Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Home Remedies For Tonsils

 6 Easy Home Remedies For Tonsils

Tonsils are a common disease in children, but most adults are also affected. 

Common symptoms of tonsillitis include sore throat, fever, swelling, runny nose, difficulty swallowing, bad breath, cough and sneezing.

Tonsillitis is transmitted through coughing and sneezing, so it must be treated immediately. Thus, antibiotics are used for tonsillitis. But as soon as the symptoms appear, home remedies can also prevent the infection.

1. Honey: Honey is very useful for any sore throat including tonsils. Put honey in lukewarm water and use it. Honey reduces sore throat and soreness.

2. Lemons: The antibacterial and antiviral properties of lemons protect against infections. Vitamin C in it gives the body the ability to avoid infection. Add a lemon juice, a pinch of salt and a teaspoon of honey to a glass of lukewarm water. Drink this water slowly twice a day.

3. Basil Leaves: Basil leaves have antiviral properties. They reduce sore throat as well as swelling and pain. Put 10 to 12 basil leaves in one and a half cup of water and boil. Cook for ten minutes and strain. Add lemon juice. Drink two to three times a day.

4. Turmeric: The antiseptic properties of turmeric eliminate tonsillitis and soothe sores. Add a tablespoon of turmeric powder to a glass of warm water. And gargle with this water several times a day, especially at night before going to bed.

5. Cinnamon: Cinnamon is also used to treat tonsillitis. Cinnamon inhibits bacterial growth in the tonsils and reduces inflammation and pain. Add a teaspoon of cinnamon powder to a glass of warm water, add two teaspoons of honey. Drink twice a day for a week.

6. Figs: Figs are also very useful in treating tonsillitis. Reduces pain and inflammation caused by tonsils. Boil 3 dried figs in water and soften them. Mash them and mix a tablespoon of honey and eat it two or three times a day. In case of tonsillitis, take special care of cleanliness. If there is an infection, rest more and talk as softly as possible and use more water.

Tonsils Ka Gharelu Ilaj


Tonsils bachon Mein hone wali aam bimari ha jabke aksar bare bhi is se mutasir ho jate hein. Aksar viral ya bacterial infection ki waja se tonsils barh jate hein. 
Tonsils ki aam alamat mein galay ki kharash, bukhar, soojan ho jana, naak behna, nigalne mein takleef hona, saans mein badboo, khansi aur cheenkein shamil hein.
Tonsils ki beemari khansi aur cheenko ke zariye 1 doosre ko lagti ha is liye iska fori ilaj zaroor hota ha. Youn to tonsils ke liye anti biotics ka istemal karaya jata ha. Lekin alamat zahir hone ke sath hi gharelu ilaj ke zariye bhi infection se bacha ja sakta hai.
1. Honey: Tonsils samet galay ke kisi bhi marz ke liye shehad ka istemal behad mufeed ha. Shehad ko neem garm pani mein daal kar istemal karein. Shehad galay ki soojan aur takleef ko kam karta hai.
2. Lemon: Lemon mein mojood anti bacterial aur anti viral khusoosiyat infection se bachati ha. Is mein mojood Vitamic C jism ko infection se bachne ki salahiyat faraham karti ha. 1 glass neem Garam Pani Mein 1 lemon juice, 1 pinch salt aur 1 teaspoon shehad shamil karein. Din mein 2 martaba is pani ko ahista ahista piyen.
3. Tulsi Ke Patte: tulsi ki patto mein anti viral khusoosiyat hein. Ye galay ki kharash ko kam karne k sath soojan aur dard ko bhi kam karte hein. 1.5 cup pani mein 10 se 12 tulsi ke patte daal kar josh de lein. 10 minute tak paka kar chhan lein. Is mein lemon juice shamil karein. 2 se 3 tak din mein 3 martaba piyen.
4. Haldi: Haldi mein mojood antiseptic khusoosiyat tonsils k infection ko khatam karti hein aur kharash mein aram deti hein. 1 glass garam pani mein 1 spoon haldi powder shamil karein aur is pani se din mein kai martaba gharare karein khas tor par raat ko sone se pehle.
5. Daarcheeni: Daarcheeni ko bhi tonsils k ilaj ke liye istemal kiya jata hai. Daar cheeni tonsils mein bacterial ki growth ko rokti ha aur soojan dard aur sozish ko kam karti ha. 1 teaspoon daarcheeni powder 1 glass garam pani mein shamil karein, is mein 2 teaspoon honey dalein. 1 week tak din mein 2 martaba piyen.
6. Injeer: Tonsils k ilaj mein injeer bhi bohat mufeed ha. Tonsils ki waja se hone walay dard aur sozish ko kam karti ha. 3 adad khuskh injeer pani mein boil kar ke naram kar lein. Inhein mash kar ke 1 tablespoon honey milayen aur din mein 2 se 3 martaba rozana khayen. Tonsils hone ki soorat mein safai ka khas khayal rakhein agar infection ho to ziyada aram karein aur jitna mumkin ho ahista ahista baat karein aur pani ka istemal ziyada se ziyada karein.


This post first appeared on Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Ti, please read the originial post: here

Share the post

Home Remedies For Tonsils

×

Subscribe to Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Ti

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×