Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Attitude Shayari, Chamak Chhod Jaaunga


Zarron Mein RahGujar Ke Chamak Chhod Jaaunga,
Pehchan Apni Dur Talak Chhod Jaaunga.
Khamoshiyon Ki Maut Ganwara Nahi Mujhe,
Sheesha Hoon Toot Kar Bhi Khanak Chhod Jaunga.
ज़र्रों मे रहगुजर के चमक छोड़ जाऊँगा,
पहचान अपनी दूर तलक छोड़ जाऊँगा,
खामोशियों की मौत गंवारा नहीं मुझे,
शीशा हूँ टूटकर भी खनक छोड़ जाऊँगा।

Mere Dushman Bhi Mere Mureed Hain Shayad,
Waqt-BeWaqt Mera Naam Liya Karte Hain,
Meri Gali Se Gujarte Hain Chhupa Ke Khanzar,
Ru-Ba-Ru Hone Par Salaam Kiya Karte Hain.
मेरे दुश्मन भी मेरे मुरीद हैं शायद,
वक़्त-बेवक्त मेरा नाम लिया करते हैं,
मेरी गली से गुजरते हैं छुपा के खंजर,
रुबरू होने पर सलाम किया करते हैं।

Haalat Ke Kadamo Par Sikandar Nahi Jhukte,
Toote Huye Taare Kabhi Zamin Par Nahi Girte,
Bade Shauk Se Girti Hai Lahrein Samundar Mein,
Par Samundar Kabhi Lahron Mein Nahi Girte.
हालात के कदमों पर समंदर नहीं झुकते,
टूटे हुए तारे कभी ज़मीन पर नहीं गिरते,
बड़े शौक से गिरती हैं लहरें समंदर में,
पर समंदर कभी लहरों में नहीं गिरते।

Mizaaj Mein Thodi Sakhti Lazimi Hai Huzoor,
Log Pee Jaate Samandar Agar Khara Na Hota.
मिज़ाज में थोड़ी सख्ती लाज़िमी है हुज़ूर,
लोग पी जाते समंदर अगर खारा न होता।

Meri Saadgi Hi GumNaam Rakhti Hai Mujhe,
Jara Sa Bigad Jaaun Toh MashHoor Ho Jaaun.
मेरी सादगी ही गुमनाम में रखती है मुझे,
जरा सा बिगड़ जाऊं तो मशहूर हो जाऊं।

Zalzale Unchi Imaarat Ko Gira Sakte Nahi,
Main Toh Buniyaad Hun Mujhe Koi Khauf Nahi.
जलजले ऊँची इमारत को गिरा सकते हैं,
मैं तो बुनियाद हूँ मुझे कोई खौफ नहीं।

Jubaan Par Mohar Lagana Koi Badi Baat Nahi,
Badal Sako Toh Badal Do Mere Khayalon Ko.
जुबां पर मोहर लगाना कोई बड़ी बात नहीं,
बदल सको तो बदल दो मेरे खयालों को।

Ugte Huye Sooraj Se Milate Hain Nigaahein,
Hum Gujari Hui Raat Ka Maatam Nahi Karte.
उगते हुए सूरज से मिलाते हैं निगाहें,
हम गुजरी हुई रात का मातम नहीं करते।


This post first appeared on Faltu Post, please read the originial post: here

Share the post

Attitude Shayari, Chamak Chhod Jaaunga

×

Subscribe to Faltu Post

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×