Kabhi laga kitab ki shakal ho
kabhi laga jaise shayar ki gazal ho
itna Kahan Samajh Paye tumhe
laga jaise Rubik’s ki puzzle ho!!
Kabhi laga Sone ki chidiya ho
kabhi laga hamari pyaari gudiya ho
itna kahan samajh paye tumhe
laga jaise aafat ki pudiya ho!!
kabhi laga mehekti hui rose ho
kabhi laga hamari adhuri khoj ho
itna kahan samajh paye tumhe
laga jaise pyaar ka overdose ho!!
kabhi laga khili hui dhoop ho
kabhi laga chicken ka soup ho
itna kahan samajh paye tumhe
laga jaise apsara ka roop ho!!