Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Email kya hai | Gmail par account kaise banaye step by step full guide

Tags: gmail email aapko
Aapne Email ka naam to suna hi hoga , ho sakta hai kuch logo iske bare me kuch pata na ho , iska upyog kya hota hai . To aaiye janiye email ke bare me basic jankari .

E-mail kya hai :-


E-mail yani electronic mail , message bhejne ka ek medium hai . Yeh computer network me light speed se traval karta hai. Ham aasani se hazaro- lakho k.m. dur message bhej sakte hai.
Bahut si companiya hai jo email services provide karti hai unme Gmail main he . Gmail ke alawa yahoomail , hotmail ,rediffmail etc. bhi ye services provide karti hai .

 Gmail kya hai :-


Gmail google dwara shuru ki gai email seva he . Jiski madad se ham aasani se electronic mail bhaj sakte hai .




* Gmail ki madad se Email Id kaise banaye :-


Step 1:-  sabse pahle gmail.com ki website ko open kare :-


Sabse pahle apne apne computer or laptop ke browser ko kholkar www.gmail.com type kare . Iske baad apke samne ek new window open hogi.


Step 2.  Create account :-


Jese hi aap Gmail.com ki site open karenge aapko niche create account ka option dikhega us par click kare .


Step 3.  Ab apni details bhare :-


Jese hi aap create account par click karenge aapke samne ek form khulega. Yaha apko apna naam , surname etc. bharna he aur ek email Id choose karni hai.

* Name :- is box me aapko apna naam dalna hai.

* username :- Is box me aapko apna username chunna hai, ye user name hi aapko gmail Id hogi . Username unique hona chahiye . Agar aapke dwara dala gaya username pahle se mojud he to aapko koi dusra name dalna hoga , aap apne user name ke baad 123 bhi laga sakte hai jaise [email protected] ye apka apna unique username hoga.

*  Create a password  :-

Yaha par aapko apna password set karna hai . Aap different aur aasani se yad rakhne wala password hi chune .

*   Confirm your password :-

Aapke dwara chune gaye password ko ek bar fir se enter kare.

* Birthday :-

Yaha par apko apni birth date dalana he.

*  Gender :-  gender select kare

*  Mobile phone :-  Is box me apna mobile no. dale

*  Location :-  Is box me apko apni country select karna he .

Ye sab details bharne ke bad ek bar fir se cheak kar le .

Step 4. I agree par click kare :-


Jaise hi aap agree pe click karenge aapke samne ek window open hogi . Ab niche scroll kar ke AGREE par click kare.

Step 5.  Continue to Gmail :-


Ab aapko continue to gmail par click karna he . Ab aapki gmail Id ban chuki he . Continue to gmail par click karne ke baad aapki gmail id ban chuki he ab aap email send aur receive kar sakte he.

Agar aapko Email id banane me koi problem aaye to hamse comment kar jarur puche .






This post first appeared on Hindifire - Blogging, SEO, please read the originial post: here

Share the post

Email kya hai | Gmail par account kaise banaye step by step full guide

×

Subscribe to Hindifire - Blogging, Seo

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×