Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Email Subscription Kaise Enable Kare Feedburner Par In Hindi

Hello friends, pichli articles me humane jana tha ki feedburner par feed kaise create karte hai. Aur feed banane ke baad blog me feedburner feed kaise add karte hai. I hope aapne apna feedburner feed create karke blog me add kar liya hoga. Ab next process me aapko apne blog par email subscription start karna hai.

Agar aapne abhi tak feedburner email subscription ko enable nahi kiya hai. To jab bhi visitors aapke blog ko subscribe karenge, to unhe kuch iss tarah ki error show hogi. Isme likha hoga ki email subscriptions band hai, niche image dekhe.

Email subscription ke bahut fayde hai, aur agar aapka blog hai to ye bahut jaruri bhi bhi hai. Feedburner email subscription ki help se aap apne blog ki traffic increase kar sakte hai. Kyuki jab koi aapke blog par email subscribe karega to aapki next post ki notification email ke through subscribers ko mil jati hai.

Feedburner Par Email Subscription Kaise Start Kare

To abhi tak aap samajh hi gaye honge ki blog ke liye email subscription kitna jaruri hai. Email subscriptions kaise enable karte hai, chaliye niche diye easy steps me janate hai.

Step 1

Sabse pehle apne feedburner account me login kare, aur apne feed par click kare.

Step 2

Ab next page me aapka feedburner feed ka dashboard open hoga. Isme niche diye steps follow kare.

  1. Publicize tab par click kare.
  2. Email Subscriptions par click kare.
  3. Activate button par click kare.

Lijiye aapka feedburner email subscription enable ho chuka hai. Ab aapke visitors aasaani se aapke blog ko subscribe kar sakenge. Aur unko kisi bhi tarah ki error show nahi hogi.

Feedburner me Email Subscription Kaise chalu karte hai, ab aap samajh gaye honge. Iss article se related kisi bhi tarah ka saval ho to comment karke puch sakte ho. Agar ye jaankari aapko helpful lage to social media par share bhi jarur kare.

Ye Bhi Padhe

  • Schedule Blog Post Kaise Kare Automatically
  • Online Image Compressor Se Image Size Reduce Kaise Kare
  • Top 100 High Quality Backlinks Aur Bookmarking Sites
  • Google Search Me Post Ko Jaldi Index Kaise Kare
  • Blog Post Body Ke Niche Share Button Kaise Add Kare
  • Google Keyword Planner Tool Ka Use Kaise Kare

The post Email Subscription Kaise Enable Kare Feedburner Par In Hindi appeared first on Hinglish Help.



This post first appeared on Hinglish Help, please read the originial post: here

Share the post

Email Subscription Kaise Enable Kare Feedburner Par In Hindi

×

Subscribe to Hinglish Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×