Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Sandeep Maheswari Biography | Success Sandeep Maheswari Ka Jeevan In Hindi

Sandeep Maheswari, Ek Aisa Naam Jisse Sunkar Students Ko Motivation Word Yaad Aa Jate Hai.
Sandeep Maheswari Bahut Bade  Entrepreneur hai. Jo Apni Life Ke Bahut Failure se Seekhane Ke bad Unhone Apni life Me Wo Mukam Hasil kiya hai Jo Har Koi Karna chahta hai. 

Sandeep Maheswari Family:
Sandeep Maheswari Ka Janam: 28-Sept. 1980 ko Hua.Wo Middle class Family Se Belong Karte the
Sandeep Maheswari ji Ke Father ka Aluminum ka Business Karte The Par Wo Business Ek Din Fail ho Gya aur Financial Conditions Thodi Kamjor Ho Gyi.



Sandeep Maheswari Education:
Sandeep Maheswari Kirodimal College (किरोड़ीमल कॉलेज) Se Bechlar Of Commerce Ki Degree Le Rhe The Tabhi kuch Personal Karano Se Study Chhodni Padi.

Struggle Life :
Year 2000 Me  Unhone Apni Man Ki Awaj Se Photography Career ko Chuna. Iske Liye Unhone Freelancer Ke Rup Kaam bhi Kiya. Year 2001 me Iske Bad Unhone Kai Marketing Companies Me Apna Career Bnane ki Koshish Ki Par wo Usme Bhi Success nhi Ho Paye. Iske Bad 2002 Me Unhone Aur Unke 3 Dosto ne Ek Company Shuru ki Par ye Kuch Jyada nhi Chal Saki Ye Bhi Band Karni Padi. Wo Fir Se unsuccessful Ho gye. Unhone 2003 Me Ek Marketing Firm Ki shuruaat Ki Aur Isko Badawa Dene Ke Liye unhone Ek Book Bhi Likhi. Aur Unki Jeevan Me Ek Aur Nakamyabi Hath Lagi. Unhone Fir se Apne Interesting Subject Photography Me Apna Career Bnane Ka Nishchay Kiya.

Ek Career Ki Shuruaat:
Unhone 2004 Me Ek Website Launch Ki Jiska Naam hai Imagesbazaar.com | Is Website Par Indian Photography Ke Sabse Jyada pictures hai. Jo ki 800,000+ Se Bhi Jyada Hai. Aur Isi Ke Sath Is site Ke Dwara Bahut World Records Bhi Bane Hai. INDIA me Lagbhag 11000+ Photographer Es Site Ke Photos Khichte Hai. Jab Sandeep Maheswari ji Apna Photography Career Start kiya tha Jab wo 12000 Ka Camera Leker Aaye.  Jisse Bal Par Unhone Apni Company Imagebazaar.com Kholi Jiska Yearly Turn-Over 10 Karod (करोड़  रुपए) Rupey Ka Hai.

Ye Un Logo ke Liye Sabak Hai Jo Koshish Karne Ke Bad Nakam Ho Jate Hai Ya Apne Mind Unsuccessful Ka Naan leker Bhaith Jate hai. Par Sandeep Maheswari ji Ese logo ko Motivate Kane Ka Accha Kaam bhi Karte Hai. Agar Apne Unke Seminars Dekhe Honge to App Samjh Gye Honge Ki Motivation Karna Kitni Acchi Activity Hoti hai Jo Dusro ko Success Tak Leke Jaa Sakti hai
Agar Apne Seminars Nhi dekhe hai to Sandeep Maheswari ji ki Official Site Par Jaa Kar Download Kar Sakte Hai. Aur Online Youtube Par Bhi Dekh Sakte Hai. {youtube ke Liye Yaha Click Kijiye}

Jo Log kisi ke Neeche Pressure Me Rehkar Koi Bhi Work nhi Karna Chahte Aur  Apne App Ander Ki Awaj Aur Koi Intresting Scope Chunna Chahte hai. Sandeep Maheswari Bhi Unme Ek Hai. Jo Indian Ke Top Entrepreneurs Ki List Me Aate Hai
Sandeep Maheswari Ji Ke Seminars Me  Bhi Esi hi Guidance Dete hai ki Jeevan Me Koi Kaam Kathin(कठिन) nhi hota hota Bus Dekhne Ka Najariya Hota Hai. Aur Kisi bhi Kaam Ko Ek Sabd Bahut aasan bana Deta Hai "AASAN HAI "

Sandeep Maheswari Ji Kitni Unsuccessful Ke bad Aaj Wo Imagesbazaar.com Ke CEO aur Founder Hai. Har Koi Unke Jivan Ki Story Jaanna Chahta Hai. Sandeep Maheswari Ji Ne Apne Mahan Vichar Aur Thought Ke Liye Kaafi Saare Award Bhi Prapt Hue Hai. Unhone Tomorrow Award ka Pioneer  , aur Star Achiever Award Ko Jeeta Hai. UnHone Apne Photography Ko Itne Confidance aur Dil Se Kiya hai Ki World Record aur Limka Book Record Me Unke Record Bhi Dard hai.

Contact kaise kare :

Jo Ek bar Sandeep Maheswari Ji Ke Seminar Dekh Leta hai to Wo Unse Milne Ke liye Har Dam Betab Rhta hai Kyu Ki Unke Thought Ka Jaadu Kuch Esa Hai. Yaha Tak ki Ladkiya Bhi Unse Kaafi Impress Ho Chuki hai. Bahut Si Ladkiya Unki Wife Ke Bare Me Jaanne Ke Uthahit (उत्साहित) Rahti hai. Agar App Student ke Liye College and Institute Me Unka Seminar Karwana Chahte hai to App
Unke Partner Ashok Mishra ji Se [email protected] Par Contact Kar Sakte hai.
Aur App Sandeep maheswari Ji Ke Mail [email protected] Par Mail Kar Sakte Hai. Aur maje Ke Baat Ye Hai Ki Inke Jitne Bhi Seminar hue Hai Sab Free me Hue hai. Yaani Abhi Tak Unhone Iske Liye Koi Fees Nhi Hoti hai. 
Ye Bhi Pade: Sandeep Maheswari Ji Ke live Seminar Me Jaane Ki Process


To Sandeep maheswari Ji ki Biography Har Insaan Ko Movitation Message Deti Hai Ki Insaan Ek Haar Se Rukna nhi Chahiye , Zindgi Me Event Aate Rhenge aur Jaate Rhenge Kisi na kisi Event me Success Hone se apki life Change Ho Sakti hai.
Kyu Ki Ye Bhi "ASAN HAI"

To Please Hame Comment Ke Jariye Batana Ki Ye Biography Kaise Lagi. Agar Koi Sawal hai to Comment Ke Jariye App Puch Sakte hai.

THANKS FOR READING ALL, ALL THE BEST 


This post first appeared on My Hindi Help, please read the originial post: here

Share the post

Sandeep Maheswari Biography | Success Sandeep Maheswari Ka Jeevan In Hindi

×

Subscribe to My Hindi Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×