Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Quick Weight Loss Tips In Urdu

Quick Weight Loss Tips In Urdu


Ye qudrat ka 1 aesa tohfa ha jo mukhtalif qisam ki tibbi masail ke ilaj ke liye istemal kiya jata ha magar kiya aap ko bhi ye maloom ha ke agar baqaidgi ke sath zeera istemal kiya jaye to ye 15 se 20 roz Mein insaan ka wazan kam kar deta hai.
Fast weight loss ke liye zeera 1 intahai moassar mawad ha is liye ke ye hararon ko jalane mein madad karta ha. Is ke ilawa bhi zeeray ky bohat fawaid hein jin mein cholesterol ko kam karna, heart attack ke khatraat ko kam karna, Yaddasht barhana, quwat e madi'at ko barhana, khoon ki kami ko door karna aur hazmay ke amal ko behtar banana shamil ha. To chalay nazireen aap ko kuch tarike batate hein jis ko istemal kar ke aap 1 din mein half kg wazan kam Kar Sakte Hein. Aap ko chand jaldi wazan kam karne ka tarika batayengay aur jo aap ko asan lage aap wo istemal kar sakte hein aur motapay se mukammal nijat pa sakte hein.
Nuskha # 1: Zeeray ka mashroob tayyar karne ke liye pani mein 2 spoon zeera daal kr raat bhar ke liye bhigo dein subah is ko ubal kar chaan lein aur mashroob mein half lemon nicor lein. Mashroob ko 2 hafto tak nihar moo pee lein jis ke baad aap khud faraq mulahiza karengay.
Nuskha # 2: Dahi ke sath Pisa Huwa Zeera moassar tor wazan mein kami ke liye 1 chammach pisa huwa zeera 5 gram dahi mein mila kar rozana khaya ja sakta ha.
Nuskha # 3: Shehad ke sath zeeray ka mashroob pani mein 3 gram pisa huwa zeera hal karein aur is mein chand qatray pure honey mila kar nosh farmayen.



This post first appeared on Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Ti, please read the originial post: here

Share the post

Quick Weight Loss Tips In Urdu

×

Subscribe to Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Ti

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×