Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Secret Agent -- Surendra Mohan Pathak- Update - 1

Secret Agent -- Surendra Mohan Pathak

Update - 1


 subah 11 baje ka waqt tha jabki Mumbai police headquarters ki teesri manzil ke ek mini confrence room jaise kamre me ek mini confrence hi jaari thi. us confrence ki sadarat khud Mumbai police commissioner Juvaari ne karni thi lekin khade pair uske Liye home minister ka bulaava aa gaya tha to ab uski jagah uski vo duty joint commissioner Boman moravaala sambhaal raha tha. uske atirikt Vaha jo teen baavardi police adhikaari aur maujood the unme se ek Daadar district ka DCP Nitin paatil tha, dusra headquarter me hi tainaat additional commissioner Sanjeev dikshit tha aur teesra Nitin paatil ke under aane vaale 9 thaane me se ek Rrant road thaane ka SHO Shyam rao mahatre tha.
un afsaran me Mahatre ki aukaat sabse choti thi, headquarter ke ucchadhikaariyo ke saamne hamesha vo apna darja ek chapraasi ka paata tha, lekin apne DCP ke hukum par ushe yaha haajiri bharni pad rahi thi aur vo vaha joint commissioner ke rubaru yu baitha huva tha jaise ki kursi ki seat par kaante lage huve ho. ye abhi ushe maaulm hona baaki tha ki kyo uski vaha haajiri jaroori samjhi gayi thi.
confrence me discuss hone vaale subject ki baabat albatta ushe maalum tha.
subject tha : Kona-Kona island aur uska maujooda corrupt nizaam.
Kona-Kona island Arab saagar me sthaapit tha aur prakratik soundarya ke lihaaz se kudrat ka karishma tha. vo bahut shaant tourist town tha jiski sthaayi local aabaadi mushkil se 2 hajaar thi. island par ek manoram jheel thi jiske daaye baaju ek pahadi ilaaka tha jo Aestoria hill ke naam se jaana jaata tha aur jis par saare maharashtra ke saadhan sampann mahanubhaavo ke luxary cottage the jinme se koyi hi kabhi saara saal aabaad dikhaayi deta tha. bade, raees log, family ke saath, friends ke saath, keeps ke saath picnic ke liye, tafreeh ke liye, mouj-masti ke liye, relaxation ke liye aate the, jee bhar jaata tha to vaapis chale jaate the, fir aa jaate the. raeeso ka aisa aagman Kona-Kona island par round the year chalta tha. saara saal hi vaha sailaaniyo ki aavajaahi rehti thi kyonki unke liye vaha manoranjan ke aise intjaam bhi maujood the jinki ijaajat rajya ka kaayda-kanoon nahi deta tha. kaayde-kanoon ke naam par vaha aarajkata ka raaz tha. bahut upar tak ab is baat ki haajiri thi ek arse se island par do logo ka kabja tha jinme se ek vaha ki naammatra ke vajood ki municipality ka president tha aur dusra vaha ke thaane ka thaanedaar tha.
yahi baat us confrence ka mudda thi jo ki moolroop se commissioner ki maujoodgi me hone vaali thi.
" ye kaam " joint commissioner Boman moravaala keh raha tha," Mumbai police ke scope me nahi aata. Kona-Kona island hamari juridication nahi. uska nijaam us district ke DCP ke under aata hai jiske under ki Murud aata hai jabki Kona-Kona island Mumbai se kareeb 85 kilometer par hai. Murud se, jo ki coastal tourist town hai, vo 155 kilometer ke faasle par hai. ye visanagati, vyavastha angrejo ke jamaane se chali aa rahi hai jis par punarvichaar karne ki, jisko revise karne ki kabhi koyi koshish na huyi. baharhaal is silsile me jo hai so hai. no "
sabke sir sehmati me hile.
" Murud, jaisa ki maine kaha, yaha se 165 kilometer par hai. baharhaal hame upar se order issue hua hai ki is project ko hum handle kare, is tareeke se handle kare ki jiska asal me ye kaam hai, unko bhi kaano-kaan khabar na ho ki island par kuch naya ho raha hai " joint commissioner ek kshan thithka aur fir bola," Murud se aur idhar Mumbai se Kona-Kona island ke liye steamer chalte hai jinki service itni badhiya hai ki paryatako ko vaha pahuchne me koyi dikkat nahi hoti. island par helipad hai isliye jiski samarth ho vo helicopter se bhi vaha pahuch sakta hai. it goes without saying ki aisi samarth keval un V.I.P.'s ki hi hai jinke ki vaha luxary cotaage hai "
koyi kuch na bola.
" tourist ke liye vaha manoranjan ka har ek saadhan uplabdh bataaya jaata hai. sharaab aur shabaab ka khula darbaar to vaha hai hi, kehte hai ki ek juaghar bhi vaha bade suchaaru roop se, bina kisi khaas chupaav ke, suchaaru roop se chalta hai. is vajah se aurato ke rasiya aur juve ke shoukin log vaha bhaari tadaad me pahuchte hai. yaha tak suna gaya hai ki kuch tourist agenciya to Kona-Kona island ke Bangkock style ke sex tours organize karne lagi hai " joint commissioner apne shabdo ka prabhaav apne maathato par dekhne ke liye ek kshan ruka fir aage bola," lekin ye sab, prostitution, gambling bhi higher ups ki chinta ka vishay nahi hai, kyonki ye dono kaam yaha Mumbai me bhi bahutayat me hote hai aur un par rok lagaane ki police ki bharpoor koshisho ke baad bhi nahi rukte. police raid karke ye kaarobaar ek jagah se ukhaadti hai to vo dusri jagah shift ho jaata hai, teesri jagah shift ho jaata hai. gentleman, home ministery ki chinta ka vishay ye hai ki unke paas kuch aisi, unconformed reports pahuchi hai ki Kona-Kona island drugs smugling ka aur arms smugling ka adda banta jaa raha hai. hum nahi jaante ki is baat me kitni sacchaayi hai lekin ye hum barabar jaante hai ki hum nahi chahte, rajya ka nijaam nahi chahta ki Kona-Kona island ka character Swanneck point vaala ban jaaye. hum nahi chahte ki Pakistaan ki shah paaye Abdul Majeed dalvayi ki sarparasti me foola-fala Swanneck point tabaah hua to uski jagah ab Kona-Kona island le le "
" aisa kaise hoga sir " DCP Nitin paatil bola," kyo hone denge hum, kya problem hai "
" problem hamari ye laachaari, ye bechaargi hai ki haqikat ko bhaanpne ke liye, confirm karne ke liye hamara jo bhi undercover agent Kona-Kona island par kadam rakhta hai, fouran pehchaan liya jaata hai. nateejtan vaha chalta casino yu gaayab ho jaata hai jaise kabhi vaha tha hi nahi. vaha ki eat ukhaade milne vaali prostitutes overnight me gaayab ho jaati hai ya sambhraant tourist mahilaaye lagne lagti hai. baar vaha legal hai, scotch, whisky vaha aam milti hai lekin vo smugling ki hoti hai, excised unpaid hoti hai. lekin hamare undercover agent ki island par maujoodgi ki bhanak lagte hi bars par scotch ki bottels legal, excised paid dikhne lagti hai. koyi kahi drugs ka hint de to ushe giraftaar karva diye jaane ki dhamki milti hai. hamara secret agent abhi vaha pahucha nahi hota ki samjho vaha raamrajya sthaapit ho jaata hai "
" kamaal hai "
" kamaal hi hai. aur ye kamaal ek baar nahi, picchle do saal me kayi baar ho chuka hai "
" kaise ho paata hai "
" rakshak hi bhakshak hai, aise ho paata hai "
" ji "
" hamari intelligence report ye kehti hai ki vaha ke thaane ka thaanedaar, SHO, station house officer, Anil mahabole naam hai, vo hi main villian hai. ushi ne apna aisa khufiya tantra vaha sthaapit kiya hua hai ki jab bhi koyi sarkari aadmi udhar ka rukh karta hai, ushe advance me hi khabar lag jaati hai. mujhe kehte huve afsos hota hai lekin kehna padta hai ki is silsile me uski salaahiyat kaabil-e-rashk hai. his resourcefullness is envieable "
" that's too bad "
" ofcourse it's too bad. koyi badi baat nahi ki is silsile me ushe Murud se bhi madad milti hai "
" Murud se " additional commissioner Dikshit sakpakaaye lehje se bola.
" haan "
" lekin Murud se... "
" samjho bhai, ek maamuli inspector, yaha se 85 kilometer door ek thaane ka thaanedaar yaha headquarter me ghaat nahi laga sakta lekin Murud ke DCP tak pahuch bana sakta hai jiske under ki uska thaana aata hai. khuda na kare ki DCP galat ho, lekin agar ho to socho, apne unche rutbe se vo kya nahi kar sakta "
" oh, to isliye upar se hukum hua hai ki hamare present project ki kisiko kaano-kaan khabar na lage "
" now you understand "
" excuse me sir " DCP Nitin paatil bola," aise thaanedaar par ankush lagaane ke aur bhi to tareeke hai "
" ushe vaha se transfer kiya jaa sakta hai, yahi kehna chahte ho na "
" j..ji haan "
" kiya jaa sakta hai, suspend karke uske khilaaf departmental enquiry bhi bithaayi jaa sakti hai lekin ye kadam is waqt nahi uthaaya jaa sakta, maujooda haalaat me nahi uthaaya jaa sakta "
" gustaakhi maaf sir, vajah "
" sunne me aaya hai ki gujre waqt me usne vaha apni aisi taakat bana li hai ki vaha se hataaye jaane par bhi vo remote control se island ka nijaam control kar sakta hai "
" naye SHO ko apni kathputli ki tarah nacha sakta hai "
" haan "
" oh no "
" aisa hi sunne me aaya hai. upar se local municipality ke president Baburao mokashi ke saath uska haath aur dastaane jaisa gathjod hai. aur upar se khud commissioner sahab ka khayaal hai ki apni nayi startegy ke tahat agar hum ushe thodi aur dheel de to uska over-confidence hi uske patan ka kaaran ban jaayega. vo khud apna waterloo banega. is silsile me uski ek kartoot buniyaad ban bhi chuki hai "
" vo kaise, sir "
" vo taakat ke mad me itna ainth chuka hai ki apne aapko island ka baadshah samajhta hai. samajhta hai ki jo koyi bhi island par basa hai aur baahar se aakar kadam rakhta hai, vo uska subject hai aur vo jaise chahe uske saath pesh aa sakta hai. ishi ainth me haal me aisi kartoot ki ki jin par exposed nahi tha, un par bhi expose ho gaya "
" kya kiya "
" Mumbai se vaha pahuchi Meenakshi kadam naam ki ek tourist mahila ko sare raah rok liye. mahila filmstars jaisi naujawaan aur jagmag bataayi jaati hai. Northpior road par apni car drive karti aa rahi thi ki Mahabole ki, jo ki tab daaru aur vardi ke dohre nashe me tha, us par nigaah padi, usne ghutno tak laar tapkaayi aur apni jeep uske raaste me adakar ushe rok liya, bola, jigjag chala rahi thi, chalaan hoga. saath me hint dene laga ki agar vo uspar meharbaan hoti to chalaan maaf ho sakta tha. mahila ne hint na liya to boal heroin ki baramadgi dikha dunga, le jaakar hawalaat me band kar dunga, aisi durgat hogi ki saari polish utar jaayegi. mahila us dhamki se ghabra gayi, talaashi ke liye apna handbag pesh karne lag gayi ki uske paas drugs jaisi koyi cheej nahi thi. Mahabole ne handbag khola aur usme maujood 100-100 dolaar ke do note apne kaabu me kar liye aur mahila ko chale jaane diya. gentleman, aap soch rahe honge ki ye vaakya hamare, Mumbai police, ke notice me kaise aaya "
sabke sir sehmati me hile.
" vo mahila idhar NCP ke ek MP ki kareebi thi, Mumbai pahuchkar usne vo tamaam kissa MP ko sunaaya to MP aagbaboola ho utha, ushe lekar seedha matralya me home minister ke paas pahuch gaya jo ki sarkar me ushi ki party ka hai. minister ne ushi waqt khade pair hamare commissioner ko mantralya me talab kiya jaha ki us strategy ki buniyaad bani jo ki is waqt under discussion hai. home minister ki sehmati ke under ye faisla hua ki island ke corrupt nijaam ko thoda arsa aur chhut di jaaye aur is baar koyi aisa undercover agent talaash kiya jaaye jo mahakme ka ho bhi aur na bhi ho. yaani ki padtaal par jiska koyi rishta mahakme se na joda jaa sakta ho. jis par kisi bhi surat me police ka bhediya hone ka shak na kiya jaa sake. yu hum nirvivaad roop se is baat ki tasdeek hone ki ummeed kar rahe hai ki island ka nijaam sirf police aur local civil administration ke havaale hai ya vo unhi logo ki madad se aspinayej ka, narcotics aur arms smuggling ka bhi gadh bana hua hai "
sabne gambheerta se sehmati me sir hilaaye.


To be continued........  Part2 


This post first appeared on Marathi Bendhund Stories, please read the originial post: here

Share the post

Secret Agent -- Surendra Mohan Pathak- Update - 1

×

Subscribe to Marathi Bendhund Stories

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×