Ajab mushkil muhabbat Kar Raha hai
Woh mere Dil se hijrat kar Raha hai
Samajhta hoon main khud ko or tanha
Woh kehta hai Muhabbat Kar Raha hai
Abhi kuch dair palkein mat jhapakna
Koi lamha ebadat kar raha hai
Tumhare pyar ka zakhmi sipahi
Muhabbat ki hifazat kar raha hai
Tumhari surmageen aankhon ka jadoo
Bapa dil par qayamat kar raha hai
Woh ek din aasman par urr sake ga
Parindoo ki jo khidmat kar raha hai