Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Sacrifice for parents OR choose a silent suicide

Tags: nahi main kuch
Hi Friends,

Main aaj Kuch aur batein, kuch aur views likhne jar aha hoon apne kuch new experience ke barein Main aaj mujhe apne pyar se alag huye almost 2 months 16 din hone wale hain, mostly log kehte hain ki ab kuch Nahi ho sakta uske parents nahi manenge ab kabhi bhi, even vo bhi ab kabhi nahi manegi, time sab kuch bhula deta hai … Main manta hoon ki time sab kuch bhula deta hai. Aur main ye soch sirf apni batoin par nahi kar raha, kyon hum logo main kuch aise SMART ( jyada samajhdar ) log bhi hai jo kehte hain ki ye sab to chalta rahta hai life kisi k liye nahi rukti, logo ko itni problem hui hai phir bhi log himmat nahi harte, jindagi sabko badhna sikha hi deti hai, isliye obsession main mat jao. Obsession, kya hai aakhir ye obsession ek dimagi bimari ya kuch aur basically un bebkoofo (smart) logo ko ye nahi pata ki tum jo kar rahe ho vo bhi to ek obsession hai. Sirf isliye is society main abhi tak darar daal rahe ho, kyonki tumhari caste main tumhari nack cut jayegi, kyonki relatives main tumhari izzat chali jayegi, Man bus ye janna chahta hoon ki jin do logo ko life ek saath bitani hai kya unhe ye sab sochna chahiye ki unhe life kaise bitani hai ya tum logo unhe torcher kar karke pareshan kardo ki nahi. Please aisa mat karo, nahi ye galat hai nahi hum aisa nahi hone denge, society kya kahegi, samaj kya kahega…

Mujhe ek baat batao honestly kya kabhi is samajh (society) ne tumhari kitni baar help ki hai. Kitni baar tumhe emergency se nikala hai.. phir kyon ye castism, kyon kisi ko ek mauka nahi dete proof karne ka ki agar tum logo apne bachcho ko khushi-khushi ek mauka do ki ja jaise hum har kadam tere saath the teri padhai main, tere exam main… , tere har us kadam main jahan tujhe aage badhne main dar lagta tha.. jahan tujhe lagta tha ki ye kaam main kar paunga ya nahi.

To phir aise decision main unhe kyon kamjor karte ho, kyon duniya ka dar dikhate ho. Kyon unhe itna majboor kar dete ho ki vo haar kar tumhare samne jhook jata hai aur chal deta hai ek silent suicide ki taraf… baad main aap log kuch saal baad kehte ho.. dekha humne to bola tha ki ye sab pyar-vyar 2-4 mahine k drame hain, baad main sab kuch theek ho jata hai IZZAT badi cheez hai vo kharab nahi honi chahiye…
Kabhi un parents se pucho, jinke bachche nahi hote, kabhi unse pucho jinhone apne bachche kho diye aur sochte hain ki uske liye ye sab karte agar vo hamare pass hote.. To phir jab aisa kuch tumhare saath nahi hua hai to kyon apne bachchon ko jeete jee marte ho tum log… kyon..

Kyon apne bachcho ko ye silent suicide choose karne k liye majboor karte ho.. izzat ke name par, society ke name par. Society ne to bachche ko bada nahi kiya… society ne to uske liye exam main preparation nahi karai, society ne to usko itna pyar nahi kiya..

Phir kyon itna saara pyar dekar usse vo cheez cheen lete ho jisse sayad uski life kuch aur achchi ho sakti thi.. Kai baar kuch log ek alag hi excuse dete hai bhagwan ko yahi manjoor tha.. kaisa system hai ye bhagwan ka ya phir kyon bhagwan ko beech main ghaseet rahe ho… are ye batao agar bhagwan ko ye sab galat lagta to vo kisi do alag caste k logo main pyar hi kyon karvaye.. kyon milaye unh ek dusre se…

Asli mujrim koi bhagwan nahi, na vo bachche jo aap logo ki izzat ke chakkar main sacrifice kar lete hain.. aapko lagta jaroor hai ki vo smile kar rahe hain to sab kuch achcha ho chukka hai actual main vo silent suicide kar rahe hai… Jee rahe hai bus aapke jhoothe sapne, ye kaisa pyar hai apne bachcho par ya ye sab recovery hai us pyar aur us paise ki jo aapne apne bachcho par invest ki..

Sayad yahan kuch parents aisa soch rahe honge ki bada hi 3rdclass banda hai.. jo parents k barein main aisa likh raha hai.. are parents itna kuch karte hai to kya unhe thodi bhi khushi ka hak nahi, aur parents to hamesha bachchon ka achcha chahte hain..

Galat agar aap use padh likh kar kuch alag, kuch new kuch bahut great karne k liye padhate ho, use nahi rahein chunne ka mauka dete ho.. to uske is sabse bade decision main uska saath kyon nahi dete… aur jahan tak hai baad main sab kuch theek ho jaane ki to vo to kuch us tarah ki baat hui ki ek wife jo apne husband se bahut pyar karti hai, aur uski life main sab kuch vahi hai phir agar suddenly uski death ho jaye par phir bhi vo jee to leti hi hai.. kya uske saath kuch achcha hoga kabhi nahi, kabhi nahi, lekin vo jee rahi hai… kyon, kyonki suicide kisi problem ka solution nahi aur na hi uske marne se kuch badalne wala…

Kyon hum logo ko ek mauka dete ho tum log, kyon hamein sacrifice ki taraf dhakel karke tum apne aap aur hum par proud feel karna chahte ho…  Koshish karo ki apne bachcho ko kisi caste ka lesson nahi humanity ka lesson do.. jismein Bhagwan bhi human hai aur insan bhi human..

Kyonki maine kabhi kisi bhagwan ko upar se aakar kisi ki help karte huye nahi dekha.. Agar koi help karta hai to insaan hi insaan ki help karta hai.. to koshish karo logo ki sirf pyar main nahi, bakee cheezon main help karo aur ye mat socho ki us help ke badle sayad tumhe revert kabhi help milegi kyonki jo milna tha vo tumhe help karte hi mil gaya vo sakun jo man ko milta hai kisi ki help karke..

End main yahi kahunga.. un bhaiyon se jo apni sister k pyar ko apni nack ka sawal bana lete hai un fathers ko jo apni beti k pyar ko apni muchon ka maan bana lete hain.. ki koi samaj aapki bachchi aur bachche ki help k liye nahi aayega.. aap use bahut pyar karte ho please use ye silete suicide karne par majboor mat karo..

Aur haan un ladko se bhi kehna chahunga jo kuch ladkiyon ko time pass karke chod dete hain.. ki yaar ye ladkiyan apna sab kuch chodkar apne pass aati hain inki value karo.. kyon hamari ek galti, kabhi kabhi ek galti in parents ki soch ko aur badhati hai ye sochne par ki hum sahi hai aur ye young generation kharab, ye love marriage sirf movie tak hi achcha lagta hai real life main ye sab bakwas hai. Sahi soulmate vahi jo hum chunte hai apne bachcho k liye nahi..

Abhi ek Episode dekh Gumrah main jismain ek ladka ek ladki ko paane k liye, ladki ke hone wale dulhe ko maar dalta hai. Main manta hoon ki us ladke ne vakai bahut galat kiya apni poori life destroy kar li aur crime bhi kiya jo bilkul bhi sahi nahi hai.. Lekin ek crime to us ladki ke gharwale bhi kar rahe the us ladki ki aise ladke se shadi jisse vo ye shadi nahi karna chahti thi.. to jo ladka us ladki se pyar karta tha aur vo ladki bhi, kya us ladke ne use bachana chaha, kya galat kiya, haan manta hoon uska tarika bilkul galat tha.. bilkul galat. Lekin us waqt us ladke ki life main bacha bhi kiya tha…  Vo to bus us ladki ko ye silent suicide se bachane ki koshish kar raha tha.. aur finally use bachane k chakkar main khud hi crime kar baitha..


I hope parents kuch samjhein in batoin koi aur chance de apne bachcho ko apne raste khud chunne manta hoon, ki sayad vo galat hoon lekin agar aap unka saath denge to vo galat cheezon ko bhi sahi kar lenge kyonki guarantee to is baat ki bhi nahi ki jo soulmate paents choose karte hoon vo hamesha sahi ho…


This post first appeared on Pyar Ki Kahaniya-Love Stories, please read the originial post: here

Share the post

Sacrifice for parents OR choose a silent suicide

×

Subscribe to Pyar Ki Kahaniya-love Stories

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×