Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

10 WordPress Plugin Jo Apke Blog Me Install Jarur Kare

10 WordPress Plugin Jo Apke Blog Me Install Jarur Kare

WordPress me blog banane ke bad koun kounsa Wordpress Plugin apne blog me install karna chahiye apko is post me batauga.MyGyanBlog readers kiya app new wordpress blogger hai tou me apke liye ye post leke aya hu.Jab log first time wordpress me new blog banate hai tab unko jyada pata nahi hota hai ki wordpress me koun sa plugin install karna chahiye.Tou mei apko is post me batauga wordpress me koun kounsa plugin install karna chahiye.

WordPress site me apko bahut sare plugin milega.Lekin sabhi plugin humare liye helpful nahi hota.Me apko un plugin ke bare me batauga jou most important hai.Tou dosto chaliye shikhte hai kiya kiya wordpress plugin apne blog me install karna chahiye.

  • WordPress Sidebar Categories Me Icons Kaise Add kare
  • Blog Keliye Best WordPress Theme SEO Friendly

WordPress plugin Jou App Install Karna Chaiye.

WordPress me un plugin ko install karna chahiye jiska rating achhi ho aur update kiya huwa version ho.Agor koi plugin install karna chahte hai tou sabse pehle plugin update hai ya nhi aur uska rating kaisa hai sabhi kuch check karke he plugin ko install karna chahiye.Agor apne wordpress me blog bana liya hai ya tou banane ke bare me chose rahe hai tou app niche diya huwa plugin ke bare me jaraur jan lena cahiye.

Yoast Plugin :

Ye ek SEO wordpress plugin hai aur wordpress blog keliye sabse best plugin mane jate hai.Jyadatar blogger yoast plugin he apne blog me use karte hai.Aur ek best seo plugin hai jiska nam hai All in one seo .Lekin in dono me se koun sa best plugin kaha jaye tou mei apko kahuga ke yoast seo plugin.agor apke blog wordpress me hai tou app yoast plugin he use kare.

  • WordPress Blog Me Google Adsense Ads Kaise Add Kare
  • Hostgator Hosting Par WordPress Install Kaise Kare
Adsense Integration WP QUADS :

Ye ek adsense plugin hai.Agor app apne blog me adsense code add karna chahte hai tou app is plugin ko install kar sakte hai.Bahut he badhiya plugin hai.Me bhi isi plugin ko apne blog me install kiya hai.

Akismet :

Jab app hosting khord kar apne blog install karenge tabhi ye plugin install hoke ata hai.Ye plugin spam comment ko remove karne keliye diya jata hai.App Akismet site par register hoke api key ke duwara app is wordpress plugin ko active kar sakte hai.

Jetpack :

Jetpach ek bahut he world wide popular wordpress plugin hai.Is plugin ki madat se app apne blog ke traffic dekh sakte hai.Aur apke post ko Google+,Facebook,Twitter jaise social site par auto share kar sakte hai.

WP Smush :

Jab app koi bhi image apne post me add karte hai tab ye plugin automatically Image thora chota kar dete hai.App is plugiin me manually bhi apke image size ko apne jarurot ke anusar bana sakte hai jou seo keliye aur website speed keliye best hai.

WP Super Cache :

Ye plugin caching ko auto clear karke apne wordpress site ko jaldi loading hoti hai.App apne blog ke loading first karne keliye ye plugin install kar sakte hai.

  • YouTube Video Download Kaise Kare Bina Software Ke
Wordfence Security :

App apne blog ko secure rokhne keliye ye plugin sabse best hai.Ye plugin website security keliye install kar sakte hai.Me bhi ye plugin apne blog me use kiya hai.

Updraftplus :

Jab apne blog backup lenge tab ye plugin app install kar sate hai.App apne backup file ko is plugin ke jariye save kar sakte hai.

NextScripts :

Jab app koi bhi post apne blog me post karenge tab ye plugin apke sabhi post social site par auto share kar dete hai.Is plugin ke jariye bahut sare social site par apne post ko auto share kar sakte hai.

Contact Form 7

Ye plugin bhi app install kar sakte hai.Ise apko apke viewers asanise contact kar sakegi.Tou app viewers help keliye Ye plugin install karna chahiye.

  • Facebook Account Hack Kaise Kare Sabse Easy Tricks

Aur bhi bahut sare plugin hai jou apko apne blog keliye jarurot hogi.App un plugin ko bhi install kijiye jou plugin apke wordpress site keliye chahiye.

Tou dosto maine kuch wordpress plugin ke bare me bataya jou apne wordpress site par install hona chahiye.App bhi ye sabhi plugin install kijiye aur apne blog ko helpful banaye.Agor apko mera ye post achha loga tou app share karna nahi bhuliye aur sath me social site par bhi follow jarur kijiye.

The post 10 WordPress Plugin Jo Apke Blog Me Install Jarur Kare appeared first on MyGyanBlog.



This post first appeared on MyGyanBlog, please read the originial post: here

Share the post

10 WordPress Plugin Jo Apke Blog Me Install Jarur Kare

×

Subscribe to Mygyanblog

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×