Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Jindagi apni ya parao ki jaageer.

Hi friends,
Aaj ye post Main is soch ko lekar likh raha hoon, ki jab bhagwan ne har insaan ko alag soch di hai alag face diya, to phir hum log apne decision khud kyon nahi lete, kyon dusro ke commends par apni future decide karte hain.
Papa ka dream hai main engineer banu, Mom k gharwale kya kahenge agar main ko aur stream chuni, mera interest kismain hai iska koi matlab, nahi, even har ek decision lene se pehle mujhe sochna padta hai ki main jo kar raha hoon usko lekar Community ko to koi problem nahi hogi, ye community hai kya koi judge jo apni life chod kar bus dusro ke kaam ko monitor karti rahti hai, uska apna koi kaam nahi hai, apni koi lie nahi hai.. ajeeb pagalpan hai. Aur use badhava dete hain hum log jo apne sapno ko aag laga dete hai bus ye soch kar ki community kya kahegi, log kya kahenge agar main ye kya.

Jab mujhe pata hai ye jo main kar raha hoon vo galat nahi, jab mujhe believe hai ki main ye kaam karke jyada khush rahunga to phir dusre kya kahenge iske barein main kyon sochna, ya phir meri country hai hai jahan sacrifice karne walon ko bahut respect milti hai aur main bhi uska part hoon isliye mujhe bhi vahi karna hoga jisse mere parents aur community khush rahe..

Main kai baar kai logo ko dekha hai jo ek aisi job kar rahe hote hain jismain unka koi interest nahi, but kyonki community bolegi kya bolegi isliye mujhe vo na pasand job bhi karni padh rahi hai, mujhe samajh nahi aata ko sab cheez ye log kyon decide karnege.  Aur is sab me main kahan hoon.

Mere decision, meri soch, ya main kya chhata hoon, ye sab hai kahan, ya main apni life is community ke liye jee raha hoon, aakhir jis job main mera man hi nahi usmian main progress kaise karunga…  aur kuch time baad paglo ki tarah apne luck ko blame karunga ki yaar mera luck achcha nahi, ya ek dar paal lunga ki yaar main job ja sakti hai, kyonki main progress nahi kar raha,

Itna dar ki har ek kaam karne se pehle, 10 baar sochunga nahi yaar ye galat ho jayega, nahi yaar main ye nahi kar sakta.. Are ye kya baat hui aise to saans lena bhi muskil ho jayega…  Lekin is dar ke peeche bhi main kai baar maine is community ko dekha hai aur kyonki parents bhi community ka part hote hain to vo bhi ismain community ka support karte hain..

Ek bhi kaam galat ho jaye to apne bachcho ko itna suna denge ki dobara vo kuch galat na ho jaye isliye kuch karna hi chod deta hai.. are yaar galtiyan nahi karoge to seekhoge kya khak, aap apne bachcho ki decision maker banana chahta hai ya ek computer system ki instruction diye aur vo vahi kaam kare jo aap chahte hain.

Main parents ko blame nahi kar raha. Manta hoon unki vajah se hum is duniya main hai, aur koi parents apne bachcho ko bura nahi chahta lekin ye kuch reasons aise hai jiski vajah se parents na chahte huye bhi apne bachcho ki life khatam kar dete hai. Manta hoon parents hamare sabse bade guide hote hain lekin kabhi-kabhi jaroori hota hai ki bachcho ko bhi kuch new karne de..  kuch new sochne de..

Maine recently ek couple ko dekha,  husband isliye dukhi tha ki usne apne pyar ko parents ki liye sacrifice kar diya.. lekin ab use samajh hi nahi aata ki vo apni wife jise bilkul nai pasand karta uske saath life kaise jiye.. aur wife usne to parents ke kehne par shadi kar li. Use ye tak nahi pata ki uska husband use kyon nahi pasand karta.

Kya bebkoofi hai.. aur dono ye baat kisi ko nahi bata paate kyonki community kya kahegi.. dono ki baat sunkar mujhe hasee aa gayi ki yaar in dono ki life main ye dono hai kya, kya kisi ka kuch bhi apna hai..  ya jis community k liye ye dono sacrifice kar rahe hain unhe inki kuch padi bhi hai…

Ek aur couple ko dekha shadi ko 10 year ho chuke hain 2 bachche  bhi hain lekin ab dono couple main baat tak nahi hoti reason vahan bhi same dono ne parents ko khush karne ke liye shadi karli..
 Ab jab ladaiyan hoti hai to dono ke parents kuch hrs k liye samjhane aate hain lekin phir un dono ko apne haal par chod kar chale jaate hain vo ab kar bhi kya sakte hain, aur kya community kar sakti hai .

Isliye mujhe samajh nahi aata ki jab jo community kisi ka such sahi nahi kar sakti phir uske views par hum apni life ka decision kyon lain, kyon itna darein har decision lete huye ki community kya kahegi,
Mera friend MBBS ki prepration kar raha hai to main bhi karun, are yaar ye meri life hai mere friend ki nahi..
Ye meri life hai mujhe kis se shadi karni hai ye main decide karunga.. community nahi..

Ye meri life hai, mujhe kis stream ko choose karke apna future decide karna hai ye main karun..


This post first appeared on Pyar Ki Kahaniya-Love Stories, please read the originial post: here

Share the post

Jindagi apni ya parao ki jaageer.

×

Subscribe to Pyar Ki Kahaniya-love Stories

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×