Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Blogger Blog Ki Sabhi Post Me Adsense Ads Kaise Lagaye

Blogger blog ki sabhi post me Adsense ads kaise lagaye iss post me hum janenge. Dosto aage badhne se pehle hum ye maan leta hai ki aapne blogger par blog bana liya hoga. Aur sath hi aapka adsense account bhi approved ho gaya hoga. Ab next process me aapko adsense ke ads apne blogger blog ki har post me lagane hai.

Lekin isse pehle aapko apne adsense account par ads code banana hoga. Aur uske baad adsense ads code ko apne blogger  ke html section me add karna hai. Google adsense par ads create kaise karte hai ye mein aapko pichli post me bata chuka hu. Ab janate hai ki blog me adsense ke ads kaise lagate hai.

Blogger Blog Ki Sabhi Post Me Adsense Ads Kaise Lagaye

Niche diye steps ki help se aapne sirf ek baar apne blogger blog par adsense code add karna hai. Iske baad aapki sari post me adsense ke ads show hone start ho jayenge. Matlab aapko har ek post me ads code lagane nahi padenge. To chaliye ab step by step start karte hai ki blog ki sabhi post par adsense ke ads kaise dikhaye.

  • Adsense Par Custom Channel Create Kaise Kare

Step 1

Blogger blog ki post me adsense ke ads past karne ke liye sabse pehle apne blogger dashboard me login kare.

  1. Theme par click kare.
  2. Edit HTML button par click kare.
  • Online Image Compressor Se Blog Ki Image Size Reduce Kaise Kare

Step 2

Edit html button par click karte hi next window me html page open hoga. Isme Ctrl+F key press kare aur search kare.

  • Blogger Template Ko Mobile Friendly Kaise Banaye

Step 3

Ab jo adsense ads code aapne apne adsense account me banaya hai. Usse niche diye gaye code ke beech me (paste your adsense ads code here ki jagah par) paste kar dijiye.  Adsense ads code ko paste karne ke baad ab pura code copy kare. Agar abhi ads code nahi banaya hai to pehle adsense me ads code create kar lijiye.

PASTE YOUR ADSENSE ADS CODE HERE

Note: Agar ads ko post ki left or right side me show karna chahte hai. To upar diye code me “center” ki jagah par “left” or “right” edit kar sakte ho.

  • Blog Post Ko Schedule Kaise Kare

Step 4

Ab copy kiya code ke thik upar paste karna hai. Html section me code ek se jyada bar yani ki kai jagah par hoga. Aapko 2nd code se pehle hi apna ads code paste karna hai. 

  1. Code ko se pehle paste kare. Agar ads post ke end me show karna hai to ke thik niche code paste kare.
  2. Finally save theme ke button par click kar dijiye.

Lijiye dosto aapka kaam ho gaya hai. Ab aapko manuel har ek post me adsense ads ke code paste karne ki bilkul bhi jarurat nahi hai. Iske baad aapke blog ki har post me adsense ke ads show hone start ho jayenge.

Ummeed hai ki blogger blog ki sabhi post me adsense ads kaise lagaye, ab aap samajh hi gaye honge. Phir bhi post se related aapka koi bhi saval ho to comment ke through puch sakte ho. Aur agar ye jaankari aapko helpful lagi ho to isse apne friends ke sath share jarur kare.

The post Blogger Blog Ki Sabhi Post Me Adsense Ads Kaise Lagaye appeared first on Hinglish Help.



This post first appeared on Hinglish Help, please read the originial post: here

Share the post

Blogger Blog Ki Sabhi Post Me Adsense Ads Kaise Lagaye

×

Subscribe to Hinglish Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×