Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Mobile Balance Transfer Kaise Kare (Balance Transfer Mobile to Mobile)

Mobile Balance Transfer – hello Friends Aj Me apko batauga ki ap kis tarah se kisi bhi mobile ka Vodafone Balance Transfer, airtel balance transfer, idea balance transfer, aircel balance transfer or jio balance transfer kar sakte hai or balance transfers karne ka tareeka konsa hai kai bar apke mobile me balance nahi hota or Apko usi number se kisi ko call karna hota hai par ap kisi karan se balance nahi karwa pate to aise wakt me ap hmare bataye gaye tareeke follow kar ke bahut aasani se apne friends ke ya family member ke mobile se balance transfers kar sakte hai

Mobile Balance Transfer ka sidha Sa matlab hai ki kisi Sim se dusre sim me balance transfer karna par iske liye sabhi company ke alag alag rule hote hai ap unko follow kar ke hi ap Vodafone balance transfer, airtel balance transfer, idea balance transfer, aircel balance transfer or jio balance transfer kar sakte ho or balance transfers karne ka company apse tax bhi leti hai jaise ki 20/- transfer karne par 23/- cut hote hai isme 3 rs company tax leti hai Or iski ek khash baat hai ki ap jitna balance transfers karoge utna hi balance dusri sim me aayega or ap jise sim se balance transfer karoge usi sim balance se taxt cut hota hai

  • Android Mobile Me Recycle Bin Kaise Use Kare
  • JIO Phone Se Video Calling Kaise Kare
  • Android Mobile Se Document Scan Kaise Kare
  • Android Mobile Ke Apps Computer Me Kaise Chalaye

Mobile Balance Transfer Karte Wakt Jaruri Bate

Ap balance transfer karte ho to Apko kuch jaruri bato ko bhi dhyaan me rakhna bahut jaruri hai

  • Ap same company ki Sim se balance transfers kar sakte hai ( ex – airtel to airtel )
  • Balance transfer par company tax bhi leti hai Jo ki transfer amount par defend karta hai ( ex – 10rs transfer par 2rs tax )
  • Balance transfer karwa wakt mobile number acche se check kar le kyu ki balance transfers hone ke bad use vapis nahi le sakte
  • Apke mobile me paise nahi hai par balance transfer karna jaruri hai to ap company se loan le ke balance transfer kar sakte hai
  • Apke mobile se kabhi bhi koi bhi chupke se apka balance dusre mobile me le sakta hai so hmesa carefully rahe

Mobile Balance Transfer Kaise Kare

Me Apko kuch code bata raha hu jiski madad se ap kabhi bhi emergency balance transfers kar sakte ho or dusre ke mobile se balance le bhi sakte ho

Vodafone Balance Transfer

Ye ek London ki company hai par India me iske sabse jyada customer hai or 26 desho me Vodafone ka network hai Vodafone ki shuruaat ‘ Rakal Milicom’ Ne ki thi ab hm jante hai ki isme balance transfer kaise hota hai

1. Sabse pahle Apko *131*amount*mobile number# Dial karna hai isse apka balance dusre Vodafone me transfer ho jayega


Ex- *131*30*9000000000# ( 30rs amount hai or 9000000000 mobile number hai)

Airtel Balance Transfer

Ye company Sunil Bharti Mittal Ki hai or India ki sabse badi telecom company ye hi hai iske network 18 desho me hai – airtel me balance transfer karne ka tareeka

  1. Sabse pahle apne mobile se dial kare *141# par call kare
  2. Ab apke mobile screen me ek msg aayega usme 1st option hoga share talk time apko usme 1 daba ke send karna hai
  3. Ab new msg show hoga usme ap amount daal ke OK par click kare
  4. Ab screen me jisko balance send karna hai uska number mangega ap usme vo Mobile number daal ke OK par click kare

    Isse apke mobile se balance cut ho ke dusre airtel number par balance transfer ho jayega

Idea Balance Transfer

Idea company ke shuruaat me bahut si company partner thi par badme iske jyada stock holders ke malik aditya bidla ban gaye or ab iske chairman ‘ Kumar Mangulam Birla ‘ hai – idea se idea me balance transfer kaise karte hai

1. Apne idea number Se *151*amount* idea mobile number# par call kare


Ex- *151*30*9000000000 ( 30rs amount hai or 9000000000 mobile number hai )


Isse apke idea number se dusre idea number me balance transfers ho jayega

Reliance Balance Transfer

Reliance ka name to apne suna hi hoga is company ki head office Mumbai me hai or iske owner dheeru Bhai ambani the ab unke son  Anil Ambani iske chairman hai India me 4G seva shuru karne wale mukesh ambani inhi ke Bhai hai – Reliance to reliance me balance transfer kaise kare

  1. Sabse pahle apne mobile se *312*3# par call kare
  2. Ab screen me msg aayega usme vo number dale jispar balance transfer karna hai
  3. Ab amount dale or pin mangane par usme 1 type kare

BSNL Balance Transfer

Ye ek government company hai ye 2000 me start hui thi ab iske kafi customer bhi hai or ye company dusre company ke mukable kafi saste plan launch karti hai – bsnl se balance transfer kaise kare

  1. Sabse pahle apn apna number register karne ke liye massage type kare PTOP or 54455 par send kar de
  2. Ab ko ek massage aayega usme Apko ek password milega
  3. Ab ap massage me jaaye or likhe  GIFT or bhej de 53773 yaa 53738 par send kar de

    Ab apka BSNL number se dusre BSNL numbers par balance transfer ho jayega

Aircel to Aircel

Aircel India ki kafi badi company hai or ye company 2G 3G 4G jaise network deti hai – aircel to aircel me balance transfer kaise kare

  1. Sabse pahle ap *122*666# par call kare
  2. Ab apke samne new screen open hogi usme bataye gaye step follow kare isse ap balance transfer kar sakte hai

Friend muje ummid hai ki apko hmari Mobile Balance Transfer jankari jaruri pasand aayi hogi agar ap koi bhi question puchna Chaho to comment me bata sakte hai

The post Mobile Balance Transfer Kaise Kare (Balance Transfer Mobile to Mobile) appeared first on Help Guru Group.



This post first appeared on Help Guru Group, please read the originial post: here

Share the post

Mobile Balance Transfer Kaise Kare (Balance Transfer Mobile to Mobile)

×

Subscribe to Help Guru Group

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×