Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Top 7 Best Free Photo Editor Apps Android User Ke Liye

Is lekh me aap janenge best Photo editing software android ke liye ke bare me jisme Photo edit karne wala apps ki list share ki gayi hai. Jane Photo Editor app download ke bare me Hindi me. Aaj ke samay me har koi apni photo ko social media pe upload karne se pahle usse edit kar ke achha banana chahta hai. Android ke aise kai sare application maujud hai jinse aap asani se apne photo ko kafi achha bana sakte hai. Is lekh me aap janege top 7 best photo editor apps Android user ke liye jisse install kar aap bhi apne kitche hue photo ko edit kar achha look de payenge.

Vaise agar baat ki jaye Best photo editor app ki to bahut sare hai lekin jyda tar premium hai yani usse use karne ke liye paise dene hote hai lekin yaha par jo bataya ja raha hai vo sabhi free hai jihen istemal karne ke liye aapko koi paise nahi dene hote hai.

Best 7 Photo Editor for Android Users

Snapseed

Snapseed ek complete photo editor hai jo Google company dwara banaya gaya hua hai.Isme aapko vo sabhi feature mil jayenge jo ek photo editor me hona chahiye. Google company dwara banayi gayi application hai to isse aap samjh sakte hai ki kaise feature hoga. Isme aapko 29 tools aur filters mil jayenge jisse aap apne photo ko man chaha editing effect de sakte hai.

Download

Pixlr – Free Photo Editor

Pixlr ek free photo editor application hai. Pixlr application har kisi android user ke liye soch kar banaya gya chahe vo naya user ho fir expert har koi isse use kar sakta hai.Isse aap photo collages bana sakte hai. Pixlr ka naam pehle Pixlr Express tha.

Download

Photo Editor by Aviary

Aviary ek free lekin powerful photo editor application hai. Isse aap bahut hi jaldi aur asaani se apne photo ko edit kar sakte hai.

Download

Prisma Photo Editor

Agar aap photo editing ke shaukeen hai to aise me apne art ko dikhane ke liye. Prisma ek best application hai. Isme aapko naye 800 se jyada filters option maujud hai.Isme aapko kafi sare effects mil jate hai jisse aap apne photo kafi acha look de sakte hai.

Download

Photo Mate R3

Photo Mate R3 is application se aapko photo editing karne ke liye kafi sare option milte hai jaise ki ISO, aperture, focus ye sabhi set kar sakte hai aur photo ko kafi attractive bana sakte hai.

Download

Photo Editor

Yeh ek free Photo editor application hai jisse aap apne photo ko edit kar sakte hai sath hi usse collages bhi bana sakte hai. Isme applications me aapko char option milte hai – photo editor, pip collage, grid collage and collage templates.

Download

Facetune – Selfie Photo Editor for Perfect Selfies

Agar aap selfie lene ke shaukeen hai aur android userr hai to ye aapke liye khaas app hai. Isse aap apne selfi ko edit kar sakte hai kafi acha effect de sakte hai. Yeh ek portrait aur selfie photo editor hai.

Download

Umeed hai ki aapko hamare dwara photo edit karne ke apps ki jankari kaafi pasand aayi hogi. agar aapko ye lekh acha laga to isse apne dosto ke sath jarur kare aur unhe bhi jankari de.

The post Top 7 Best Free Photo Editor Apps Android User Ke Liye appeared first on HindiBlog4U.



This post first appeared on Best Tech Hindi Blog, Top Tech Hindi Blog, Hindi, please read the originial post: here

Share the post

Top 7 Best Free Photo Editor Apps Android User Ke Liye

×

Subscribe to Best Tech Hindi Blog, Top Tech Hindi Blog, Hindi

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×