Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Online Voter ID Card Ke Registration Kaise Karte Hai | Hindi Guidance

Hi Dosto, Jaisa Ki Mene Pichle Posts Me Bataya Ki Har jaruri Kaam Aaj-kal Online Hone Lag Gye hai. Ek Aur Kaam Jo 18+ Age ke Person Ke Liye Bahut Jaruri hai Wo Kaam Bhi Online Ho Sakte hai Ji Me Baat Kar rha Hu Voter ID Card Registration Ki, App Apna Voter ID Card Registration Online Bhi Kar Sakte hai. Jisme Apko Kahi Aur Jaane Ki Jarurat Nhi hai. Ghar Par Internet Ka Upyog Karke Online Voter ID Ke Liye Registration Kiya Jaa Sakta hai. Bus Is Article Ko Dhyan Se Padna Hai Aur Ek Normal Form Bharne Ke Liye Taiyar Rahna hai

Ye Bhi Padiye: Online Electricity Bill Payment 2 Min. Me Kaise Karte hai

HOW TO REGISTRATION FOR VOTER ID CARD:
Online Voter ID Registration Ke Liye Apko National Voter Service Portal Ki Website Par Jaana Hoga Waha Apko Online Registration Ke Liye Form No. 6 Ko Bharna Hai.

Form No.6 Ki Direct Open Karne Ke Liye Yaha Click Kijiye.

Form No. 6 Par Jaane Ke Bad App Apne Samajh Ki Language (भाषा) Chun Sakte hai. Jisse Apko Form Bharne Me Pareshani Na Ho. Meri Language Hindi hai To Me Hindi Me Apko Bataunga.

Voter ID Ke Liye Required Documents: 
Voter ID Registration Ke Liye Apko 3 Document Ki Jarurat Padti hai. Jinhe Form Me Upload Kiya Jaata hai
  • Passport Size Photograph
  • Identity Proof
  • Adress Proof
  • Email ID

    YE Bhi Pade: Train Ki Correct Location kaise Jaane
Sabse Phele Me Apko Bata Du Ki Registration Form Ko 4 Part Me Divide(बांटा)  Kiya Gya hai. Jisme Kuch Is Tarah Ki Detail Deni Hoti hai.
  1. Applicant Detail
  2. Place and Ordinary Detail
  3. Family Detail and Uploading Documents
  4. Declaration
Registration Process:
#
Registration Form Open karne Ke Bad Jaisa App Image Me Dekh Sakte hai. Apko Form fill Karna hai Ye Image Ke Point Aur Es Post Ke Point Matching Karenge Aur Esi Ke Sath App Acche Se Samjh Payenge.
  1. State Option Me Apko Apna State (राज्य ) Chunna hai 
  2. Usi Ke Sath State Me Apne District Select Karna hota hai.
  3. Esi Ke Sath Part 1 Ki Process Me Applicant Ki Detail Deni hoti hai Jisme Naam Ko English Me Type Karna hota hai Aur Automatically Wo Apni language Me Change Bhi ho Jata hai
  4. Esi Tarah Apne Sir Name Ko Type Karna hai. Jisse Wo Bhi Side Me Regional Langauge Me Change Ho jata hai.
  5. Voter ID Form No. 6 Filling 
  6. Is Number Par Apko Male/Female (पुरुष , स्त्री ) Me se Jo App ho Wo Chunna hai. 
  7. Apko Ab Apne Birth Place(जन्म स्थान ) Ke Baare Me Jaankari Deni Hoti hai
    Birth Place Me Apko Apna Birth Place State Chunna hai 
  8. Birth State Me Apko District Select Kar Sakte hai
  9. Ab Apko Apne Town Ya Village Jisme Apne Janm Liya hai. Uske Baare Me Detail Bharni hai.

    Ye Bhi Pade: Bank Helpling Number Se Help Le
  10. Aur final Me Apko Birth Place Daalna hai.
  11. Iske Baad Apko Apne Father/ Mother Me Se Ek Ki Detail Naam Daalni Hoti hai.
  12. Aur Unka SurName Daalna hai.
  13. Aur Unka Apke Sath Relationship Kya hai Wo Detail chunni hai
    Registration For Voter ID
  14. Isi Ke Sath Part 3rd Start Ho Jaata hai. Jisme Apko Apne Place Ki Detail Puri Daalni Hoti hai. Jisme House No. Daalna hai
  15. Uske Bad Mohhlla , Galli ki Detail Deni hai.
  16. App Jis Village Me reh Rahe hai Uska Naam Daalna hai

    YE bhi Pade:  Online Mobil Recharge Kaise Karte hai
  17. Is Number Par Apne Post Office Place Ki Detail Deni hai
  18. Aur Apne Place ka Pin Code Number Daalna hai.
    Registration Guidance For Voter ID

  19. Is Point Par Apko Apne Thana, Aur Tehsil Ki Jaankari Deni Hoti hai.
  20. Fir Se Apna District Select Karna hai
  21. Fir Apko Apna Working Mobil Number Dena hai. Jo Upyog Me Ho.
  22. Iske Bad Email ID Me Apko Apni Email ID Daalni hai. Aur After Registration Us Email ID Par Mail Aa Sakte hai. Jisme Apke Voter ID Ki Jaankari Mil Jaati hai.

    Yaha Tak Ki Process Complete Hone Ke Bad Part 2 Tak Form Fill Ho Jata hai.
Process Part 3rd Ke Liye New Step Ke Sath Registration Karna hai
  • Is Part me Apko Apne Family Detail Deni Hoti hai. Jisme First Option Par Father Ka Naam Aur Relation Aur Kuch Number Daalne Hai Jo Father Ke Voter ID Card Me Print hote hai
    Is Form Ko Bharne Ke Liye Apko Unke Voter ID Card Ki Jarurat Padegi.
  • Usi Ke Just Neeche Apko Apne Mother Ki Detail Deni hai Aur Unke Voter ID Par Print Kuch Number Form Me Submit Kar Sakte hai

    Ye Bhi Pade:  Free Me Blog Kaise Bnaye 
  • Iske Bad Apko Apne Document Attach Karne hai. Sabse Phele App Apna Colourfull Photo Upload Kare , Uske Bad Apne Identity Proof Upload Kijiye , Aur Last Adress Proof Upload Karne hai
  • In Uploading Ke bad Part 3rd Bhi Pura Fill Ho Jata hai.



Registration Guidance in Hindi Voter ID


  • Part 4 Registration me Apko Bus Declaration karni Padti hai Ki  Apne Jo Uper Detail Submit Kar Di hai Wo Bilkul Sahi hai 
  • Isme Phele Place Ki Declaration Karni hai Aur Jis Din App Registration Kar Rhe hote hai Us Din Ki Date Select karni hai



Final Steps For Voter ID Card



  • Uske Bad place aur Date Agains se Daalni hai 
  • Form Fill ho Gya hai Par EK Bar Apni Detail Jarur Check Kare Aur Verify Karne Ke Bad Save Par Click Kar De
  • Isi Ke Sath Apka Voter ID Registration Complete Ho Jaata hai Aur Apko Information Email Ya Mobil Par Sms Dwara Mil Jayegi.

    Ye Bhi Padiye: Whatsapp Ko computer Par kaise chalate hai
Voter ID Card Banne Me Normal Waqt Lagta hai Jo 5+ Month Se Jyada Kaa Ho Sakta hai. Apko Iske Liye Wait Karna Padega.
To Dosto App Samajh Gye honge ki Online Work Karne Kitna Maajja Ata hai Aur time Ki Bhi Bahut Bachat Hoti hai.
To Umeed Karunga Ki App Is Post Ko Facebook Par Jarur Share Karenge Aur Jarurat Mand Logo Ki help Karenge !
Thanks For Reading & All The Best...


This post first appeared on My Hindi Help, please read the originial post: here

Share the post

Online Voter ID Card Ke Registration Kaise Karte Hai | Hindi Guidance

×

Subscribe to My Hindi Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×