Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Android me kitne sensor lage hote hai aur uske uses kya hai

Android phones me kitne types ke sensor hote hai aur uses kya hai? ye post bahut hi interesting hone wala hai kyoki yah ek basic si chiz hai jo Android phones me hoti hai par hume pata nahi hota hai ki iska us kya hota hai. aaj hum baat karenge Android mobile me lage sensors ke bare me jo aajkal ke devices ko advanced banati hai.
Aajkal ke har Android me chahe wo low budget ka ho ya high budget ka sabhi me sensor dekhne mil hi jata hai. vaise to ek medium budget wale phone me 4-5 sensor lage hote hai but only 2 sensor hi dikhayi deta hai, wo hai camera ke just side me lage proximity sensor aur light sensor.
but baki kaha hote hai aur uses kya hai? jaane ke liye pura post read karen.

Android me kitne types ke sensor hote hai.

mobile ke budget ke according hi sensor lage hote hai. low budget mobile me 3-4 aur high budget me 8-9 sensor lage hote hai.
Wo hai:

1. Accelerometer sensor
2. Gyroscope sensor
3. Magnetometer Sensor
4. Proximity sensor
5. Ambient light sensor
6. Thermometer Sensor
7. Pedometer sensor
8. Fingerprint sensor

Android me lage sensor ke uses kya hai?

1. Accelerometer Sensor

Accelerometer Sensor hume lagabhag har Smartphone me dekhne ko milega chahe wo low budget ka ho ya high budget.



Ab ye Accelerometer Sensor Kya hai chaliye jante. technically kahe to ye sensor apke phone ki titling motion aur orientation ko maap to hai, Simple word me kaha jaye to ye apke phone ke software ko batata hai ki apne phone ko kis angle me pakda hua hai. phone vertically pakda hua hai ki horizontally pakda huva hai, ise hum screen rotation sensor bhi bol sakte hai. Aap jab koi image ya video dekhte hai to mobile ko Rotate karne par wo image ya video bhi automatic rotate ho jata hai. ye Accelerometer ke karan hota hai.

Android me developer option kya hai aur uske uses

2. Gyroscope Sensor

Accelerometer sensor ka advanced version hai, ise Gyro sensor bhi kahte hai, Gyroscope sensor se apke phone ko ek dum perfect information milti hai ki apne phone ko konse angel se pakda hua hai aur kitani degree pe pakda hai



Ye sensor camera ke Panorama mode me picture capture karne me help karta hai, jis se aap kisi bhi jagah ka pura view ek photo me capture kar sakte hai, Ye sensor 360 Degree ke video dekhne ke liye bhi use hota hai aur iski help se aap 360 Degree wale video record bhi kar sakte hai, Gyroscope sensor games khelne me bhi use hota hai jiski help se aap game ko control karte hai, apne dekha hoga ki kai games jaise bus driving, truck driving, temple run me aap apne phone ko left, righ, up, down karke controlling karte, ye gyroscope sensor ki help se hota hai.

Sirf bolkar hi mobile kaise chalaye janiye yaha

3. Magnetometer Sensor

Apne magnetometer sensor ka naam suna hoga kyoki ye bahut se average price mobiles me available rahti hai. ab ye Magnetometer sensor ke kaam kya hai, Ye sensor apke phone me Compass ka kaam karta hai, is sensor ka use magnetic field ko measure karne ke liye hota hai, is sensor ki help se aap google maps ya aise kisi bhi aaps me phone ka direction jaan sakte hai, matalab ki east, west, north, south.

google play store me kayi types ke metal detector apps available hai. ye apps isi sensor ki madad se work kar detection batati hai kyu ki ye sensor me magnet laga hota hai. Is sensor ke bina aap apne phone me location nahi dekh payenge.

Ek baar me 200 miss call send kar dosto ke sath karen prank

4. Proximity sensor

Proximity Sensor ye wo sensor hai jo kisi bhi physical contact ke bina aas-pass ke object ki presence detect karta hai, matlab ki apke phone ke screen ki aas-pass hone wale movement pe najar rakhata hai aur Usaki duri ka antar maapta hai.



simple tarike se kaha jaye to phone ki screen se aap kitne najdik hai ye pata lagata hai, aapne dekha hoga ki jab koi call aati hai aur baat karne ke liye ear ke pass leke jate hai to mobile screen automatic off ho jati hai, ye proximity sensor ki madad se hoti hai.
Ye sensor screen ke Upar side front camera ke aas-pass laga hota hai jise apne bahut se smartphone me dekha hoga, iski help se Android phones me aap apne hath ko screen ke samne hila kar screen ko on kar sakte hai, aur aap iski help se call ko receive bhi kar sakte hai, apne dekha hoga ke kai smartphone me Raise to ear ka option aata hai jiski madad se aap incoming call phone ko ear ke najdik la kar receive kar sakte hai, aur aise hi aap call bhi kar sakte hai, call ko mute bhi kar sakte hai, ye sab proximity sensor ki help se hota hai.

Free me kaise banaye websites bina coding ke

5. Ambient Light Sensors

Ambient light sensor jise light sensor bhi bolte hai. apke mobile ki Display ki brightness ko automatically control karta hai, Agar aap outdoor me ya sunlight me apna phone use kar rahe hai to ye sensor apke smartphone ki brightness ko high kardega aur aap night me, dark room me use kar rahe hai to apki display ki brightness ko low karbdega jisse aapko display dekhne aur text read karne read karne me aasani hogi, kahne ka matalab ye hai ki ye sensor apki jarurat ke mutabik screen ki brightness ko dim-full kar deta hai, Is sensor ki help se aapki aankho me jyada problem nahi hogi.

ATM card aur PAN card me likhe numbers ki secret jaankari

6. Thermometer Sensor

Thermometer sensor ka work smartphone ka temperature ko maap ne ka hai, Thermometer sensor waise to har ek smartphone me hota hai lekin wo jyadatar internal temperature ke liye hota hai, jaise ki processor ka temperature, battery ka temperature aur mobile ki body ka temperature pata karke usko control karta hai. agar aapka mobile bahut jyada heat ho gaya hai to ye sensor automatic task ko kill kar CPU ki force ko kam kar deta hai jisse Mobile cool hone lagta hai. bahot sare smartphone me external thermometer sensor bhi diya jata hai, jisaki help se aap apne environment ka temperature jaan sakte hai, ye sensor hume Samsung ke galaxy S4, S5 jaise smartphone me dekhane ko milta hai.



Message ya files delete ho jaye to aise kare recover

7. Pedometer Sensor

Pedometer sensor ka kaam hai apke foot step ko accurate tarikhe se count karna, pedometer accelerometer ka advanced version hai, aur ye sensor hume bahut kam smartphone me dekhne ko milta hai. Ye sensor jyadatar hume fitness band me dekhne ko milta hai, Foot step ko count karne ka kaam aap accelerometer sensor se bhi kuch app ki madad se kar sakte hai lekin wo pedometer jitna accurate nahi hota, lekin agar aapke phone me ek pedometer sensor alag se diya gaya hai to aap jan sakte hai ki 1 din me aap kitne kadam chale.

American number ko kaise banye apna WhatsApp number

8. Fingerprint sensor

Fingerprint Sensor ki help se aap badi hi asani se apne Android phone ko apni finger se unlock kar sakte hai. Ye sensor apki Finger ki print ko save kar leta hai jisase jab aap apni finger se is sensor pe touch karenge to wo aapki screen ko unlock kar dega, Ye sensor hume aajkal ke har new smartphone me dekhne ko mil jata hai, aur aage isaka aur jyada use hone wala hai. Is sensor ki help se apke smartphone ki security badh jati hai aur apko baar baar password dalne ke kaam se bhi chhutkara mil jata hai, Is sensor ke liye Android ki Marshmellow update me application ke liye bhi support diya gaya hai, jisaki help se aap play-store me aur dusare fingerprint supported apps me is sensor ka use kar sakte hai.



Mainly ye sensor aapko bahut se phone me dekhne mil jayega but expensive mobile me aur bhi sensor lage hote hai. Android phones me kitne types ke sensor hote hai aur uses kya hai ye post aapko informative lagi ho to apne friends ke sath share kare taki wo bhi is common si chiz ke bare me jaan sake. thanks for reading.

Ise bhi padhe :
Idea me free internet use karne ke top 5 tarike
WhatsApp se kaise kamaye paise
Miss call se kaise jane apne bank ke balance ko


This post first appeared on ITrickGuru, please read the originial post: here

Share the post

Android me kitne sensor lage hote hai aur uske uses kya hai

×

Subscribe to Itrickguru

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×