Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

How to unblock yourself on WhatsApp - 2 new methods

Hi guys.. Welcome to the latest topic how to unblock yourself on WhatsApp.. Kya kisi ne aapko WhatsApp par block kar diya hai. Koi baat nahi itrickguru hai.

Aaj ke time lagbhag har koi smartphone user hai. Aur un smartphones par WhatsApp bhi installed hai. WhatsApp ka use hum apne friends and families se connect rahne ke liye karte hai. But kabhi kabhi aisa bhi situation aata hai ki saamne wala hume block kar deta hai. Agar aapki girlfriend ne aapko block kar diya hai to niche diye 2 methods ko use kare. In 2 methods se aap apni girlfriend se dubara baat kar payenge yani khud ko WhatsApp par unblock kar payenge.



Phichhli post me humne kisi bhi website ko download karne wali tricks ke baare me padhe the. Aaj hum dekhenge ki kaise WhatsApp par khud ko unlock kar sakte hai.

WhatsApp par aap kisi se baate kar sakte hai jo aapke contact me ho. Jisse aap chat kar rahe ho uska aap profile picture (DP), last seen, status etc dekh sakte hai. But agar kisi ne block kar diya to na hi usse chat kar payenge, na DP, status last seen dekh payenge. To aise me iske contact se unblock hona zaruri hai. WhatsApp par aisi koi facility/option nahi hai jisse aap khud ko unblock kar payen. Jisne aapko block kiya hai sirf wo hi aapko unblock kar sakta hai. Aise me aap in 2 methods se khud ko unblock kar unko surprise Karen.

To

How to unblock yourself on WhatsApp - 2 methods

1. By creating a group

Agar aapko lagta hai jisne aapko block kiya hai wo ek chhoti si request se aapko unblock kar sakta hai to ye method helpful hai. Isme aapko new group create kar usse chat kar khud ko unblock kara sakte hai.
But block karne ke baad aap us number ko group create karne ke liye bhi nahi le sakte.. To aise me kya karen..

Aise me aapka kaam gayega aapka friend..

- Sabse pahle apne friend ka mobile lekar uska number save karen jisne aapko block kiya hai.

- Ab apne friend ke WhatsApp ko open kar refresh karen.. Isse uska number show hone lagega.

- Ab ek new group create karen jisme aapka friend (jis number se group ban raha hai), aapko jisne block kiya hai wo aur aap apna number add karen.

- Group create hone par us group me teen members hi hai aap, aapka friend, aur wo jisne block kiya hai.

- Ab aapka friend aapko group admin bana kar group left kar dega. (Girlfriend ho to number bhi delete karna na bhoole LOL)

- Group me sirf do members bach gaye ek aap aur ek wo..

To start kariye chatting... Aap unblock ho sakte hai....

bina ads ke WhatsApp paise kaise kamati hai.
WhatsApp par games aur apps kaise send karen

2. Deleting WhatsApp account

Group create kar chatting karne ke baad bhi aapki girlfriend maan nahi rahi hai.(LOL)
Pahle method se aap khud ko unblock nahi kar paye to WhatsApp account delete kar dubara new account banana hi last lifeline hai.

Ye method thoda uncomfortable hai kyoki isse aapke sare messages, chat, groups sabhi delete ho jayega. Agar chat backup kar restore kar sakte hai tab to thik hai nahi to data lost ho jayega.

Girlfriend se baat karne ke liye banda kuch bhi karega..

- Sabse pahle apna WhatsApp open karen

- Setting me jaye aur account me click karen Sabse last me delete WhatsApp account option dikh jayega.

- Waha click kare aur next page me country code and number enter kar continue par click kar de.



- Thodi derr me aapka account/data delete ho jayega.

- WhatsApp uninstall kar de. Aur Google Play Store se new version of WhatsApp install kar le.

- Fir apne usi number se new WhatsApp account create kar le.
Jis jis group me pahle join the use fir se join kar..
- WhatsApp account delete karne se unke server se hi aapka number delete ho jayega. Aur aap automatically unblock ho jaoge.
- Dubara WhatsApp account banane par number WhatsApp walo ke pass chala jayega but aap kisi WhatsApp user se block nahi rahoge.

To yahi tha 2 simple sa method WhatsApp par khud ko unblock karne ka. Agar in dono methods se aap khud ko unblock nahi kar paye.. To sorry, iske elawa koi dusra tarika abhi available nahi hai. Agar hume dusra tarika milta hai to yahi post kar denge. Post reading and website visiting ke liye thanks. Agar aapke pass koi question hai to niche comment box me puchh sakte hai. How to unblock yourself on WhatsApp post aapko thodi si bhi helpful rahe to friend ke sath share karen. Thanks..

WhatsApp ko kaise banaye colorful bina koi theme ke
Kaise increase kare battery backup
WhatsApp status se paise kaise kamaye


This post first appeared on ITrickGuru, please read the originial post: here

Share the post

How to unblock yourself on WhatsApp - 2 new methods

×

Subscribe to Itrickguru

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×