Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Deobhumi Rishikesh

22.06.2007

Din ki shuruwat huyi...Rishikesh ka saundarya aankhon me sama gaya...Wah!!! Prakruti ka anupam tohfa...aap bhi iska luft uthaiye...niche ki tasvir dekh kar... :-)



Fatafat ready huye...humari School jisme hum ruke the wo Ram Jhule ke pass hi thi...Ram Jhula paar karke...waha ki ek tapri pe chay-suwali ka maja liya...

Iske pashchaat humne Geeta Bhawan...Parmarth Niketan...Vanprasth Aashram...Swargashram...ye mandir dekhe...

Baba Bhuthnath ka mandir kuch uchai pe tha...to hum log waha gaye nahi...Parmarth Niketan me bani 12 avtaaron ki jhakiyan evum kaanch ke mandir manmohak lage...

Lunch...Chotiwala me kiya...Chotiwala naam ka bahut hi badhiya restaurant hai waha...yahaka vishesh aakarshan...restaurant ke baahar baithne wale Chotiwale hai...



Lunch ke pashchaat...Neelkanth Mahadeo ke liye nikle...ye kuch 10-12 km ki duri pe hai...Uchi uchi pahadiyon ke bich Bholenath ka puratan mandir...karibi logo ki bahut shraddha hai uspar...

Neelkanth ke dwar pe mattha tek kar nikle...taxi ke sabhi log aane baki the...pattharon par baithke intezaar jari tha...Neelkanth Mahadeo hum log ek local taxi se gaye the...

Wahase lautne ke baad...Laxman jhula...11 manjila mandir dekha...Mandir ke bhitar hum log gaye nahi...bahut thake huye jo the...

Lautkar packing ki...mai aur Papa...bus stop jakar...Mathura ki bus ke liye inquiry karke aaye...

Parmarth niketan dwara ki jane wali Ganga Arti ke baare me Samta Mausi se kafi kuch suna tha...uske darshan lene baki the...Parmarth niketan pahuche...Nikhil ka Gangaji me nahane ka bahut mann tha...usne apni jidd puri ki...

Parmarth Niketan ke saare anuyayi aarti ke pahle bhajan-kirtan karte hai...Yagya bhi kiya jaata hai...hawan ke pashchaat aarti ki jaati hai...visheshta to iss baat ki hai ke Pancharti har aadmi ke haath me di jaati hai taki wo bhi apni Gangaji ki aaradhna kar sake...bahut aanand aaya aarti karke...




Aarti ke baad...school pahuche...hum log school me hi ruke the...luggage liya...bus stop pahuche...Mathura humara intezaar kar raha tha......



This post first appeared on Spring Of Thoughts, please read the originial post: here

Share the post

Deobhumi Rishikesh

×

Subscribe to Spring Of Thoughts

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×