Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

IMEI number kya hai, Ise generate kaise kiya jata hai - Secret Tricks


IMEI number kaise generate kare


Hello friends welcome to iTrickGuru Friend Aaj main aapko is article me bataunga bahut hi kaam ke information.

Aaj ke post me main aapko bataunga ki mobile me IMEI number kya hota hai. Aur iski mobile me zarurat kyo hoti hai. Ye mobile me kaam kya karta hai.
Vaise to doato IMEI number ke baare me lagbhag sab jante honge but ye secret information shayad hi aapko pata hoga. IMEI number kyo zaruri hai, isko generate kaise kiya jata hai aaj ke is me main aapko yahi information Dene wala hu

Kya Hai IMEI number? Kyo zaruri hai IMEI

IMEI ka full form hai International Mobile Equipment Identity(IMEI)

Ye number aapke mobile ki pahchan karata hai. Har mobile me ye number alag alag hota hai
Jab aap ek new mobile lete hai to aapke mobile ko imei se register kiya jata hai. Future me jab aap us mobile ko kisi ke sath sell karte hai, ya online sell karte hai to is imei number ki zarurat padti hai
GSM, CDMA aur IDEN aur other setellite phone me bhi ye number hota hai. Ye 15 digits (kabhi kabhi 16-17 digits) ka unique code hota hai jisme mobile ka model, mobile banne ki jagah, aur mobile ke serial number ke baare me likha hota hai.

Also Read: Phone Khone par bhi pata karen IMEI number

Kuch time pahle India me about 2 Cr. 50Lak log bina IMEI number ka mobile use karte aa rahe the. 30 November 2009 ki night se bina IMEI Number wale mobile band kar diye gaye.

Kisi bhi Mobile ka IMEI number us mobile ke current location ko batata hai. Isse pata lagaya ja sakta hai ki mobile owner ya mobile ko rakhne wala kahan hai. Agar aapka mobile chori ho jata hai ya kho jata hai to isi number se phone ko Trace kiya jata hai. Yadi aap apne phone ka IMEI number dekhna chahte hai to dialer pad me *#06# type karen ye show ho jayega.
Double Sim wala phone ho to 2 IMEI number show hoga.

IMEI number ka kya use/benefits hai

1. IMEI number ka use kisi bhi criminal ko pakadne me kiya jata jata hai.

2. Agar phone chori ho jaye ya Kho jaye to ise trace karne ke liye kiya jata hai

3. Android Device me Android App install karne  par ye IMEI collect kar kar fraud ko rokta hai.

3. Koi APP aapke IMEI number ko read kar mobile ke according service deti hai.

Kaise banta hai IMEI Number, IMEI number generate karne ka math

IMEI Number 15 digit ya IMEISV 16 Digit ka hota hai. Is number me Device ka serial number manufacturer company aur manufacturing place ke baare me information hota hai. IMEI/IMEISV ki structure ko 3GPP TS 23.003 ke rupp me show kiya jata hai.
Device ke model par IMEI/IMEISV ke starting 8 digit ko Type Allocation Code (TAC) ke name se jana jata hai. Jise mobile Company banati hai. IMEI/IMEISV ke last ke digit "Luhn Check Digit" (LCD) hota hai Jise IMEI distributer ke nirdesh se "Luhn Algorithm" pranali se banaya jata hai.

Also Read : Android Phone ka Password Crack karen is new method se

Example ke liye

Kisi Mobile ka IMEI Number 49015420-323751-8Hai to iska starting 8 digit  49015420 Type Allocation Code (TAC) hai.
Next 6 digit 323751 Mobile Company dwara diya gaya number hai. Aur last ka ek digit matlab 8 Luhn Check Number hai

Also Read : Pan Card Aur ATM card me likhe huye number ki jaankari

Check digit ko 3 steps me generate kiya jata hai.

Step1 =  Right side se har dusre digit ko double kiya jata hai.
Jaise IMEI 49015420323751? isme "?" wale digit ko nikalna hai to IMEI ke har second number ko double karna hai
49015420-323751
To sabse pahle 1 ka double 2
5 ko left kar 7 ka double 14
3 ko left kar 2 ka double 4
Etc..

Also Read : Free Paytm cash for new and Old Paytm user

Step 2 = uper diye step ko follow karne par koi number double digit ka aaye to use plus kar dena hai Jaise 7 ka double karne par 14 aa raha hai to ise plus karna hai 1+4=5

Step 3 = Sabhi number ko plus kiya jata hai aur check kiya jata hai ki 10 se divide ho raha hai ya nahi.

Example:IMEI number 49015420323751 ke liye Check digit nikalna hai to

IMIE : 49015420323751 ?
Double every other : 41802582034314528

Sum digit :
4 + (1 + 8) + 0 + 2 + 5 + 8 + 2 + 0 + 3 + 4 + 3 + (1 + 4) + 5 + 2+ ?
Total = 52 + ?

Ab 52 me 8 ko add karne par 60 ho jayega aur 10 se divide ho jayega to is IMEI number ka check digit 8 hai.

Also Read : Ek baar me 200 Miss call dekar dosto ke sath karen prank

In sabse pata chalta hai ki IMEI number kisi bhi mobile ke liye bahut hi useful hai aur bahut se information ka storeroom hai. Yah kisi crime ko rokne ke liye bahut hi helpful hai.
To guys aap bhi apne mobile ke sath kuch galat kaam na karen nahi to phir problem me pad sakte ho.im


This post first appeared on ITrickGuru, please read the originial post: here

Share the post

IMEI number kya hai, Ise generate kaise kiya jata hai - Secret Tricks

×

Subscribe to Itrickguru

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×