka voucher tabhi use hoga jab aap 399 rs - 9999 Rs ke bich koi bhi recharge karate hai. 51Rs 153Rs etc me apply nahi hone wala.

2. Aap sirf apna number hi recharge kar sakte hai. Soch rahe honge dosto ka bhi recharge karke 50 Rs extra le lu... To ye nahi ho sakta.
Jis number se voucher mila hai usi me hi recharge hoga.

3. Kisi bhi third party app ya website se recharge karne par bhi ye coupon apply nahi hoga.

4. Bahut se third party apps aur website recharge karane par cashback deta hai. jaise paytm, phonepe, etc. agar isme aapko 50rs se jyada ka cashback mil raha ho to isi se karana better hai. jo pahle PhonePe, paytm me bhi check kar le koi offer to nahi chal raha. jaise Amazon pay se mujhe 99rs ka cashback mila tha.

i hope guys Jio free Cashback/voucher ko use kaise karen is post se aapko help mili hogi. agar aapko isme kahi bhi kuch bhi problem ho to comments karke puchh sakte hai. Agar aaoko jio ki taraf se cashback milta hai to is post ko aone friend ke sath share karen. thanks for reading.

Recommend post:
5 tarike - App unfortunately has stopped problem fix karne ke liye
Marshmallow ya Samsung me font style kaise change kare


This post first appeared on ITrickGuru, please read the originial post: here

Share the post

Jio me mile free voucher/cashback ko recharge me use kaise kare

×

Subscribe to Itrickguru

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×