Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رضي الله عنه Faazil e Bareilly

بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ

》》》》》Aala Hazrat رضي الله عنه Ki Wiladate Ba Sa'adat.《《《《《

●●●● Aala Hazrat رضي الله عنه ki wiladat 10 shawwal 1272 hijri bamutabiq 14 june 1856. Baroz e shumba zohar ke waqt shehair e bareilly muhalla jasooli Mein huwi.

Aapka paidaishi naam Muhammad aur tareekhi naam Al-Mukhtar hai. Jadde Amjad Maulana Raza Ali ne aapka ism "Ahmed Raza" rakha. 

Aapne apni 4 baras ki nanhi si umr mein Quraan Shareef nazra khatam kar liya. 6 saal ki umr mein maah e rabi ul awwal shareef ki taqreeb mein mimbar par raunaq afroz ho kar bahot bade maj'me ki maujoodgi mein zikre Meelad Shareef padha.

6 baras ki hi umr mein aapne maloom kar liya tha ke Baghdad Shareef kis janib hai, phir uss waqt se damey aakhir tak Baghdad Shareef ki jaanib paauñ (leg) nahi phailaya.

Jis qadar aap kafiroñ, murtadoñ, mulhidoñ aur be deenoñ par sakht the yuñhi sunni musalmanoñ aur Aulma e Haq ke liye abre karam the jabh kisi sunni aalim se mulaaqat hoti to dekh kar baagh baagh ho jaate aur aisi izzat o qadr karte jiske laayak woh apne aap ko na samajhta.

Jabh koi sahab Hajje Baitullah Shareef karke aapke khidmat mein haazir hote toh unse pehle yahi puchte "Sayyede Aalam ﷺ  ki baargahe bekas panah mein bhi haazri di?" Agar woh Haa kehte to fauran unke qadam choom lete aur agar kehte ke nahi to phir unki jaanib bilkul tawajjo na farmate.

Aala Hazrat رضي الله عنه 
8 saal ki umr e pak mein ek arbi zabaan mein kitab likh kar sab ko hairan kar diya aap 13 saal 10 maah aur kuch din mein Mufti ban gaye.

Aala Hazrat رضي الله عنه ke mijaz takreer aur tehreer mein jo sakhti thi woh Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ke gustakho ke liye thi. Wafadaroñ ke liye to aap abr e karam they.

Aala Hazrat رضي الله عنه ka zaahir aur baatin ek tha jo dil mein hota wahi zabaan se zaahir farmate aap ki kisi se dosti dushmani sirf Allah ﷻ aur Rasool ﷺ ke liye hoti.

Aala Hazrat رضي الله عنه ke yahañ Mehfil e Meelad hoti to aap Sa'adat e kiram ko dugna nazrana dete aur Sa'adat ka khoob ehteram karte.

Aur aap mureed bhi huwe to Marehra Shareef mein Huzoor Sayyad Aale Rasool Ahmadi رضي الله عنه se.

Sayyad Aale Rasool Ahmadi رضي الله عنه farmate hai mujhe badi fikr thi ke Allah Rabbul Izzat puchega ke Aale Rasool tu kya laaya hai to Maiñ kya kahunga. Magar abh Main Maulana Ahmed Raza ko pesh kar dunga

Kisi shayar ne iss waqiye ko kya khoob bayaan kiya hai.

"Roz e mehshar agar mujse puche khuda, Bol Aale Rasool tu laaya hai kya...
 Arz kar dunga laaya hu Ahmed Raza, Ya khuda ye Amanat salamat rahe".

》》》》》Aala Hazrat رضي الله عنه  ka pehla Fatwa《《《《《

●●● 13 saal 10 maah aur 5 din ki umr shareef mein 14 shabaan 1286 hijri 19 november 1869 ko aap farig-ul-tehseel huwe aur dastaar e fazeelat se nawaze gaye.

Ussi din masaeel e raja'at muta'alliq ek fatwa likh kar apne walid e majid ki khidmat mein pesh kiya. Jawab bilkul sahih tha.

Walid e majid ne yeh dekh kar ussi waqt se fatwe nawesi ki jaleelush shaan khidmat aap ke supurd kar di.

 Baatil ko baatil likhha,aur haqq likhha iss waste,
Sabh fatwoñ par bhari hai, Fatwa Aala Hazrat ka.


Aalahazrat رضي الله عنه ki zindagi ka har gosha itteba e sunnat ke anwaar se munawwar thi aapki zaat itteba e sunnat mein Hazraat Sahaba e Kiraam رضي الله عنهم ka namuna thi. 

Aapne bohat si murdah sunnatoñ ko zinda farmaya unhi mein namaz e jumu'ah ki azaane saani hai, jisko aapne RasoolAllah ﷺ aur Khulfa e Rashideen رضي الله عنهم ki sunnat ke mutabik khateeb ke saamne kharije masjid dilwaane ka riwaaj qaaem kiya. 

Aalahazrat رضي الله عنه ne Sadrul Afaazil Maulana Sayyed Naeemuddin Muradabadi علیـــــہ الــــرحمـــــة والـــرضوان se farmaya "Maulana tamanna to yeh thi ke Ahmed Raza ke haath mein talwaar hoti aur Sarkar ﷺ ki shaan mein gustakhi karne waaloñ ki gardane hoti aur apne haath se un gustakho ka sar qalam karta, lekin talwaar se kaam lena to apne ikhtiyaar mein nahi haa Allah Ta'ala ne qalam ata farmaya hai. To maiñ qalam se sakhti aur shiddat ke saath in be deeno ka radd is liye karta hu taake Huzoor e Aqdas ﷺ ki shaan mein badzabani karne waaloñ ko apne khilaaf shadeed radd dekh kar unko mujh par gussa aaye, phir jall bhun kar mujhe galiyañ dene lage aur mere Aaqa ﷺ ki shaan mein gaaliya bakna bhool jaaye.

Isi tarah meri aur mere aaba o ajdaad ki izzatoñ aabru Huzoor e Aqdas ﷺ ki azmate jaleel ke liye qurban hojaye.

Mere Aala Hazrat رضي الله عنه  ko, Nisbat hai Sarkar ﷺ se,
To kyu na khann khann khankega, Sikka Aala Hazrat رضي الله عنه ka 


Allah Ta'ala ne Sarkaar Aala Hazrat رضي الله عنه
ko quwwate haafiza mein bada kamaal diya tha yuñ toh Quran e Majeed ka aksar wa beshtar hissa aapko zubani yaad tha lekin purey Quran e Majeed ke aap hafiz nahi they. 

Ek martaba kisi na waqif shakhs ne apne ek areeza mein aapke alqaab ke saath Hafiz likh diya husn e ittefaaq se uska woh areeza 29 shabaan ko aapki khidmat mein pahucha. 

Doosre hi din se aapne Quran e Majeed hifz karna shuru farma diya aur har roz ek parah hifz karke taraweeh ki namaz mein aap suna dete yahañ tak ke ramzan ki 27vi ko magrib se pehle hifz e Quran e Majeed poora kar liya aur sirf ek mahine ki mukhtasar muddat mein aap haafiz hogaye.


Kis Tarah Itne Ilm Ke Dariya Baha Diye
Ulmaa e Haqq Ki Aql To Hairaa'n Hai Aaj Bhi.


Huzoor ﷺ ki tazeem aur unki Aulad se muhabbat aur unse judi har cheez se bepanah muhabbat yahi Aala Hazrat رضي الله عنه ka maqsad e zindagi tha aur yahi sacche Aashiq e e Rasool ﷺ ki pehchan hai.

Aala Hazrat رضي الله عنه apne ilm, amal aur Ishq e Rasool ﷺ ki bina par pehchane jaate hai woh aise Aashiq e Rasool ﷺ the jiski misaal duniya pesh nahi kar sakti.

Aala hazrat رضي الله عنه farmate hai, Huzoor ﷺ ki adna si gustakhi karne wala tumhara kaisa hi azeez kyu na ho usse dil se aise nikal pheko jaise dudh se makhhi. Ishq e Rasool ﷺ ne aapko woh takat ata ki thi jisse aap kisi duniyadar se na dare na dabe jo haq tha woh farmaya chahe accha lage ya bura 

Aur farmate hai, "Jinke talwoñ ko dhowan hai aabe hayat,
Hai wo jaane masiha hamara Nabi ﷺ"

Aur Aala hazrat رضي الله عنه ki badmazhabo ke liye sakhti ke iss andaz ko Huzoor Tajush Shariah دامت برکاتہم العالیہ aage badhate huwe apne kalam mein farmate hai,

"Nabi ﷺ se jo ho baigaana, Usse dil se juda karde,
Pidar maadar biradar maal o jaa'n unn par fida karde"

Aur yahi Maslak e Ahle Sunnat hai jisse aaj ke daur mein pehchan ke liye maslak e Aala Hazrat kaha jata hai.

Allah Rabb ul Izzat apne pyare Habeeb Qul Jahaañ ke Mukhtar Janab e Ahmed e Mujtaba Muhammed Mustafa ﷺ ke sadke hamein aur hamari aane wali nasloñ ko issi haq maslak par zindagi de aur issi haq maslak par hamara khatma bil khair ho.

   آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ

Doosri martaba jabh Ziyarat e Haramain Shareefain ke liye Madina Tayyaba mein hazir huwe, to shauk e deedar mein muwajah e shareef ke saamne khade ho kar rote rahe. 

Darood o Salaam pesh karte rahe aur yeh ummed lagaae khade rahe ke aaj Huzoor ﷺ zaroor nigaahe karam farmayenge aur apni ziyarat se zaroor musharraf farmayenge .

Lekin uss shab ziyarat na ho saki. Aapka dil bahut toota aur ussi toote huwe dil ke saath ek kalaam aapne likha. 
Jis ke pehle chand ash'aar yeh hai,

Wo sue lalazaar phirte hain,tere din aey bahaar phirte hain.

Us gali ka gada hu maiñ jis mein,
Maangte taajdar phirte  hain.

Isi maqta mein apni qalbi aarzu poora na hone ki taraf isharah karte huwe badi aajzi wa inkisari ke saath dard bhare andaz me aap ne farmaya.

Koi kyuñ puche teri baat RAZA
Tujhse kutte hazaar phirte hai"

Ye naat likh kar muwajahe shareef ke samne dast basta khade ho kar apni qalbi kaifiyat Huzoor ﷺ ke samne arz kardi. Phir RasoolAllah ﷺ ne karam farmaya aur aisa karam farmaya ke aalame khawab mein nahi balke aalame mushahidah mein bachashme sar bedaari ki halat mein usi raat apni ziyarat se musharraf kardiya.

سُــــبْحانَ الله

Phir aalahazrat ne apne isi chain aur qaraar ko apne ek shair me yuñ bayan farmaya.

Ek tere rukh ki raushni chain hai do jahañ ki
Anas ka anas ussi se hai jaan ki woh hi jaan hai.

Imam Ahmed Raza ne 1330 Hijri mein Quraan e Hakeem ka tarjuma farmaya jo Kanzul Imaan Fi Tarjamatil Quraan ke naam se mashoor hai.

Urdu tarajim e Quran ki saff mein kanzul imaan ko imtiyaazi haisiyat haasil hai. Kanzul imaan ke husne tarjuma par Huzoor Muhaddise Aazam likhte hai, "Jiski na koi misaal arbi zubaan mein hai na faarsi mein aur na urdu mein uska ek ek lafz aisa hai ke doosra lafz us jagah par laya nahi jaa sakta.

Ba zaahir to ek tarjuma hai magar dar haqeeqat Quraan ki sahi tafseer, balki sach to yeh hai ke urdu zaban mein Quraan hai" 

Maulana Kausar Niyazi farmate hai, "Imam Ahmed Raza Ne Ishq Afroz Aur adab aamoz tarjuma kiya hai. Yeh imaan parwar tarjuma Ishq e Rasool ﷺ ka khazeena aur ma'aarife islami ka ganjeena hai". 

Khidmat quraane paak ki wo lajaawab ki
Raazi Raza se Saahibe Quraan hai aaj bhi.

◇◇◇ Aala hazrat رضي الله عنه  ne apni saari zindagi Ishq e Mustafa ﷺ ki daulat takseem karne mein laga di duniya bhar ke bade bade aulma aur fuqha ne aapko mujaddid tasleem kiya, kayi university mein aap par research ho rahi hai.

◇◇◇ Aapke natiya kalam ki  saari duniya mein dhoom hai aaj bhi, aur In Sha Allah subhe qayamat tak rahegi, jo lazzat aur ishq e Rasool ﷺ ki gehraai aapke kalam mein paayi jaati hai woh be mislo misaal hai.

◇◇◇ Aapka likha huwa kalam "Mustafa ﷺ jaane rehmat pe laakhoñ salam" wo kalam hai jo aaj duniya bhar mein Azaan ke baad sabh se zyada padha jata hai.

 ●Paigaam e Raza

Humne Samja na tha Aapka martaba,
Ek wali ne magar hum par ehsaan kiya
Surma e ishq aankhoñ mein pehna diya
Daal di qalb mein azmat e Mustafa ﷺ
Saiyyadi Aala Hazrat رضي الله عنه par lakho salam

◇◇◇ Aap ki taqreero, tehreero aur tamaam tasannefo ka khulasa e hasb mein 3 baatein paayi jaati hai.

●● Duniya bhar ki har ek laaeq e muhabbat wa mushtaheeq tazeem cheez se zyada Allah ﷻ wa Rasool ﷺ ki muhabbat aur tazeem.
●● Allah ﷻ aur Rasool ﷺ hi ki raza ke liye Allah ﷻ aur Rasool ﷺ ke dostoñ se dosti aur muhabbat.
●● Allah ﷻ aur Rasool ﷺ hi ki khushi ke liye Allah ﷻ aur Rasool ﷺ ke dushmano se nafrat aur adaawat.

Aala hazrat رضي الله عنه apni saari umr saari duniya ko yahi dars dete rahe aur batate rahe ke musalman ke dil mein in teeno baatoñ mein se ek baat bhi kaamil nahi to uska imaan kaamil nahi.

Dushman e Ahmed pe shiddat kijiye,
Mulhidoñ ki kya murawwat kijiye.

Gaiz mein jal jaaye be deeno ke dil,
Ya RasoolAllah ki kasrat kijiye.

Ek martaba Aala hazrat رضي الله عنه se kisi ne sawal pucha sabse afzal darood shareef kaunsa hai aur uss darood ko wazeefe ke taur padh sakte hai?

Aala hazrat رضي الله عنه farmate hai sabh daroodoñ se afzal woh darood hai jo sab aamaal se afzal yaani namaz mein muqarrar kiya gaya yaani Darood e Ibrahim.

[Fatawa Razviya Shareef, Jild 6, Safah 183.]


◇◇◇ Aala hazrat رضي الله عنه ko ye darood e pak bahot pasand tha kyuki yeh darood Allah ﷻ ke naam shuru hota hai.

◇◇◇ Aap kitne bade tauheed parast the ke Allah Wahduhu Laa Shareek ki wahdaaniyat unke dil mein kaisi rachi basi thi aur unko iss islami aqeede ki hifazat o fikr kitni thi iska andaza iss shair se pata chalta hai

Lekin Raza ne khatm e sukhan iss pe kar diya,
Khaleeq ka banda khalq ka Aaqa kahu tuje

●● Iss shair mein Aapne Huzoor ﷺ ko khalq ka Aaqa to kaha aur saath hi saath khaleeq ka banda keh kar Aqeeda e Tauheed ki poori taur par hifazat farmayi.


(Zikr e Khuda aur Aala Hazrat, Safah no. 22.)


●●● Aala hazrat رضي الله عنه Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ se be panah Ishq o Muhabbat balki Fana'fir Rasool hone ke bawajood woh aise tauheed parast the ke Huzoor ﷺ ke liye bhi sajda e tazeemi ke qaeel naa the.

Apne asha'ar mein Huzoor e Akdas ﷺ se ishq wa aqeedat aur uske saath shari'at ki hifazat ka izhar yuñ farmate hai.

 "Peshe nazar woh nau bahar, Sajde ko dil hai bekarar,
Rokiye sar ko rokiye, Haa yahi imtehan hai."

Aala hazrat رضي الله عنه farmate hai Ishq o Muhabbat ka ma'ana Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ki farmabardari hai aur farmate hai "Kisi ki tazeem yahi hai ke jis kaam se woh roke usse na kiya jaye"

[Al Malfooz Shareef, Jild 4, Safah 42.]

Aala hazrat رضي الله عنه jabh bhi dua maangte to Allah ﷻ se Huzoor ﷺ ki muhabbat maangte aur farmate

"Aisa ghuma de unki vila mein khuda hameiñ,
Dhundha kare par apni khabar ko khabar na ho"

●● Sayyedi Aala Hazrat رضي الله عنه jabh Hajj aur Ziyarat e Rauza e Rasool ﷺ  ke liye ghar se nikle tabh behtareen kalam likha jiska pehla shair kuch aise hai,

Shukre Khuda ki aaj ghadi uss safar ki hai,
Jis par nisar jaan falaho jafar ki hai

Madeena Shareef mein Rauza e Rasool ﷺ aur Aapke mimber shareef ke darmiyan jo tukda jis ko Huzoor ﷺ ne jannat ki kiyari farmaya haiñ uss mein jabh Aala Hazrat رضي الله عنه ko haazri naseeb huwi to fauran Allah ﷻ ki yaad aayi aur farmaya

"Jannat mein aake naar mein jaata nahi koi,
Shukre khuda navaid nazaato jafar ki hai"

●● Issi tarah Aala Hazrat رضي الله عنه ko peerane peer Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه se be panah aqeedat aur muhabbat thi jo aap ke kalam main jagah jagah nazar aati hai

"Tu ghataye se kisi ke na ghata hai na ghate,
Jab badhaye tuje Allah Ta'ala tera"

"Talab ka muÑh to kiss qabil hain Ya Gaus,
Magar tera karam qamil hain Ya Gaus"

●● Yeh hai Aala Hazrat رضي الله عنه ki sacchi Aashiqi, muhababt Allah ﷻ wa Rasool ﷺ aur Allah ﷻ ke neik muqarrab bandoñ ke liye. Isiliye ek shayar kya khoob likhte hai,

"Jo sunniyat ki shaan hain jo qaum ka imam hain,
Nabi ﷺ ka jo gulam hai ,
Raza ussi ka naam hai..

Saadat e Kiram ki tazeem ke hawale se Aala Hazrat Azeem ul Barkat رضي الله عنه farmate hai ke yeh fakeer saadat e kiram ka adna ghulam hai unki muhabbat wa azmat zariya e naja'at wa shafa'at jaanta hai aur apni kitaboñ mein yeh fakeer likh chuka hai ke Sayyed ki tazeem hum par har haal mein lazim hai.

Aur yeh bhi fakeer baarhañ fatwa de chuka hai ke kisi ko Sayyed samajhne aur uski tazeem karne ke liye humein apni zaati ilm se usse Sayyed jaanna zaroori nahi jo log Sayyed keh laye jaate hai hum unki tazeem karenge hume tehkikat ki haajat nahi naa siyadat ki sanad maangne ka hum ko hukm diya gaya hai.

Jiski nisbat humein khoob tehkeek maloom ho ke yeh Sayyed nahi aur Sayyed ban kar ghoome uski tazeem naa karenge naa usse Sayyed kahenge aur jo aise logoñ se naa waqeef ho unhein aagah karenge iss talluk se Sarkar e Aala Hazrat رضي الله عنه ek hikayat naql farmate hai:

Ek Shakhs kisi Sayyed se uljha unhone farmaya mein Sayyed hu to uss shakhs ne kaha kya sanad hai tumhare Sayyed hone ki?
Raat mein jabh woh soya to Ziyarate e Aqdas ﷺ se musharraf huwa, Hashr ka maidaan hai aur yeh bhi shafa'at ka talabgar huwa aur arz karta hai Huzoor ﷺ main aapka ummati hu toh farmaya kya sanad hai tere ummati hone ki ?

Allahu Akbar Allahu Akbar 

[Fatawa Razviya Shareef, Jild 12, Safah 120.]

Bani Israeel mein ek shakhs 200 saal tak fisq wa fizoor mein mubtala raha aur baad Inteqal uski magfirat farma di gayi iss wajah se ke usne Tauret Shareef mein (jo Moosa علیہ السلام ke daur ki kitab hai) Huzoor ﷺ ke naam e akdas ko dekh kar chuma tha.

Iss waqiye ke talluk se Sayyedi Sarkar Aala Hazrat رضي الله عنه farmate hai Rabb e Qadeer ke  karam ki koi inteha nahi uski rehmat chahe to croroñ saal ke gunaah mita de ek neki se saare gunaah muaf farma de aur Adal chahe to croroñ saal ki nekiyaa bhi radd farma de bas apne Mehboob ﷺ ki Muhabbat honi chahiye gale mein Mehboob ﷺ ki gulami ka patta hona chahiye.

Sarkar e Aala Hazrat farmate hai apne ek shair mein:

Mere garche gunaah haiñ had se siwa magar un se ummeed hai tujh se Rajaa,
Tu Rahim hai Unka karam hai gawaah wo karim haiñ  teri ata ki kasam.

●●● Darhi Rakhna yaani chehre par Sunnat e Rasool ﷺ sajana ek bahot azeem sunnat hai aur bahot maqbool wa baa-barkat sunnat hai aur usse naa rakhne (mundwane) par kitni sakht waeed hai jiske talluk se Sayyedi Aala Hazrat علیـــــہ الــــرحمـــــة والـــرضوان tehreer farmate hai,

●●●Woh shakhs jo darhi (beard) katata hai woh Allah o Rasool ﷺ ka nafarman hai.


●●● Darhi katane waale ki soorat yahoodioñ aur kaafiroñ ki soorat jaisi hai.


●●● Woh shakhs Huzoor Rehmat e Aalam ﷺ ke giroh se nahi.

●●● Darhi mundo ki gawahi qaabil e qubool nahi.


●●● Aakhirat mein badnaseeb hoñge subah ho to Allah ﷻ ke gazab mein sham ho to Allah ﷻ ke gazab mein.


●●●Qayamat ke din darhi mundo ki soorat bigadi jaaegi.

 ●●● Darhi mundne wala Allah ﷻ o Rasool ﷺ ke nazdeek maloon hai duniya o akhirat mein maloon hai Allah o Farishte aur insano sabki uss par lanat hai.

●●● Allah darhi mundo par nazre rehmat naa farmaega.

●●● Woh shakhs jannat mein naa jaaeñge jo darhi mundata ho.

●●● Allah unhein jahannum mein dalega.

[Fatwaye Razviya Shareef, Jild 9, Safah 136 ,137.]

Aksar dekha gaya hai ke log apni marzi se yaa biwi yaa kisike bolne par darhi mundwate hai unheiñ ibrat haasil karna chahiye ke darhi mundana kitna sakth hukm rakhta hai.

Allah ﷻ usske pyare Habeeb ﷺ ke sadke hum sab ko neik samajh ki toufeeqe de.


     آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ

Masla 

Ilm e Deen itna seekhna har musalman aurat mard par farz hai ki apne mazhab, wazu, gusl, namaz aur digar zarooriyat ke masaeel jaan jaaye.
[Fatawa e Razviya Shareef Vol.23 Page No.647]

Masla 

Allah Ta'ala ke neik bande (Ambiya, Awliya, Shohda Wagairah) se madad maangna jayez hai. 
[Fatawa e Razviya Shareef, Jild 21 Safah, 305.]

Masla
Jin cheezoñ ko Huzoor ﷺ se nisbat hai unn cheezoñ ki ta'zeem karna haqeeqat mein Huzoor ﷺ ki tazeem hai.
[Fatawa e Razviya shareef, Jild 21, safah 402]

●●●   25 safar dophair 12 baje din mein Aala hazrat رضي الله عنه ne Hazrat Hujjat ul Islam se Surah Ra'ad padhwayi jisse bade itminaan aur bagaur aap sunte rahe phir Yaseen Shareef padhwai 2 baje paani talab farmaya jo pesh kiya gaya paani pee kar Kalma e Taiyyaba padhne lage kuch deir ke baad sirf isme jalalat (Allah ka naam) ka wird farmaya.

●●●  Yaani Allah Allah kehte rahe yahañ tak ki 2 baj kar 38 min. par daai azal ko labbaik kaha aur unki rooh e pak apne rafik e aala ki bargah mein chali gayi.

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥ

●●●  Dar asal duniya se jaate waqt zaban par Allah ka naam jaari hona yeh Huzoor Saiyyade Aalam ﷺ ke farman ke mutabik hai Hadees e Pak mein hai Rasool e Khuda ﷺ se pucha gaya ke kaun sa amal sab se zyada fazilat wala hai to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya "tum duniya se jaate ho aur tumhari zaban Allah ﷻ ke zikr se tar ho"

[Mishkaat Shareef, Baab Zikrullah, Jild 2, Safah 189]


●●●  Yeh Aala Hazrat رضي الله عنه ka ishq, Aqeeda Huzoor ﷺ se muhabbat ka aalam hai jo aakhri waqt mein bhi Sarkar e Do Aalam ﷺ ke farman par amal kar rahe hai.

Tum kya gaye ke raunak e mehfil chali gayi
Shero adab ki zulf pareshaan hain aaj bhi

Kyuñ Raza aaj gali suni haiñ
Uthh mere dhoom machane wale

●●●  Gusl shareef mein Aulma e Izaam Sa'daat  Kiraam aur Huffaz Aali Maqaam shareek they.
Janab Sayyed Azhar Ali Sahab ne lehad khodi,
wasiyat ke mutabiq Sadrush Shariyah Maulana Amjad Ali Aazmi ne gusl diya, Hafiz Ameer Hasan Sahab muradabadi ne madad di, Hazrat Maulana Hasnain Raza, Sayyed Mahmood Jaan Sahab,
Sayyed Mumtaz Ali wa deegar hazraat paani dene mein masroof they, Hazrat Naeemuddin Sahab muradabadi ne kafan shareef bichaya.

●●●  Aurtoñ ko ziyarat ka mauka diya gaya, ghar mein aurtoñ ki aur bahar mardoñ ki behad kasrat thi aisa josh kabhi na dekha gaya.

●●●  Kaandha dene ki aarzu mein aadmi par aadmi girte, jo janaaze tak pahunch gaye woh hatne ka naam na lete they janaza har waqt kam az kam 20 kaandho par raha poorey shehair mein namaz padhne ki gunjaesh nahi thi. 

●●●  Eidgaah ke wasee maidan mein namaze janazah huwi, baad namaz eidgaah mein ziyarat karayi gayi hasbe wasiyat "Tumpe Karodoñ Darood" Waali nazm naat khwan parh rahe theay.
[Wasaya shareef]

رضي الله عنهم

Farsh se matam utha jabh tum chale sooe jinaa
Arsh par dhoome'n machi lo aagaya fakhre zaman.

Kaam woh le hi liya tumko jo raazi kiya
Thik hai naam e Raza tumpe karooroñ darood

●●● Apke Sher-o-Sukhan  Me Dard Ke Saath-Saath Adab Bhi Hai Khusoosan Qasida e Rang Ilmi Qasida e Ishqi Qasida e Salam Qasida e Durood Aur Qasida e Me'eraj Wagairah Meiñ tou Pesh kiya Gaya Adab Bade Buland Paye Ka Hai.

●●● Apne Sher o Sukhan ka Sara Zor Naat Ke Maidaan Me Kharch Kia Aur Kabhi kisi Amir Badshah Nawab Hakim Wagairah ki Tarif me Kabhi Koi Gazal Wagairah Nahi likhi. Aap ne jab bhi hamd o naat likhi to sirf Allah Rabuul Izzat ki tarif o sana aur Sarkar e do Aalam ﷺ ki Shaan bayan ki hai.

 Ek Martaba Nan-Para (Ek Gaov ka Naam) ke Nawab ki Shaan me Shayaro Ne Qaside Likhe kuch Logo ne Guzarish ki ki Ap Bhi Nawab Nan-Para (Nan-Para ke Nawab) Ki Shaan Me Koi Qasida Likh de Uske Jawab Me Apne Ek Naat likhi Sarakar e Do Aalam ﷺ ki Shaan mai Jiska Misra yeah hai

Wo kamaal E Husne Huzoor hai ke gumaan ne Naqs jahaañ nahiñ
Yahi phool khaar se door hai yahi Shamma hai ki dhuwaañ nahiñ

●●● Aur Maqte Me Nan-para Ko Kitne Latif Andaaz me Ada Karte Hai
(Nan-Para ka Matlab Roti Ka tukda Hota Hai) jiska mafhum hota hai mera Deen roti ka tukda nahi hai

Karoon madh ehle duwal Raza pade is balaa meiñ meri balaa
Maiñ Gada hooñ Apne Kareem ka mera deen para e naañ nahiñ

》》》》》Sunni Wahabi Ki pehchaan《《《《《

●●● Aulma e Haq ke nazdeek Aala Hazrat se muhabbat rakhna sunniyat ki alamat hai aur aapse jalna aur bughz rakhna bad-deen hone ki pehchaan hai Maulana Qadir Baksh Sahsarani jo ek bohat bade mashoor Aalim aur zabardast mukarir the unse ek martaba kuch logoñ ne pucha Hazrat sunni-wahabi ki kya pehchaan hai?  Maulana Sahab ne ek bohat badhia aur aasan qayda bataya ki jabh Aap log kisike baareiñ mein maloom karna chahe ki woh sunni hai ke wahabi toh uske samne Aala Hazrat Shah Ahmed Raza Khan رضي الله عنه ka tazkira ched de aur uske chehre ko bagaur dekhiye agar chehre par khushi ke aasar dikhayi pade toh samajh lijiye ke sunni hai aur agar chehre par qudurat dikhai de toh samajh lijiye ke wahabi hai aur agar wahabi nahi jabh bhi usme kisi qism ki bedeeni zaroor hai.
                                        ▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪

Daulat-e-Makkiya" Alahazrat ki jinda javed karamat hai.Aapne bukhar ki haalat mein sirf saarhe aath ghante (8 hours 30 minutes) me bagahir kisi kitaab ki madad se apni khudadaad yaddasht ke bal par is kitaab ko poora farmaya.Aur tafaseer ahadees ke dalail se Huzur Sallallahu ta'ala Alyhi wasallam ke ilm e ghaib ko sabit kiya aur wahabiyon ko bada karata jawab bade kam waqt mein pesh  kiya.

                                      ●●●☆☆☆☆☆☆☆●●●


This post first appeared on Quranic Wazifas, please read the originial post: here

Share the post

Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رضي الله عنه Faazil e Bareilly

×

Subscribe to Quranic Wazifas

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×