Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Pal do Pal Ka Sath



Kuch pal do pal ka Sath Tha, mera aur uska,
Muskurata tha main, jab sath tha uska.

Chahte to bohot log hain use,
Aati nahi magar, wo haath kisi ke.

Aa bhi gayi to rukti nahi, maano ho koi rait jaise,
Fisal jaati hai ek pal mein hi, haathon se kuch aise.

Bhikhre hui zindagi ko, aati hai sanwarne,
Maano ho koi ladki, apne baalon ko sanwarte.

Aye khushi! Kahan hai tu,
Dekh zara, meri is bikhri zindagi ko.

Raah dekh raha hoon teri tabse,
“Lautungi jald hi” kaha hai tune jabse.


This post first appeared on Desires- Hazaaron Khwaishein Aisi..., please read the originial post: here

Share the post

Pal do Pal Ka Sath

×

Subscribe to Desires- Hazaaron Khwaishein Aisi...

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×