Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Attitude Shayari, Shakhsiyat Ki Kya Misaal Doon


Apni Shakhsiyat Ki Kya Misaal Du Yaro
Na Jane Kitne MashHoor Ho Gaye
Mujhe Badnaam Karte Karte.
अपनी शख्शियत की क्या मिसाल दूँ यारों
ना जाने कितने मशहूर हो गये
मुझे बदनाम करते करते।

Itna Bhi Gumaan Na Kar
Apni Jeet Par Ai Bekhabar,
Shahar Me Teri Jeet Se Zyada Charche To
Meri Haar Ke Hain.
इतना भी गुमान न कर
अपनी जीत पर ऐ बेखबर,
शहर में तेरे जीत से ज्यादा
चर्चे तो मेरी हार के हैं।

Aadten Buri Nahi Shauk Unche Hain,
Varna Kisi Khwab Ki Itni Aukat Nahi Ki
Hum Dekhen Aur Poora Na Ho.
आदते बुरी नहीं, शौक ऊँचे हैं,
वर्ना किसी ख्वाब की इतनी औकात नही कि,
हम देखे और पूरा ना हो।

Khud Se Jeetne Ki Zid Hai Meri,
Mujhe Khud Ko Hi Harana Hai,
Main Bheed Nahi Hoon Zamane Ki,
Mere Andar Hi Zamana Hai.
खुद से जीतने की जिद है मेरी,
मुझे खुद को ही हराना है,
मैं भीड़ नहीं हूँ दुनिया की,
मेरे अन्दर ही ज़माना है।

Aankh Uthha Kar Bhi Na Dekhun,
Jis Se Mera Dil Na Mile,
Jabran Sabse Haath Milana,
Mere Bas Ki Baat Nahin.
आँख उठाकर भी न देखूँ,
जिससे मेरा दिल न मिले,
जबरन सबसे हाथ मिलाना,
मेरे बस की बात नहीं।


This post first appeared on Faltu Post, please read the originial post: here

Share the post

Attitude Shayari, Shakhsiyat Ki Kya Misaal Doon

×

Subscribe to Faltu Post

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×