Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Sun Stroke In Urdu



Fashion, Beauty and Health


Sun Stroke: In this page, we are going to discuss about sun stroke and its symptoms, diagnosis and treatment in Urdu and Roman urdu for the people of Pakistan 



Sun Stroke Treatment 
Jab koee shakhs musalsal suraj ki shuaon ki wajah say mutasir aur bilkhusus garmiyon kay mahinay Mein to is ko sun stroke hojata hai aur jab heat stroke aik pechidah surate hal hoti hai.

Iss terha ki halat kaee ghantay tak hararat say mutasir honay ki surat mein hoti hai. Mariz kay jisam ka darja hararat 106F tak pohonch jata hai. Mariz ko pasina nahin ata.

1.    Yeh halat bohot ziyadah darja hararat ki wajah say hosakti hai.
2.    Bohot ziyadah habs ki halat ki wajah say hosakta hai.
3.    Kisi terha ki nobati taklif jaisay malaria,yeh heat stroke kay liye ziyadah khataray ka bais ban sakti hai.

Mazkurah bara surton kay milnay say qudrati jismani halat mein aik ghair qudrati halat paida hoti hai. Jisam ko sard rakhnay ka nizam mutasir hota hai aur yun garmi kay asarat ko apnay asarat muratab karnay ka moqah mil jata hai.

Causes

1.    Mariz kay ander zehni bay cheni paida hoti aur mariz ka rawaya badal jata hai.
2.    Mariz bay qarar aur bay chain hojata hai.
3.    Mariz mein shaded qisam ka naqabile bardasht haziyan ata hai.
4.    Mariz koq ay aur matli hoti hai.
5.    Jisam kay ander mayat ki kami ki wajah say uzlati ainthan hoti hai.
6.    Jild garam hojati hai,khushk hojati hai, jisam say garmi nikalti mehsus hoti hai.
7.    Alamat shaded hojanay par sance fail honay say mot waqah hojati hai.

Rules Of Treatment

1.    Hararat ko kam karny ki koshish karni chahiye.
2.    Jisam zehrilay asarat kharam karnay ki koshish karni chahiye.
3.    Jisam kay ander hararat ko thandak kay qudrati nizam ko bahal karnay ki koshish karni chahiye.
4.    Jisam kay ander paida honewali mayat ki kami puri karni chahiye.

Procedure

1.    Mariz kay kapray utar dain aur mariz aisay bistar par litain jis ko chadar gili ki gaee ho.

2.    Mariz kay puray jisam par sard pani dalain aur pankha chaladain.

3.    Agar mariz ko pakhana na aaey to subha kay waqt enema dain.

4.    Mariz kay sar kay upper aur gardan kay upper ice cup rakhain.

5.    Puray jisam kay upper sard sainch phairain aur pasina anay kay amal ki hosla afzaee karain.

6.    Waqfay waqfay say mariz ka jismani darja hararat check karain.

7.    Jab darja hararat 102f par ajai aur mariz hosh mein ajai to yeh thandak pohonchanay ka amal rok dain.

8.    Aik do roz tak jab tak mariz khatray say bahar na ajai,mariz par bhar pur tawajoh dain aur is ki musalsal daikh bhal karain.

Fits Or Convulsions

Doray ya kisi qisam ki tashanuji halat haqiqat mein jismani uzlat ki aik khinchao walai halat h ai. Yeh mirgi ki aik mushtarka alamat hai. bukhar mein darja hararat bohot ziyadah barh janay say bhi doray partay hain.

Nurse Kay Liye Aam Hidayat

Mandarja zail nuqat woh hain jin ka aik nurse kay liye doron kay mariz ki daikh bhal kay liye janna aur is  par amal karna bohot zaruri hai.

1.    Nurse ko chahiye kay doray ka waqt note karay.
2.    Yeh malum karay kay dorah kaisay parta hai.
3.    Yeh malum karay kay doray mein pura jisam mutasir hota hai. Agar bay hoshi ati hai to kitnay waqt kay liye ati hai.
4.    Puray doray ka dorania kiya hai.
5.    Doray kay doran anewali koee aur alamat jaisay ankh kay dhilay ki pharkan, zaban ka cut jana, mun mein jhak ana, pakhana ya peshab nikal jana.
6.    Doray kay bad az asarat jab dorah khatam hojata h ai aur mariz hosh mein ajata hai to kiya halat hoti hai.

Doray Walay Mariz Ki Daikh Bhal

1.    Woh mariz jis mein doray parnay ki history ho is ko bistar par lita diya jata hai.
2.    Agar khas railing bed mojud na ho ti mariz ko farsh par litadain.
3.    Agar mariz mein doray ki history na ho aur achanak doray ka aghaz huwa ho to mariz ko fori zamin par lita dain.
4.    Is terha ka mariz kay bed kay qarib maiz par har waqt aik rubber ka mouth gag tayar rakhain.aur jab bhi is ko doray paray yeh is kay mun mein rakh dain is say zaban katnay say bach jati hai.
5.    Doray walay mariz ko kabhi akaila na chorain.
6.    Doray walay mariz kay qarib say tamam sakht ashia,furniture waghairah aur aag lagnay wali ashia hata dain.
7.    Job dorah khatam hojai to mariz kay sar kaynichay takiya rakh dain.
8.    Mariz kay liye aisay karmray ka intezam karain jis mein roshti kam ho aur koee tez roshni ya suraj ki chamakdar roshti na aaey.
9.    Mun kay safaee ka khas khayal rakhain aur higen kay tamam usulon par amal karain.
10.    Mariz ko hidayat karain kay woh aag kay pas na jai bijli kay qarib na jai aur kisi khulay pani kay qarib jaisay dariya,naddi,talab kay qarib na jai aur pahar ya kisi buland jagha na charhay aur kisi bhari machinery kay sath kam na karay.
(411-413)


This post first appeared on All About Fashion Beauty And Health, please read the originial post: here

Share the post

Sun Stroke In Urdu

×

Subscribe to All About Fashion Beauty And Health

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×