Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

wahishtey ishhq aur majboori - Khurshid Rabbani poetry

وحشتیں عشق اور مجبوری
کیا کسی خاص امتحان میں ہوں

جب سے اس شہر بے مکان میں ہوں
میں ترے اسم کی امان میں ہوں

گنبد شعر میں جو گونجتی ہے
میں اسی درد کی اذان میں ہوں

میں نے تنہائیوں کو پا لیا ہے
اس لیے خواب ہی کے دھیان میں ہوں

تتلیاں رنگ چنتی رہتی ہیں
اور میں خوشبوؤں کی کان میں ہوں

وحشتیں عشق اور مجبوری
کیا کسی خاص امتحان میں ہوں

خواہشیں سایہ سایہ بکھری ہیں
اور میں دھوپ کے مکان میں ہوں

میں ہوں پیکان درد اے خورشیدؔ
اور اک یاد کی کمان میں ہوں

خورشید ربانی

wahishtey ishhq aur majboori
kya kisi khaas imtehaan mein hon

jab se is shehar be makaan Mein Hon
mein tre ism ki Amaan mein hon

gunbad shair mein jo gunjti hai
mein isi dard ki azaan mein hon

mein ne tanhaiyon ko pa liya hai
is liye khawab hi ke dheyaan mein hon

titliyan rang chunti rehti hain
aur mein khushbuon ki kaan mein hon

wahishtey ishhq aur majboori
kya kisi khaas imthehaan mein hon

khuwaishe saya saya bhikri hain
aur mein dhoop ke makaan mein hon

mein hon paikaan dard ae Khurshid
aur ik yaad ki kamaan mein hon



This post first appeared on Urdu Aur Mai - Urdu Poetry, please read the originial post: here

Share the post

wahishtey ishhq aur majboori - Khurshid Rabbani poetry

×

Subscribe to Urdu Aur Mai - Urdu Poetry

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×