Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Jild Ki Hifazat Ka Tarika

Jild Ki Hifazat Ka Tarika


Kiya skin ki chamak damak khatam hoti ja rahi ha aur peelahat se numaya hone lagi ha? Agar haan to ye body Mein Vitamin B 12 ki kami ka natija ho sakta ha. Ye intabah 1 tibbi research mein samne aaya. Vitamin B 12 DNA, sehatmand aesaab ko barqarar rakhne aur blood cells ke liye intahai zaroori hota ha.
Ye khoon ke cells ko tahaffuz dekar body mein blood ki kami se tahaffuz deta ha jabke ye body mein oxygen ko kaam kane mein bhi madad deta ha. Aam tor pr 1 baligh shakhs ko din bhar mein 2, 4 mg Vitamin B 12 ki zaroorat hoti ha jo aksar proein se bharpoor khoorak se hasil ho jati ha taham agar is mein kami ho jaye to jild mein peelahat numayan hone lagti ha.
Is hawale se gosht, chicken, egg aur milk ke products qabil zikar hein jabke vegetables ka bohat ziyada istemal is vitamin ki kami ka bai's ban sakta ha. Research mein bataya gaya hai ke aesa hone par body mein khoon ke red cells ki kami hoti ha aur khoon ke cells oxygen ko le janay ka kaam karne se qasir rehte hein jis ke natije mein khoon mein oxygen ki kami hoti ha aur peelahat numaya hone lagti ha. Research ke mutabqi yarqan bhi Vitam B 12 ki numayan kami ki alamat hota ha aur ye aagay barh kar jigar ke cancer ya hepatitis ke amraz ka khatra bhi barha sakti ha.


This post first appeared on Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Ti, please read the originial post: here

Share the post

Jild Ki Hifazat Ka Tarika

×

Subscribe to Islamic Knowledge, Rohani Ilaj, Health & Beauty Ti

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×