Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

how to check online final exit visa puri jankari hindi me

Tags: aapko exit kaise

saudi Arabia me rehne wale apna final Exit khrooj nihaai online kaise check kare.

saudi arabia me kaam karne wale sabhi logo ka ek contract hoga hai. jo ki kisi ka 2, 3, ya 4 years ka hota hai. jab aapka contract khatam ho jata hai. to aap agar new contract nahi karna chahte hai to aap apne desh ja sakte hai. Aapko apne desh jane ke liye bhi saudi goverment ek visa provide karati hai. jisko final exit ya khrooj nihaai kaha jata hai. is visa ki validity 2 mahine ka hota hai. isliye aapko in 2 mahine ke ander hi saudi arabia chod ke jana hai, nahi to aapko kai fines bharne pad sakte hai.

ye article aapke liye bhuat helpful hai. kyuki jab aapka exit lag jata hai to aap baar - baar apne kafeel ya apne company ke hr department jana padhata hai. sirf ye puchane ke liye ki mere exit laga ki nahi laga.
lekin is article ki maddat se aap apna final exit ya khrooj nihaai aasani se check kar sakte hai.

Final exit (khrooj) online kaise check kare.

final exit  check karne ka bhuat hi aasan hai. aap niche diye steps ko follow karke final exit ya khrooj nihai check kar sakte hai.

Ministry of Interior kindom of saudi arabia.

Step 1
final exit check karne ke liye sabse pahle aapko Ministry of Interior kindom of saudi arabia ke official website par jana hai. website par jane ke liye yaha click kare.

Step 2
website par jane ke baad ek form se open ho jaye. yaha aapko apne jankariya bharna hai. niche diye huye photo ko follow kare.


1 - yaha aapko apna sponsor id ka number likhana hai.
2 - yaha aapko apna iqama number likhana hai.
3 - yaha aapko apne iqama ka expiry date likhana hai. agar aapko apne iqama ka expiry date nahi malum hai to aap humara ye post apne iqama ka expiry date online kaise check kare. padhkar pahle iqama ka expiry date pata kar le.
4 - yaha par 4 dijit ka captcha diya huya hai. ise aapko niche diye huye khali box me likhana hai.
5 - upar diye gaye sabhi jankari ache se likhane ke baad View ke button par click kare.

Step 3
View par click karne ke baad aapko final exit ka detail niche me aa jayega.


Visa holder' name - aapka naam likha hoga.
Visa number - aapke visa ka number likha hoga.
Exit before - ye sabse jaruri hai. yaha par jo tarikh likha hoga. aapko us tarikh ke ander saudi se apne desh chale jana hai. agar aap nahi gaye to aapko bhuat fine bharne pad jayege.
Visa type - yani aapka visa final exit ka hai.
Last port of entry - aap last time me jis airport se saudi arabia me aaye the, yaha us airport ka naam likha hoga.
Last entered into KSA - aap last time jis tarikh ko saudi arabia me aaye the, yaha uska tarikh likha hoga.



Saudi Arabia se releted in article ko bhi padhe:
Apne company ya kafeel ka color online kaise check kare.
Apne iqama ko kaise online check kare.
medical insurance ki validity kaise check kare.
Apna fingerprint ka update online kaise check kare.
Exit/Re-entry visa ka status online kaise check kare.


I hope aap aap is article ki maddat se apna final exit khrooj nihaai online check karna sikha gaye honge. agar aapko isse releted kuch puchana hai to comment karke puch sakte hai.

Ise bhi padhe:
United Arab Emirates ka visa online kaise check karen.
Qatar ka visa status online kaise check kare.
oman ka visa online kaise check kare.

Bahrain ka visa status online kaise check kare.




This post first appeared on Latest Tech Gyan, please read the originial post: here

Share the post

how to check online final exit visa puri jankari hindi me

×

Subscribe to Latest Tech Gyan

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×