Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

baingan ka bharta kaise banaye - baingan ka bharta recipe in hindi - Gur info

baingan ka Bharta kaise banaye - Baingan ka bharta recipe in hindi - Gur info

Hello friends,
                      Kaise ho app sb oumed hai app sab ache honge. Aj mai app ke liye kuj tasty aur mazedar recipe la kar ayea hou jisse app ghar par asni se bana kar kha saktye hai. Hum jis desh mein rehatye hai woh desh khane aur kilane mein sabse agye hai. India mein jithni v states hai sabhi mein alag alag aur kei tarh ke tasty pakwan samil hai. Yeh pakwan na sirf banane walo KO khushi dete hai khane wale ko v pyar ke bandann mein bandta hai. Chahye India ki koi v state ho Gujarat, Maharashtra, bangal, Punjab jaisi  kei states hai jihne alag alag tasty khane bhut famous hai.

INDIA KE KITCHAN KE SAWAD

baingan ka bharta

Hum jis desh mein rehtye hai us desh mein sabhi dharmo, culture aur jaato ke log rehtye hai. Unke dharm jaat culture bhalye hi alag ho magar humare desh mein ekta aj v dekhne ko milti hai. Jitne jayda culture humare desh k logo mein hai utna hi unke khane mein v dekhne ko milta hai. Alag alag tarh ke khane humare bharat desh mein paye jatye hai. India apne khane aur khilne ke liye khatardari ke liye Jana jata hai. Different cultures ke different tasty khane bhut mashor hai chahye woh Punjab ka khana ho sarso ka saag makki ki roti  chahye woh Gujarat ka dhokla ho. Khana hi humare desh aur states ki pehchan hai. Mehman niwaji mein humara bharat desh no ek par hai.

TASTY KHANE KI IMPORTANCE

App sbne suna hi honga ki kisi ke dil ka rasta uske peat se guzar kar jata hai yeh baat bilkul 101% sach hai. Agar app kisi ko acha tasty khana bana kar khila dete hai woh insan apke khane ka mureed ho jayega. Aur tarif kartye nhi thakega. Isliye agar appko kisi ke dil par Raj Karna hai toh app uska favorite tasty khana bana kar khila de. Isi baat ke chaltye aj mai app ke liye ek tasty recipe la kar ayea hou jise aap ghar par asni se bana saktye hai. Yakin maniye jo recipe mein apko batne ja rahn hou yeh app agar ghar par banyege toh apke ghar ke bache se bujurag tak ouglin chattye reh jayege. Aj mein appko "BAINGAN KA BHARTA" banana sikhane ja rahn hou hindi mein. Ayi a hum detail mein yeh recipe ke bary mein jantye hai.

        BAINGAN KA BHARTA

baingan ka bharta

Baingan ka naam suntye hi kei log toh nakk chidna suru kar dete hai khas kar bache Jo baingan khana bilkul v pasnd nhi kartye. Lakin agar app baingan ko kuch different aur tasty trikye se banyege toh m sure appke bache baingan ko bade hi Chao se khayege. Aur na hi unhe yeh pata chalyega ki app unko baingan khila rahi hai. App apne bacho Ko baingan ka bharta bana kar khilye unki health ke liye v bhut acha hoga. Agar is tarike se app apne ghar walo ko baingan ka bharta bana kar kilyege toh ougiliyn chatt te reh jayege.

BAINGAN KA BHARTA IN HINDI

Baingan ka bharta bhart mein banye Jane tasty aur lazej khane mein se ek hai. Yeh sudh sakahari bhojan hai kisi mass meat ka use nhi kiya jata. Doctor aksar green vegetables khane ke liye kehtye hai isliye aj mai appko healthy aur tasty recipe baingan ka bharta banana sikhane ja rahan hou. Ismein kon kon se ingredients use hotye hai detail mein batouga. :-

BAINGAN KA BHARTA BANANE KE LIYE INGREDIENTS(SAMAGARI)

baingan ka bharta

Kisi v Tarh ki recipe banane ke liye hume sabse phele is mein use hone wale saman ki jarurat hoti hai. Aise hi baingan ka bharta on Hindi mein baingan ka bharta banane ke liye Hume kuch jruri ingredients chahye honge jaise ke kon kon se masale ,oil jaise ingredients. Aye aa mai appko detail mein batne ja rahan hou app in ingredients ko note karle:-

2 baingan

Hari mirch (green chilli) taste ke hisab se

2-3 peeaz (onion)

Adarik (ginger) sawad anusar

3 bade tamato

Oil jarurt anusar

1 t/s jeera

Laal mirch powder (red chilli) sawad anusar

Dhaniyea powder

Namak(salt) sawad anusar

Garam masala

Haldi

Methi

Dhaniya garnish ke liye....

        BAINGAN KA BHARTA

banane ke liye sabse phele app oupr di gye ingredients ektha karle ta k hum apna baingan ka bharta bana sakaye. In mein se koi v ingredients aisa nhi hai Jo appko appke kitchen mein nhi milyega. Yeh sabhi apko asni se mil jayege. Aye a abh hum baingan ka bharta in Hindi recipe banane ki bidhi jantye hai k hum in ingredients ka kaise use karke baingan ka bharta bana saktye hai.

BAINGAN KA BHARTA RECIPE IN HINDI | BAINGAN KA BHARTA BANANE KA TARIKA

* Sabse phele app baingan ko ache se dho le aur 10 se 15 mintue tak halki anch par bunn(pakka)le. Ache se bunne jane par baingan ke oupr ka chilka Jo pakkne se thoda naram ho gyea use outar de. Baingan ko oupr se bilkul saf karle.

* Iske byd app peeaz tamato adrik mirch sabhi ko ache se dho kar cut kar Lana hai.

* Agar apka baingan thanda ho gyea ho toh app baingan ko chotye piece's mein cut karle

* Ek bartan ja kadhi mein oil dhalkar ache se garm karle aur peeaz adrik mirch sabhi ko ache se pakka le jab tak unka color brown nhi ho jata.

* Peeaz jab brown ho Jaye toh us mein haldi mirch cuti hoyi mirch tamato Methi namak masale dhaniya powder dhalkar ache se 7 se 10 minute tak pakkye.

* Masalon ke ache se pakkne ke byd us mein barek cut kiye hoye baingan dhal de.

* Next appko Karna hai k appko baingan aur apke pakkye hoye masale Ko mix Karna hai aur adha cup pani dhal kar bina 2 mintue  tak hilye pakkne ke liye chod Dena hai.

* Phir appko mix Karna hai pani dhal ke appko baingan ko 15 minute tak pakna hai.

* 5-7 mintue Mein appko mix kartye rehna hai.

* 5-10 minute ke byd appko hara dhainyea bareek cut Lana hai aur garnish Karna hai.

* Apka baingan ka bharta ban kar tyar hai app apne gharwalo ko surve kar saktye hai m sure app baingan ka bharta itna tasty banyegi k apple pariwar wale apki tarif kartye nhi thakyege..
                    Is trike se app baingan ka bharta bane aur sabko khilye toh sab oungiloun ke sath sath apne hath v chatt jayege. Meri tasty aur healthy recipe apke liye bhut helpful hongi.

CONCLUSION

Oumed hai appko meri yeh recipe achi lgi hogi. Yeh recipe baingan ka bharta banane ka tarika ache se samjh aa gyea hoga. Agar appko meri yeh recipe achi lgi ho ta app apne pariwar friends ke sath share Karna na bhulye. Baingan ka bharta recipe par Maine Jo article likha hai oumed karta hu ke appke liye bhut helpful hoga. Aisi hi tasty recipe banana sikhne ke liye app humari website par visit kartye rahye aur aise hi apka pyar milta rahye. Apke pyar aur spot se mera v hosla badta rahye. Agar appko mera yeh article aur recipe achi lagi ho toh app apne friends family ke sath share jarur karye. Phir miltye hai kisi aur healthy aur  tasty recipe ke article ke sath. God bless all of you.....
Thanks for reading this article 🙏



This post first appeared on Shayari Punjabi, please read the originial post: here

Share the post

baingan ka bharta kaise banaye - baingan ka bharta recipe in hindi - Gur info

×

Subscribe to Shayari Punjabi

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×