Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

YouTube Channel Par Subscribe & Views Kaise Badhaye

aj hm Apko youtube channel ke subscriber badhane ke bare me apko jankari de rahe hai agar apka koi bhi youtube channel hai jispar ap kafi video upload kar chuke hai uske bad bhi Apke subscriber nahi badh rahe to apko kya karna hoga jisse apke subscriber badh jaye iske bare me aj hm janege

aksar kai log kafi samay tak youtube me kafi mehnat karne ke bad bhi subscriber na hone ke karan kam karna band kar dete hai agar ap apne channel ko popular banana chahte hai to apko uske liye kuch bato ko aur settings ko follow karna hota hai uski madad se ap apne channel par millions subscriber laa sakte hai.

  • Jio Video Download : Jio Phone में Video Download कैसे करें
  • प्रधानमंत्री नरेंद्र मोदी को पत्र कैसे लिखे : Modi Ko Letter Kaise Likhe
  • YouTube Video Viral Kaise Kare
  • YouTube Copyright Free Music कैसे अपलोड करते है
  • YouTube Video Download करने का सबसे आसान तरीका

YouTube Channel Par Subscribe Kaise Badhaye

Dosto Jis agar apke YouTube channel par subscribe nahi he to apka channal low category me aayega  or Promote YouTube Video Google Ads apke video ko bar bar share Kar ke uske view badane padege par agar apke channel par 100k ke aas paas subscribe aa jate he to apko badme automatic par day 100-500 subscribe milte rahege or video upload karne par bina share kiya bhi hajaro view mil jayege par day or isse ap par day 50$ – 100$ tak earning bhi Kar sakte ho to ap samaj chuke hoge ki apne YouTube channel par subscribe kyu jaruri he.

Youtube Subscriber Badhane ke Fayde

agar apke channel par subscriber jyada hoge to isse apko bahut se fayde hote hai isse apka channel popular ho jata hai  aur uske bad apki income bhi bahut acchi hone lag jati hai

iske sath hi apke subscriber acche hoge to apko paid promotion ke offer bhi mil jate hai jo ki bahut acchi price ke hote hai usse ap har din laakho rupay tak kama sakte hai iske sath hi apke har video par view bhi bahut acche aayege isse apko income bahut acchi ho jayegi

1. SELECT ICON AND DESCRIPTION

Friends YouTube par sabse important part yahi he kyu ki 90% visitor hmare channel par aate he to pahle icon, channel name and discrimination check karte he ki isse unko pata chalta h ki channel kis bare me he so apko apne channel se related icon lagaye or description lagaye isse apke channel par kafi subscribe mil sakte he.

2. CHANNEL TRAILER LAGAYE

agar ap apne YouTube me acche subscribe Lana chahte he to profasional channel trailer lagaye jo kam se kam 30 sec ka ho isse apko kafi fayda hoga or Isme channel subscribe karne ki request bhi kare isse agar Koi apka channel trailer dekhega or agar usko trailer pasand aaya to vo direct subscribe Kar lega apka channel so apko channel trailer jarur lagaye.

3. META DATA USE KARE

agar ap video upload karte ho to usme unique title, thumbnail, description, tag/ keyword use kare isse log apka video dekhna jyada pasand karege or apka video search engine me bhi top par show hoga isse apke video par kafi view aayege or jin logo ko apka video pasand aayega Vo apka channel jarur subscribe karege.

4. YOUTUBERS SE PARTNERSHIP

YouTube me kai logo or company ke channel par lakho subscribe hote he agar ap unse partnership karne me success ho jate he to  apkeo bahut fayda ho suruaat me Vo apki partnership accept nahi karege par bar bar koshish karne se apka kaam ban sakte he or sath hi unko acche acche video bana ke bhejo agar vo apke video me interested hoge to apke sath jarur partnership karege isse apke channel k subscribe bhi bahut badege or apke video par view par bahut jyada aayege subscribe badane ka ye sabse best tareeka he.

5. USE BEST KEYWORD

Agar ap chahate ho ki apka channel search ranking me show ho to apko keyword jarur use karne chahiye isse agar Koi apke dale gaye keyword se related word search karege to unko apka channel dikhai dega or vo apke channel par jarur aayege or isse apko subscribe bhi mil jayege Keyword Planner  par ap best usefull  keyword search Kar sakte he or apne channel ko promote bhi kar payege.

6.  VIDEO KE AND ME SUBSCRIBE KE LIYE KAHE

Jab Ap YouTube me video upload karte he to usme video end me visitors ko channel subscribe karne ko jarur kahe kyu ko kai bar log hmara video dekhte h to like karte h par subscribe karna bhul jate he ese me agar ap video ke end me unko channel subscribe ke liye kahoge to apko jarur subscribe milege isme jitne video ke view hoge utne apko subscribe mil sakte he vo apke video editing par defend karege.

7. UPLOAD CLEAR AND ORIGINAL VIDEO

dosto agar ap Koi video upload karte ho to usme apko clear video upload karna chahiye vo video original hona chahiye isse logo ka apke channel par impression badega or agar ap clear video upload nahi kar pate to apke channel par negative effect bhi pad sakta he or subscribe bhi kam ho sakte he so apko clear video upload karne chahiye isse apko subscribe milte rahege.

8. SHARE IN SOCIAL ACCOUNT

social account mtlb Facebook, twitter, WhatsApp, google+ etc ka account bana le or jitne ho sake utne logo ka contact banaye or group banaye fir unko apne video ki link send karte rahe or apne channel ka link send kare or channel subscribe karne ki request kare isse kafi log apke channel par subscribe karege or vo apne friends ko bhi apka channel subscribe karwa sakte he to apke liye social share wala option best option rahega.

9. COMMANT KARE

YouTube par ese lakho video mil jayege jinpar hajaro comment hote he ap unke video par comment karte rahe or agar Koi new video upload hoga he to Uspar jyada se jyada comment kare isse log apka comment or apka channel name dekh payege agar vo apke channel me interested hoge to apka channel subscribe bhi kar lege or kai baar ye offers bhi dete h log ki ap unka channel subscribe karo to vo apka channel subscribe karege to ap ye tareeka bhi apna sakte he.

10. DON’T COPY

sabse badi probldm copy pasting ki hoti h isse YouTube apka account blog kar sakta he so apko ye baat dhyaan me rakhni jaruri he ki Koi video copy kiya hua upload nahi kare or jaha tak ho sake khud icon or description banaye or apne channel par lagaye isse apko YouTube me high search rank mil sakti h or apke channel par kabhi bhi copyright issues nahi hoga jisse apka channel safe rahega or channel band hone ka darr nahi rahega.

  • Gmail 2 Step Verification Enable or Disable Kaise Kare
  • Google Se Paise Kaise Kamaye? Google से पैसे कमाने के तरीके
  • Mobile से Delete Photo & Video Recover कैसे करें?
  • Refurbished क्या हैं व Refurbished Product कैसे खरीदते हैं
  • RAM और ROM क्या होता हैं व यह कैसे काम करते हैं

in tariko ko follow kar ke ap koi bhi video upload karte hai to usse apka channel bahut jaldi hi growth karne lag jata hai aur apke channel par jaldi jaldi subscriber bhi badhne lag jayege aur uske bad ap koi bhi video ko upload krege to bina kisi sharing ke apko bahut se video bhi mil jayege jisse apki income bhi acchi hogi

The post YouTube Channel Par Subscribe & Views Kaise Badhaye appeared first on PMO योजना.



This post first appeared on Help Guru Group, please read the originial post: here

Share the post

YouTube Channel Par Subscribe & Views Kaise Badhaye

×

Subscribe to Help Guru Group

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×