Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Nayi Sawari (Part-1)

Photo by Tobias Tullius on Unsplash

Aksar ghar se nikalte waqt mere sath ye kai bar hota hai, kbhi lunch box to Kabhi pani ki bottle,to kabhi apna chsma, kabhi watch aksar hi bhool jaya karti hu, maa aati hai piche se awaz lagate sarita... kha chali ye lete jaa, daat bhi pad jati hai kai bar... so basically aapko pta lag hi gya hoga ki kabhi bhi hum aaram se puri tarah nichint ho kar ghar se nhi nikalte hoge, ji ha kya kare writer jo hai, dil khi to dimag kahi... aur jaise hum hai, humari kismat humse bhi jyda bhulakad hai, humare hisse aisho aaram lana hi bhool gyi ho jaise, bs din rat bhag doad mai lage rehte hai, kai bar sochte hai humko jana kha hai ye bhi to pta nhi, ufff meri bechari kismat, ab jiski aisi kismat ho uski scooty starter se to chalu hone se thehari, to phir kya tha lagate hai tin char kick tab ja ke scooty mohtarma taiyar hoti hai chalne ke liye. waise sach kahe zindgi mai sirf zinda saabut log hi sath nhi dete hai kabhi kabar zindgi mai non-living things ka yogdaan bhi bharpur hota hai, humari zindgi ka astitav tikaye rakhne ke liye, ab meri scooty ko hi dekh lijiye, start ho hi jati hai der saber lekin sath dene se kbhi piche nhi hattti bhale hi kai bar hum hi isse dhakka mar ke kyu hi n le jaa rahe ho par sath chalti to hai.

aur isi tarah roz ka safar shuru hota hai ghar se college tak, phir college se ghar tak, nikal padte hai meri pyari scooty ke sath 40 ki speed se, ab aap Soch Rahe Hoge ki hum ladki hai isliye darte hai driving se isliye dhire chalate hoge, ya phir hume driving hi thik se nhi aati hogi, ya phir aise soch rahe hoge ki humari scooty ki halat hi nhi shi hai to kha se speed mai jayenge... ji aisa bilkul nhi hai, hume manzil se jyda khubsurat rasto se pyar hai... ji hum apni manzil par time se hi pohchte hai jiske liye hum ghar se nikal bhi jate hai, lekin hum rasto ko mehsus karte huye jate hai. aur zindgi ka wasool hai dosto, thehara mana hai, doadna ek saja hai aur chalte rehne mai hi maza hai...

aap sochte hoge ki ek hi rasta roz ek jaisa hi hoga n, ji nhi...bilkul nhi... ek hi rasta roz apne rang roop, chaal dhaal mai privartan ke sath taiyar rehta hai, ek alag hi anubahv ke sath. raste ke aas pass lage pedo ke phool, kbhi rasto ke khaddo se hui mulakat, kabhi school jate bachoo ka jhund, kabhi bhokte kutto ka doadna, kbhi tez raftar mai pass se gujarti dusri gaddiya, kbhi thoda sa laprwahi aur speed ke karan accident mai gyahl log aur unhe dekhne jama logo ki bhid, kabhi logo ka thoda sa gadi ki takkar ho jane par mar pit pe utar jana aur bhool jana ki wo ek sabhya smaaj ka hissa hai, kabhi kisi ka unhi rasto mai apni zindgi ki aakhri manzil mil jana, ji aise hi roz kuch nya purana liye raste tainat rehte hai. aur hum inhi jivant ghatnao ko mesus karte huye roz gujarte hai.

hum aksar inhi sb badi badi surkhiyo ke bich kuch talashti apni nighaho se aksar unn kadmo ki raftar ko khoj hi leti hu jinhe der ho jati hai kabhi kabhi, unme se kisi ko kisi ke ghar ka kam karne jana tha aur late hone par malkin dategi ka dar unhe teji se chalne pe majbur kar rahatha, to kbhi office se late ho jane par bhi sham ko sbji lete huye jana hai aur ghar jaa ke banana bhi hai, to isi tarah kisi ko khi pohchna tha jaldi lekin der ho gyi kyoki kam bahot tha ghar mai, kisi ko lautne mai der ho gyi kyoki kam bahot tha aaj office mai. aur aise hi unki zindgi mai kahi pohchne ki jadojehat mai unki raftar aksar roz hi badhi rehti hogi.

aap soch rahe hoge hume kaise pta inke bare mai, ji batate hai, jaise hi iin kadmo ki raftar tej dikhi mujhe aksar meri scooty wahi ja kar ruki... aur apne ache hone ki adat mai hum puch lete hai aunty aapko chaud de kahi, aur unke mathe par jo sikan thi wo khushi mai tabdil hote dekh kar dil kehta... lo mil gyi nayi sawari.

ji hum aksar aise hi kbhi kisi ko dekhte to puch liya karte hai , kyoki hum ladki hai to jahir si bat hai ki hum apni safety ko dhyan mai rakhte huye aksar kisi aunty ya kisi mahila ko hi puch lete hai. kuch apni safety ka dhyan rakhte huye mujhe ajnabi sa dekh mana kar deti, kuch kehti nhi nhi beta bs pass mai hi jana hai aur kuch kehti acha hua tu mil gyi, mujhe jara waha tak chaud dena beta...

aur iss tarah mera rasta aksar kisi ki manzil ban jata.

ji abhi khanai khtam nhi hui hai, abhi to inn nayi sawari ki chat pati bate batana to abhi baki hai jo hum apne agle blog mai sunayenge.... milte hai nex blog mai... tab tak apna aur apno ka khub sara khyal rakhiye...



This post first appeared on Feeding Trends, please read the originial post: here

Share the post

Nayi Sawari (Part-1)

×

Subscribe to Feeding Trends

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×