Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Ek Life aisi bhi..

Tags: nahi hain kuch


Vaise to maine soch liya tha ki ab koi post Nahi likhunga kyunki kisi ko nirash nahi karna chahta tha ki aap kitni bhi koshishe karein lekin kabhi-kabhi jab aap kisi aur ko samjhane ki koshish kar rahe hon to sayad aap nakamyab bhi ho sakte hain, kyunki yahan positive log negative log jyada hain...


Sayad main bhi ab un cheezon se bahut door aa chuka hoon log kehte hain ki main sab kuch bhool gaya hoon or kuch waqt baat kuch bhi yaad nahi rahega, lekin aisa to kuch nahi hua hai, haan mene apne man se kaha kyunki mujhe ab is baat me nahi padna ki god hai ya nahi, but man sayad hain jisse me apne dil ki baat kar sakta hoon... ki me haar beshak gaya hoon lekin ek baat batadun agar is duniya me kahin bhi god hain, soul hain to meri soul tab tak us parmatma (god) me nahi milegi jab tak apni bhawna ko lekar is lok se nahi jaunga otherwise chache yahin kitne hi janam tak bhatkta rahunga... lekin is lok se nahi jaunga, kehte hain Geeta me sab kuch such likha hai to me isi parmeshawar ki kasam khata hoon, ki tu yahan bhagyavidhata ban sakta hai lekin tujhe bhi apni Radha ki kasam hain mujhe tu yahan se bina meri bhawna k lekar nahi jayega...

Chache kitne hi janam na lag jayein...

Samay ne bahut kuch sikhaya hai, ek taraf jahan mujhe pata hai ki paise position bhi tabhi achche lagte hain jab aap khush hain, but pata nahi kuch logo ko kyun nahi samjha pata kabhi ki ye sab kuch nahi hain.. khushi badhane k liye sayad paise lag sakte hain but khush paane k liye nahi... Millionairs ko bhi mene akele rote dekha hai, but khush vande ko hamesha paise k liye rote huye nahi dekah...


pichle 1 saal me itna rejection dekha hai mene ki ab sayad kisi rejection ka farak bhi nahi padta... sayad me surrender kar raha hoon, lekin ye surrender pyar se hai kyunki yahan me kisi ko samjha nahi sakta lekin apne aap se nahi, apne goal se nahi aaj bhi mujhe kuch batein yaad hain, ki me bike se cycle ki taraf jaunga, bike se car ki taraf nahi...

Aaj bhi yaad hain log kaise mujhe poore year reject karte rahe hai, itna reject ki kabhi-kabhi to samajh hi nahi paya ki kya sahi hai kya galat, kai baar to aisa laga ki sayad me hi sabse buri situation me hoon. but ab mujhe pata hai log mujhse bhi poori conditions me hain...

Aaj bhi kuch log aise hain jinhe me samjha raha hoon ki please meri galti mat dohrana agar life me 2 choice ho ki kuch karna hai ya nahi to please kar lena, society ki parvah mat karna, gharwalon ki parvah mat karna because aap akele aaye the aur akele hi jayenge to phir apne decision par akele kuch face karne me problem kaisa?

Kyun nahi log samajhte ki paise, power hi sab kuch nahi hote kabhi kabhi pyar, mohabbat bhi kuch hota hain.. caste, religion se better humanity hai.. kyun nahi samajh paate...

kher kya kahun, maybe ye mera last post ho.. but ek baat jaroor kahunga.. ki agar kabhi Bhawna tum ye posts padho to ek baat kehna chahunga... ki mana mene galti ki lekin agar itni himmat ki hi thi to agar ek baar maaf karke mujhe vapas aane ka moka deti to dono ki life kuch aur ho sakti thi..... life ek baar milti hai... isko galti, bebkoofi, caste, relgion, paise, power jaisi cheezon par barbad nahi karna chahiye... ye life ek aisa cricket match hain jahan sabko ek inning khel kar jaani hain depend karta hai koi kaise kehlta hain, na to ab kabhi koi bhawna dobara paida hogi na koi pawan...

baitho raho society or family ko pakad kar ki maaf nahi karna, caste se alag hain... are tum log kya kabhi nahi maroge, ye caste saath le jaoge? insan apni skin tak saath nahi le ja sakta phir kis baat ka gussa, kis baat ka maan....

Pyar se badhkar kuch bhi nahi hai, kuch bhi nahi... Agar kabhi samajh me aaye to ek baar baat jaroor karna.....


This post first appeared on Pyar Ki Kahaniya-Love Stories, please read the originial post: here

Share the post

Ek Life aisi bhi..

×

Subscribe to Pyar Ki Kahaniya-love Stories

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×