Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Blog Post Par Traffic Kaise Badhaye – Bus Ye 15 Tarike Jaan Lijiye

Blog Post Par Traffic Kaise Badhaye – Ek website ko grow karne ke sabse jaruri factor uski site par aane wala traffic hota hai. Blog traffic aapki in cheezon me help karta hai –

  • Aapki website ki marketing kitna badiya kaam kar rahi hai.
  • Aapki website ka SEO score kitna improve ho raha hai aur aapki site ki search engine credibility badh rahi hai ya nahi.
  • Aapke users ke bare me ek idea milna.
  • New users ka generate hona.

Halanki, Aapko in sab benefits ko achieve karne ke liye aapko sahi direction me kaam karna hoga taki website par genuine aur quality traffic increase ho sake. Is post me hum aapko batayenge ki blog par Traffic Kaise Badhaye. Toh aayiye shuru karte hain.

Blog Par Traffic Badhane ke 15 Tarike

Blog par traffic kaise badhaye iske liye hum aaj aapko 15 tareeke batane ja rahe hain. Har blogger ki tamanna hoti hai ki uska blog speed se grow kare. Iske liye kuch log Black-Hat-SEO tak karne lag jate hain, jo ki kafi galat hai.

Starting me in galat ways jaise blog traffic generator, blog traffic increase software use karke blog par traffic to laya ja sakta hai. Lekin usse –

  • Blog traffic me Genuine Users ke na aane se aapki website ka bounce rate increase hota hai jo ki aapke liye bilkul bhi thik nahi hai. Google algorithm jaldi hi aapki site ka blog traffic source pakad lega.
  • Agar relavant traffic aapke blog par nahi aayega to aapki website ka quality score down ho jayega.
  • Aapke blog ki universal rank kafi jyada down ho jayegi. Fir usey wapis apni original rank tak pahunchne me kafi jyada time lag sakta hai.

In sabse achcha hai achche se aur genuine tariko se blog traffic increase kiya jaye. Jinke bare me hum aaj janenge.

1. BLOG KI THEME KO PREMIUM THEME ME CHANGE KIJIYE

Blogger Starting me free themes ka use karte hai. Starting me jab shuruaat zero se ki jaye to free theme ka use karna sahi rahta hai. Lekin jab aapka blog grow karne lagta hai to aapki sabse badi tension blog par traffic kaise badhaye iski hoti hai.

Free theme na to jyada responsive hoti hai aur load hone me kafi time leti hai. Agar aapka blog 3-4 seconds me load nahi ho pata to user exit kar jata hai aur bounce rate badh jati hai.

Aapko har haal me aisi theme ka selection karna hoga jo Responsive aur mobile friendly theme ho. Sath hi uska speed score achcha ho. Ek user aisi site par hi jana chahega jahan Blog Page tezi ke sath open ho. Agar aap blog par traffic badhana chahte hain to aaj hi free theme change kar dein.

2. BLOG POST KO SHARE KARNE KE LIYE SOCIAL ICONS POST ME LAGAYE

Jyadatar Blogger Social Media Follow links to apni Post me laga lete hain lekin Post ko Share karne ke liye share icons nahi add karte. Share icons add karne se user post ko share kar sakta hai.

Jisse sahi user aapki website par traffic ban kar aata hai aur aapke blog ki productivity ko badhata hai. Isliye share icons blog post me jarur add karna chahiye.

3. SEO FOCUSSED TITLE LIKHE AUR KEYWORDS JARUR ADD KARE

Koi bhi post Google Search me rank position tabhi gain karti hai jab aap post ka title achche se likhte hain. Long tail keywords ka title me use karna chahiye. Title me post ke main keywords ko include karte hue 60 words me achcha sa title banaye taki jyada se jyada traffic blog par aa sake.

4. DUSRE BLOG PAR RELATED POST ME COMMENT KARNE KI HABIT BANAYE

Post publish karne ke baad aapko apni post se related dusre blog ki post par comment karna chahiye. Isse aapki website ko ek Backlink bhi milega. Sath hi dusre blog se traffic divert hokar aapke blog tak aayega.

5. RELATED POST FUNCTION KO ENABLE KARE

Har blogger ko apni post me post category se related post ko jarur show karna chahiye. Iska sabse bada benefit yah hota hai ki user ko koi aur information chahiye to wo easily toggle kar sakta hai. Isse traffic to badega hi aapke page views bhi badhenge.

6. LONG LASTING POST LIKHNE KI KOSHISH KIJIYE

Blogger ko aisa content likhna chahiye ki wo post lambe samay tak padhi ja sake. Aisi post na likhe jo 3-4 months ke baad out dated ho jaye.

7. EYE CATCHING HEADINGS LIKHIYE

Post ki headings aisi ho ki user aapki post ki ek ek line ko padhne ko majboor ho jaye. Title bhi aisa ho jise padhkar user click kare. Isse aapke blog post Ka CTR badhega.

8. POST KA ON PAGE SEO OPTIMIZE KIJIYE

Blogger ko apni post me SEO achche se karna chahiye. H tags, Keywords, bullet list, quote, Image Alt Attribute, Title Attribute, description, Meta description, internal links, outbound links, interlinking of posts achche se karna chahiye.

9. LONG TAIL KEYWORDS USE KIJIYE

Apni post me keywords use karte time koshish kijiye ki exact keywords ke sath sahi jagah par long tail keywords ka istemal ho.

10. GUEST POST LIKHIYE

Bahut sari websites aisi hoti hai jo blogger ke liye guest post offer karti hai. Yani ki aap unke liye Guest Post likh sakte hain. Agar aapki post ko approval mil jata hai to post publish hone ke sath aapko ek backlink bhi mil jata hai aur related readers aapke blog par aane lag jate hai.

11. DUSRO KO BHI APNE BLOG PAR GUEST POST KE LIYE OFFER KIJIYE.

Dusre bloggers ko Guest Post ke liye invite karne se bhi aapke blog par traffic badhta hai. Isliye apne blog me Guest Post ke liye invite kijiye.

12. SCHEMA MICRODATA METHOD APPLY KIJIYE

Blogger ko apni post me Schema Microdata ka optimum use karna chahiye. Blog post me Rich Snippets ka use kijiye. Taki post ko achchi rating mil sake. Jitni achchi rating hogi reader aisi hi post ko padhna chahega.

13. POST ME INTERNAL LINKS BANAYE

Aapki post me internal links jitne relavant honge post Google SERP me utni behtar postion pa sakegi. Koshish kijiye ki same category ki us post ka internal link apni post par banaye jo sabse jyada traffic pa rahi ho.

14. NEWSLETTER YA RSS FEED KA USE POST ME KIJIYE

Dosto, reader ko aapki website ka domain name yaad rakhna mushkil hota hai. Agar ho bhi jata hai to latest post ke liye usey baar baar aapki website par aana padhta hai.

Agar reader ko new post nahi milti to wo bina time bekar kiye site se exit kar jata hai aur aapke blog ki bounce rate badh jati hai. Isliye aisi position me aapko newsletter ya google feedburner service ka use jarur kijiye.

Kisi bhi new post ke publish hote hi ek email aapke subscriber ke paas chala jata hai. Jisse reader ko pata chal jata hai ki aapne koi new post likhi hai. Isse reader directly aapki website par pahunchta hai. Ye readers aapke premium readers hote hai.

15. APNI POST KE COMNENTS ME REPLY JARUR KIJIYE

Agar aapki post me reader aapko comment karta hai to reply jarur karna chahiye. Isse reader aur aapme healthy human relationship build hoti hai. Sath hi reader aapke blog ko long time tak traffic deta rahta hai.

Toh dosto ye the Blog post par traffic kaise badhaye ke kuch khas 15 tarike. Inki help se ye to pakka ho jayega ki aapki website ab achcha rank karegi. Agar aapne inka use nahi kiya hai to aaj hi shuru kar dijiye. Post ko jyada se jyada share kijiye.

SHARING IS CARING.

  • What Are The Advantages Of WordPress CMS In Hindi
  • What Is Domain Authority? DA – Full Information.
  • Google Ads Kya Hai, Ads Auction Kaise Kaam Karta Hai

The post Blog Post Par Traffic Kaise Badhaye – Bus Ye 15 Tarike Jaan Lijiye appeared first on Mehandipur Balaji Blog Website.

Share the post

Blog Post Par Traffic Kaise Badhaye – Bus Ye 15 Tarike Jaan Lijiye

×

Subscribe to जीवन को उत्सव की तरह जीना सिखाते श्री कृष्ण

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×