Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

قوم سبا پر اللہ کے عذاب کا واقعہ

 قوم سبا پر اللہ کے عذاب کا واقعہ

asslam o alaikum Dosto Aj K Is Blog Main Main Ap K Sath Ek Islami Waqai Share Kerne Ja Raha Hu Jo Kah Ek Qoom Ka Hai Jis Ka Name Qoom e Saba Tha Is Qoom Per Allah Ka Azam Ku Or Kaise Aya Wo Sab Kuch Main Ap Ko Aj K Is Blog Main Share Karon Ga Is Liye Is Pure Blog Ko Perye Ga Or Is Main Jo Jo Batain Bati Gai Hai Un Per Amal Karein or Jin Kamo Se Roka Gia Hai In Se Bazz Rahe Or Agr Yeh Aj Ka Islami Waqia Ap Ko Acha Lage To Is Ko Apne Doston K Sath Share Bhi Karein Or Apni Qeemti Ray Ka Izhar Zaroor Karein TO Chaliye AJ Ka Waqia Shuru Kerte Hain.

Qoom e SABA ALLAH Ka Azab



Ahl-e-Sarsar ki ek qaum jise qaum Saba bhi kaha jata hai. Allah Ta'ala ki beshumar nematon ke andar zindagi guzar rahi thi. Yeh qaum ek azeem tahzeeb-o-tamaddun ki maalik thi.

Hazrat Dawood (AS) aur Hazrat Sulaiman (AS) ki baa'zimat hukumaton ke baad, unki hukumat zaban zad khaas-o-aam thi. Kaha jata hai ke yeh log gehun ke maghaz se aata pis kar rotiyan pakate the.

Lekin iske bhar akse woh itna israf karne wale aur nashukre the ke unhi rotiyon ke saath bachon ka pakhana saaf karte the. Baad azan un aaluda rotiyon ko ikattha karne se ek pahaad ban gaya tha.

Phir ek saaleh shakhs ne wahan se guzarte hue ek aurat ko dekha, jo roti ke saath bachay ka pakhana saaf kar rahi thi. Us shakhs ne aurat se kaha, "Tere upar afsos hai. Khuda se dar kehin aisa na ho ke Khuda tere upar apna ghazab dhaye aur tujh se apni nemat cheen le." Us aurat ne jawab Mein mazaak uraya aur maghroorana andaaz mein kaha, "Jao jao, goya mujhe bhook se dara rahe ho. Jab tak sarsar jaari hai, mujhe bhook se kisi qisam ka koi khof nahi hai."

Koi zyada arsa nahi guzra tha ke Allah Ta'ala ne un logon par apna ghazab dhaya. Paani, jo ke zindagi ki bunyad hai, un logon se cheen liya. Yahan tak ke qahat nazil hui. Baat yahan tak pahunch gayi ke in ki zakhira ki hui tamam ghiza khatm ho gayi.

Aakhir kar woh majboor hogaye ke unhein aaluda rotiyon par tut padega, jo un logon ne ikatthe kar ke pahaad ke manind dher lagaya hua tha. Balki wahan se roti lenay ke liye saf lagni, taake har koi wahan se apne hisse ki roti le sake.

Kufran-e-nemat, qahat, aur un ki badhaali ke bare mein moutadid riwayaat mojood hain. Surah Nahl ki ayat number 171 aur 173 mein yun irshaad hota hai:

"Aur Allah ne is basti ki bhi misaal bayaan ki hai, jo mahfooz aur mutmaeen thi. Is ka rizq har taraf se baqaeda aaraha tha, lekin is basti ke rehne walon ne Allah ki nematon ka inkaar kiya, toh Khuda ne unhen bhook aur piyaas ka maza chakhaya, sirf un ke an-aamaal ki wajah se ke woh jo woh anjaam de rahe the."

Aur yakeenan un ke paas rasool aaya, toh un logon ne usko jhutlaya. Toh phir un tak azab aapshuda hua ke yeh sab zulm karne wale the.

Isi Saba qaum ke bare mein ek aur waqia bayan hota hai ke un logon ne apni zara'at ko behtar taur par kasht karne ke liye paani zakhairah karne ki khatir, Balq ke do pahaadon ke darmiyan ek bohat bara band muraab taameer kiya hua tha.

Soorakh aur doosre pahaadon se guzra hua paani is band mein aakar wafir miqdaar mein jama ho jata tha. Qaum Saba ne is paani se sahih taur par istifadah karte hue wasee-o-areez aur bohat se khubsurat bahaaraat lagaaye aur kheti baadi ko rung de diya.

Un bagaat ke darakhton ki shaakhein is qadar phalon se bhar di hui thi ke kehte hain ke agar koi shakhs sir par tokri rakh kar un ke neeche se guzarta toh phal khud ba khud tokri mein girna shuru ho jaate aur qaleel muddat mein tokri taaza phalon se bhar jaati.

Lekin nematon ki kasrat ne unhein shukr karne ke bajaaye sar mast aur ghaafil kar diya tha. Yahan tak ke un ke darmiyan bohat bara tabqaati nizaam wujood mein aa chuka tha. Un mein se sahib iqtedaar logon ne kamzoron aur zaifon ka khoon choosna shuru kar rakha tha.

Yahan tak ke woh Khuda se ek ahamkana iltimas ki thi, jiska Zikr Surah Saba ki ayat number 19 mein milta hai:

"Unhon ne kaha, Khuda ya hamare safiron ke darmiyan fasaala ziada kar de."

Unhon ne Allah Ta'ala se yeh iltimas is liye ki thi ke ghareebon, be-nawah logon, umrah aur sardar log un ke hamaara safr na karen. Un ki khwaahish yeh thi ke abaadiyon ke darmiyan khushki ho aur fasaala bohat zyada ho, taake tahi dast aur kam aamdani wale log un ki tarah safr na kar sakein.

Allah Ta'ala ne un maghroor pet ke pujariyon par apna ghazab nazil kiya. Baaz riwayatyon ke mutabiq un maghroor logon ki aankhon se door sahraai chuhon ne muraab namii band ki deewaron par hamla kar ke unhein andar se khokhla kar diya.

Idhar se baarishen zyada hui. Jin ki wajah se sailaab aaya aur is band mein paani bohat zyada ikattha ho gaya. Achank band ki deewarain tooti, is se ek bohat bara sailaab aaya. Jis mein tamam dehaat, abaadiyan, maal-e-maweshi, bahaaraat, khetiyaan, un ke mehal aur ghar paani mein ghark ho kar na-mawjud ho gaye.

Un ke bagaat aur zara'at mein se sirf beri ke darakht aur kuch jhaariyan bachi theen. Khush alahaan parindon wahan se kooch kar gaye the. Jabke aluon aur kooon ne Qum Saba ke khindaraton mein apne ghonsle bana the. Is baat ka zikr Surah Saba ki ayat number 115 aur 116 mein Quran Kareem mein is waqia ka yun natija nikala hai:

"Yeh hum ne un ki nashukri ki saza di hai, aur hum nashukron ke ilawa kisi ko saza nahi dete."

Click Here To Download in Text

Download


Related Posts:  Karbala Ka Waqia, Ahadees, Quotes, Islami Waqiat 

TAGS
qaum e saba ka waqiya,qaum e - saba ka waqia,qaum e saba in urdu,qaum e saba ka waqia,qaum e saba ka qurani waqia,qaum e saba ka qisa,qaum e saba ka qissa,kaume saba ka waqia,quam e saba ka waqiya,waqiya qoom e saba ka,qaume saba history in urdu,magroor qaum ka waqiya,qaum e saba par allah ky azab ka waqia,history of qaum e saba ka waqia,qaum e saba ka bayan,qaum e saba par azab ka qissa,qaum e saba ka qissa by dr zeba waqar,qaum e saleh as ka waqia


This post first appeared on Roshni Quotes, please read the originial post: here

Share the post

قوم سبا پر اللہ کے عذاب کا واقعہ

×

Subscribe to Roshni Quotes

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×