Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Threading Karne Ka Tarika



Ghair zaroori balon ko dhagay ke zariye ukharne ke amal ko Threading kaha jata hai. Is amal ke zariye balon ko ukharne se in ki jarein kamzor nahi hoti ise har 15 se 20 din ke baad karte rehta zaroori hai agar sahi tarika ikhtiyar na kya jaye to bal jar se nikalne ki bajaye darmyan se toot jate hein aur aainda pehle se zyada mote aur bhari baal ugne lagte hein aur therading ka asal maqsad poora nahi hota.
Threading ka pehla usool ye hai ke sab se pehle balon ki simt maloom karli jaye. Simt ka tayyun is liye zaroori hai ke is tarah threading ke doran aap ba asani balon ki jaron se nikalne Mein kamyab hongay.
Agar eye brow ko matlooba shape mein lane ke liye threading ki jaye to zaroori hai ke aap pehle sahi shape ka tayyun kijiye. Eyebrows ki shape kai tarah ki hoti hai. Bareek moti, mamooli kham wali ya kaman dar waghera. Eye pencil ki madad se matlooba shape ka nishan laga lijiye. Phir threading shru kijiye jo baal nishan se bahar ho unhein threading ke zariye alehda kar dijiye. Eyebrows ki tashkeel ke liye shape ka tayun behad zaroori hai is tarah kam ya zyada baal nikal jane ka ahtemal nahi rehta.


Threading Karne Ka Tarika:
Sab se pehle dhaga dono hathon mein daal kar 4 ya 5 bal dijiye phir hathon ki harkat se balon ko 1 simt se doosri simt mein laye. Is tarah simt badal kar dhage ke pressure se balon ko dhage mein phansaye aur balon ki mukhalif simt mein halka sa dabao dijiye is doran jild ko tight rakhey. Baal jar se nikal aayengay.

Safety Precuations For Threading:
Agar chehre ki threading karna ho to sab se pehle chehra dho kar achi tarah khushk kar lein. 
Chehre par kisi qism ki cream ya chiknai waghera nahi honi chahiye. Warna dhage ke slip hone ka khatra hota hai. Slip hone ki soorat mein baal jar se nikalne ki bajaye darmiyan se toot jayengay.
Chehre ya jism ki kisi bhi hisse ki threading se qabal powder zaroor lagaye. Power jild par mojood chiknai ya pasina waghera jabz kar leta hai.
Threading karte hue dhaga bohat zyada tight hargiz na rakhey. Dhaga tight rakhne se baal na sirf toot jayegnay balke skin par cut bhi lag sakta hai.
Threading ke doran jild ko tight pakarna chahiye. Agar jild dheeli hogi to dhage ke bal ki zad mein aa kar cut sakti hai.
Threading ke baad skin sensitive ho jati hai. Is liye threading ke foran baad jild ko har kisam ki tapish jese tez dhoop aur choolhe ya heater waghera ki heat se door rakhna chahiye warna dhabbe parne ka khatra hota hai.


This post first appeared on Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Ti, please read the originial post: here

Share the post

Threading Karne Ka Tarika

×

Subscribe to Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Ti

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×