Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

BHIM - Kaise use karen BHIM App, Send Receive Money via BHIM, Puri jankari hindi me

BHIM- KAISE USE KAREN BHIM APP, BHIM APP KI PURI JANKARI HINDI ME


Hello guys welcome to iTrickGuru
Guys jaisa ki aap jaante hai India cashless hone wala hai har kaam without cash debit card, credit card wallet, se hone wala hai to in kaamo ko aur bhi aasan aur secured tarike se karne ke liye PM NARENDRA MODI se ek naya app launch kiya hai jiska naam BHIM (Bharat Interface For Money) hai

Isse aapka har kaam ekdum aasan ho jayega puri security ke sath.. Dosto BHIM app abhi top par hai launch ke 3 din me hi 86,000 Download aur playstore par 4.0 ki rating bhi mil gayi hai ji bahut hi accha hai.

BHIM app kaise use karen


Friend BHIM app ko use karna hi ekdum aasan hai quick hai aur puri tarah hackers se secured hai.. Chaliye jante hai BHIM kaise use karen aur iske kuch facts..


BHIM APP KAISE USE KAREN


1. → Sabse pahle Google Play Store me jaye aur BHIM search kar, BHIM App Download karen

Ya fir yaha click kare aur app download kare
↓↓↓↓↓
Install BHIM App for free

2. → Uske baad app open kare, apna language select kar next karte jaye, aapko mobile number bhi verify karna padega SIM select kar verify kar le. Apne Bank Account ko is App me Register karen.

3. → Register karte time aapko Apne liye ek 4 digit ka UPI Pin Set Up karna hoga.. 4 digit number type kar next kar de.

4. → User ka Mobile Number hi uske Payment ka Address hoga.

5. → Ek baar aapka Registration pura hone ke baad Aap apne Transaction BHIM App me start kar sakte hai.


BHIM APP KI PURI JANKARI, PAISE KAISE SEND KARE AUR KAISE RECEIVE KAREN.


‣1. BHIM App par apne Friend, ghar se durr apne family member ya apne customer ko paise bhej aur le sakte hai.

‣2.BHIM App par sabhi Transaction Registered mobile number yani ki Payment Address, jo number register kiye the, us par bheja ya liya ja sakta hai

‣3. Aap bina UPI facility wale bank me bhi paise transfer kar sakte hai.
Iske liye aap MMID aur IFSC facility ki help le sakte hai

‣4. Aap kisi other Registered Mobile Number ya User se Money Receive karne ke liye Request bhi send kar sakte hai.


BHIM APP ME BANK ACCOUNT KE LIYE UPI PIN KAISE SET KAREN.




  • 1. Sabse pahle BHIM App ke Main Menu me jayen.
  • 2. Uske baad Bank Accounts ko Select karen.
  • 3. Uske baad Set UPI Pin, Option ko select karen.
  • 4. Uske baad apne ATM/Debit Card ka 6 Digit wala Number daalna hoga. Card ke Expiry Date ke sath.
    Uske baad aapko bank me registered mobile number me OPT milega.
  • 5. ONE Time Password App में enter karne ke baad aap apna UPI Pin bana sakte hai.


    KAUN KAUN SE BANK KO SUPPORT KARTA HAI BHIM APP


    BHIM APP India ke lagbhag sabhi bank ko support karta hai ekaak do ko chhod ke jaise Bank Of India.

    Lekin niche diye gaye Bank ke list ko BHIM app puri tarah se support karta hai.

    #8259; Allahabad Bank
    #8259; Andhra Bank
    #8259; Axis Bank
    #8259; Bank of Baroda
    #8259; Bank of Maharashtra
    #8259; Canara Bank
    #8259; Catholic Syrian Bank
    #8259; Central Bank of India
    #8259; DCB Bank
    #8259; Dena Bank
    #8259; Federal Bank
    #8259; HDFC Bank
    #8259; ICICI Bank
    #8259; IDBI Bank
    #8259; IDFC Bank
    #8259; Indian Bank
    #8259; Indian Overseas Bank
    #8259; IndusInd Bank
    #8259; Karnataka Bank
    #8259; Karur Vysya Bank
    #8259; Kotak Mahindra Bank
    #8259; Oriental Bank of Commerce
    #8259; Punjab National Bank
    #8259; RBL Bank
    #8259; South Indian Bank
    #8259; Standard Chartered Bank
    #8259; State Bank of India
    #8259; Syndicate Bank
    #8259; Union Bank of India
    #8259; United Bank of India
    #8259; Vijaya Bank


    BHIM APP SE KUCH OTHER INFORMATION

  • BHIM App ko use karne wale User apna Balance bhi Check kar sakte hai aur apne Transaction se related information bhi.
  • Users apne Phone Number par Custom Payment Address bhi bana sakte hai
  • Jald se jald Transaction ko pura karne ke liye aap QR Code Scan bhi use kar sakte hai.
  • Sabse zabardast baat ye ki aap BHIM App English Hindi dono hi language me use kar sakte hai.
  • Government ka kahna hai ki aap jald hi BHIM App other language me bhi use kar sakte hai.


  • This post first appeared on ITrickGuru, please read the originial post: here

    Share the post

    BHIM - Kaise use karen BHIM App, Send Receive Money via BHIM, Puri jankari hindi me

    ×

    Subscribe to Itrickguru

    Get updates delivered right to your inbox!

    Thank you for your subscription

    ×