Chaar din Jindagi jeene ki hai kalpana
jindagi ke haseen palo ko peene ki hai kalpana|
Zinda raha toh fizaon ka lutf lenge
warna maut ke aagosh mein sone ki hai kalpana|
Balyakaal mein milta hai apaar sukhon ka bhandaar
warna kisko padi hai karne ki apne bhavishya ki kalpana|
Kishoravastha pradaan karti hai adamya saahas aur buddhi
toh agle dehleej par kadam rakhti hai jawani ki kalpana|
Anant gyaan ki prapti mein jahan gujar jati hai umar
toh koi karta hai use chand lamho mein sametne ki kalpana|
Saansarik moh maya ka bandhan koi samajh na paya hai
jisko bhagya ne bhi thaani thi sawaarne ki kalpana|
Jindagi nashwar hai so jindagi ka maja utha le
warna sehem jane ke baad hogi pachtawe ki kalpana||