Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Google Chrome Site Settings Ki Puri Jankari Hindi Me

Google chrome site settings ki puri jankari iss post me mein aapko bataunga so agar aap google chrome user hai to aapko iski site settings ke bare me bhi jankari honi chahiye, isliye iss post me hum one by one karke chrome site setting ke bare me detail me janege.

Chorme ki settiings me site settings ek aisa feature hai jiske through aap alag alag websites ke liye alag alag permissions ko enable or disable Kar Sakte Hai, kaun si site ko kya permission deni chahiye or kin permissions ko block karna chahiye iski jankari ke liye ye post end tak padhe.

  • Google Ki Full General Settings aur Feature Sikhe
  • Chrome ki Settings ko Reset Kaise Kare

Google Chrome Site Settings Ki Puri Jankari Hindi Me

Site settings me jane ke liye sabse pehle Google chrome open kare aur top right corner me 3 vertical dots par click kar, iske baad Settings option par click kare aur Site settings option par click kar dijiye.

All Sites

Jitni bhi websites ko aapne open kiya hai or sign in kiya hai unn sabhi ki list aap all sites option me dekh Sakte Hai, ab agar aap inme se kisi bhi site par click krenge to aapke samne site ke through used storage show ho jayega.

Iske sath hi kaun kaunsi permissions aapne iss website ko di huyi hai ye bhi aap yahapar dekh sakte hai, yahapar Clear & reset option par click karke aap iss website ka total storage data delete karke sign out kar sakte hai aur all sites list se remove kar sakte hai.

Cookies

Jitni bhi websites par aap visit karte hai or login karte hai uske base par unki cookies files create hoti hai jo unn sites ki momory me save ho jati hai, aise me jab bhi aap unn sites ko dubara se open karenge to aapko fir se login karne ki jarurat nahi hoti direct logged in sites me aap fir se login ho jayenge.

  • Allow cookies option by default selected rehta hai jitni bhi sites par aap visit karenge unki cookies automatically create hoti rehegi.
  • Block third party cookies in incognito option agar aap select karenge to browser ko incognito mode me open karne par uski cookies block ho jayengi.
  • Block third party cookies option select karne par browser regular mode me kisi bhi site ki cookies files create nahi karega.
  • Block all cookies (not recommended) option ko agar aap select karte hai to kisi bhi site par visit karne par uski koi bhi cookies file create nahi hogi.
  • Add site exception option par click karke aap Allow cookies ki condition me kisi perticular site ko add karke uski cookies files ko block kar sakte hai.

Location

Agar aap location option ko enable rakhte hai to jab bhi kisi site par visit karne or login karne par location requirement hogi to aapke samne pupup me location access dene ke liye pucha jayega jisse aap allow karenge tabhi uss site ko aapki location ka access milega otherwise aap location access ko disallow bhi kar sakte hai.

Lekin agar aap yahapar location option ke samne toggle button ko disable kar dete hai to kisi bhi site par visit karne vo aapki location access ke bare me nahi puchegi aur location bhi block ho jayegi.

Camera

Kai sites camera ka access ki leti hai aise me aap location ki tarah hi kisi bhi site ke liye camera permission ko enable or disable kar sakte hai.

Microphone 

Issi tarah se bahut si websites ko microphone ka access bhi chahiye hota hai aur yahapar bhi aap location ki tarah settings kar sakte hai.

Motion Sensors

Kai sites me visit karne or login karne par proximity or phone lights ko access karne ke liye motion sensors ka access liya jata hai so iss permission ko aap upar di gayi baki permissions ki tarah hi customize kar sakte hai.

Notifications

Bahut si website par login karne par notification access liya jata hai yahapar notifications option par click karke aap isse apne according manage kar sakte hai.

  • Notifiacations option ke samne toggle button enable or disable karke aap notication access ko on or off kar sakte hai, agar aap isse enable rakhte hai to kisi bhi site par login karne par aapse notification permission ke liye pucha jayega.
  • Use quieter messaging option ke samne tick box par tick karne se aapko silent notifcations milegi, notication aane par vo prompt nahi karenge aur na hi unka koi popup show hoga.
  • Blocked option me aapko vo sabhi websites show ho jayenge jinki notifications ko aapne block kiya hoga, aur inme se aap kisi bhi site par click karke uski notifications ko allow bhi kar sakte hai.
  • Allowed option par click karke aap unn sabhi sites ko dekh sakte hai jinki notifications ko aapne allow kiya hoga, yaha par bhi aap kisi bhi site par click karke notifactions ko block kar sakte hai.

JavaScript

Javascript ek programming language hoti hai jo kisi bhi webpage me contents ko create karne, update or change karne ya fir movement karne me use hoti hai, for example aapne kai websites me dekha hoga bina refresh kiye unke contents automatically change or move hote rehti hai, aisa javascript ke iss option ke enable rehne se hota hai.

Aise me agar aap kisi perticular site par auto activity ko band karna chahte hai to yahapar aap Add site exception option par click karke uss site ko add kar sakte hai.

Popups and redirects

Ye feature by default disable rehta hai jisse merchant sites open karne par spammers or hackers se safe rehte hai, actually popups and redirects ka use kuch merchants or gateway payment websites me kiya jata hai.

Aise agar aisi kisi website me payment karne ke liye popup ya kisi link par click karenge to aap kisi dusri site par redirect ho jayenge, aur aapka active session bhi close nahi hoga lekin kai spammers or phishing websites ke through popups and redirect ka misuse hota hai isliye iss option ko disable hi rehne dijiye.

Ads

Agar ads option enable hai to kai sites par visit karne par aapko misleading aur intrusive ads dikhyi ja sakte hai isliye ads option ko disable hi rehne dijiye halanki aisa karne se sabhi ads block nahi hogi.

Background sync

Ye option bhi by default enable rehta hai jisse ki agar aapne chrome browser me kisi social network jaise ki facebook, twitter, instagram etc me login kiya hai to login tab ko close karne baad bhi site background me sinc hoti rehti hai.

Agar aap iss feature ko disable kar denge to logged in social sites me background synchronization bhi disable ho jayega, aise me aap Add site exception option par click karke kisi site ko add karke uski background sync ko enable kar sakte hai.

Automatic downloads

Ye option agar enable rehta hai to kisi bhi site me koi bhi file automatically download hone se pehle aapko ek confirmation milegi jisse aap allow karenge tabhi vo file download hogi.

Agar aap iss feature ko disable kar denge to koi bhi file auto download nahi hogi halaki iss condition me aap Add site exception option par click karke koi site add kar sakte hai jisme aap auto download enable rakhna chahte hai.

Protected content

Kuch play protect musis or movies jinhe aap chrome browser me dekhte, sunte or download karte hai vo aapki kuch information ko collect karti hai so agar yahapar:-

  • Allowed option select karne par copyrighted content yani play protected content easily play ho jate hai.
  • Ask first option ko select karne par play protected content play hone se pehle aapse confirmation li jayegi.
  • Blocked option select karne par vo sites jo play protected contents play karti hai vo block ho jayegi.

Sound

Ye option agar enable hai to kisi bhi site par aap music ya video play karte hai to usme sound play hota hai agar aap isse disable kar denge to vo sites mute ho jayengi.

Sound option enable rehne ki condition me aap Add site exception option ke through unn sites ko add kar sakte hai jinme aap sounds ko mute karna chahte hai.

Data stored

Iss option par aap jaise hi click karenge aapke samne vo sabhi sites aa jayenge jinpar aapne visit kiya hoga ya fir login kiya hoga, iske sath hi inn alag alag sites ke samne aap used storage bhi dekh sakte hai jitna inn alag alag websites ne consume kiya hoga vo aap yahapar dekh sakte hai.

Ab agar aap inme se kisi ek site ka storage remove karna chahte hai to uspar click kare aur Clear and reset option par click karke data reset kar dijiye.

Lekin agar aapko sabhi sabhi sites ke stored data ko remove karna chahte hai to yahapar bottom side me Clear all data option par click kare jiske baad popup open hoga to isme Clear option par click kar dijiye, iske baad sabhi visited or logged in sites ka data remove ho jayega.

NFC devices

NFC devices yani Near field communication devices option ko enable karke aap apne aaspas ke same competible device ko bina internet connection or wifi connection ke free me connect kar sakte hai, ek device se dusre device me informations ko send receive kar sakte hai.

USB

Kuch sites USB or USB ke through aapke device access karne ki permission chahti hai aise me agar ye option enable hai to koi bhi site usb ke through aapke other devices ko connect karne liye puch sakti hai.

Clipboard

Ye option agar enable rehta hai to kisi bhi site me aap koi word or sentence cut ya copy karte hai to vo temporary store ho jata hai jisse aap tab tak kahi par bhi paste kar sakte hai jab tak aap apne device ko restart nahi kar lete hai. Agar aap iss option ko disable kar denge to clipboard me koi bhi cut or copied content store nahi hoga.

Virtual reality

Agar ye option enable rehta hai to google chrome par 3d content ko play karne ke liye aapse pucha jayega, jisse aap allow karke 3d movies or games play kar sakte hai, agar aap iss feature ko disable kar denge to aap 3 dimensional content use nahi kar payenge.

Augmented reality

Agar ye option enable hai to kuch related sites aapke camera ke through aapke aaspas ke area ka 3d map create kar sakti hai, agar aap isse disable kar denge to aisi sites ke through aapke camera position track hona band ho jayegi.

Your presence

Agar ye option enable rehta hai to aapke home devices or connected sites me aapka online status show hota hai jisse aapke trusted contacts or vo sabhi sites dekh sakti hai jinhe aapne iske liye allow kiya hoga, agar aap apni online presence show nahi karna chahte hai to iss option ko disable kar dijiye.

Finally google chrome ki sabhi site settings yahapar complete hoti hai, i hope aapko ye sabhi jankari helpful lagi hogi, agar aapko ye post pasand aayi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

The post Google Chrome Site Settings Ki Puri Jankari Hindi Me appeared first on Hinglish Help.



This post first appeared on Hinglish Help, please read the originial post: here

Share the post

Google Chrome Site Settings Ki Puri Jankari Hindi Me

×

Subscribe to Hinglish Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×