Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Blog Ko Google analytics Account Se Kaise Jode With Image ( Hindi )

Hello Bloggers, Pichle Post Me Mene Apko Bataya Ki Blog Kaise Bnate Hai. Aur Is Post Me Apko Google Analytics Se Blog Ko Jodna Bataunga. Jisse App Apke Blog Ke Visitors Ko Track Kar Sakte ho. Unke Blog Ke Statics Ka Aasani Se Pta laga Sakte Ho.




Google Analytic Se Kya Fayda hai (What Advantage of Google Analytic Account)

Dosto Google Analytics Blog Se Related Jankari Deta hai. Jaise Apke Visitors Kaha se Aa Rhe hai Aur Kitne Page Ko Padte hai. Unki Age Kya hai. , Male hai Ya Female Hai , Kis Country Se Aa Rhe hai , Aur Kon Kon Se Keyword Dwara Hamare Blog Par , Facebook , Google , Bing Kis ke Dwara Blog Par Aate hai. Aur Bhi Bahut Jaankari Milengi Jisse Hame Apna Blog Ko Aur Behtreen Banane Ka Mauka Milega, Isliye Har Blogger Ko Apna Blog Google Analytics Se Jodna Bahut Jaruri hai.
Google Analytic Ko Jodne Ke Liye Hamko Google Analytic Se Ek Tracking ID Milti hai Usse Hum Blogger Me Enter Karte hai. Uske Liye Apko Ye Steps Follow Karne hai.

Ye Bhi Padiye: Top 10 Adsense Earner In India and Earning Report


Blog with Google Analytic:

  • Google Analytic Ko Blog Se Jodne Ke Liye Phele Apko Google Analytic Ki Site Par Jaana Hota hai. Google Analytics Site Par Jaane Ke Liye Yaha Click Kijiye
  • Us Site Par Jaakar Apko Sign-up Karna hai Aur Ek Normal Digital Form Bharna hota hai. Jo Ki Free hai

    Ye Bhi Padhiye :Alexa Rank Kya Hai Aur Isse Kaise Verify Karate hai
  • New Account Me Apko Website Par Select Karna hai Kyu Ki Hum Apni Website Ko Track Karenge, Google analytics Ke Dwara Hum site Application ko bhi Track Kar Sakte hai
  • Account Name Me App Apna Naam Daal Sakte hai
  • Website Name Me Apko Apne Website Ya Blog Ka Naam Dalna Hai. 
  • Website URL Me Apne Blog Ka URL Ya Link Daalna hota hai.
  • Uske Bad Apko Apne Website Ki Catergory Select karni Padti hai. Ki Apka Blog Kis Catergory ka hai. 
  • Fir Apko Apni Location Select Karni hai. Meri Location India Hai To Mene US ki jagah Par India Kar Diya 
Ye Bhi Padhiye : Google Me Blog Kaise Submit Karte hai


  • Saari Detail Bharne Ke Bad Apko Get Tracking ID Par Click Karna hai. Jisse Wo Detail Save Ho Jayegi Aur Apko Ek Tracking ID Mil Jaati hai
  • Par Saving Ke Dauran Google Apko Uske Term-Condition Ko Batata hai. Jinhe Padkar App I Accept Par Click Kar Sakte hai
  • Uske Baad App Google Analytic Ke Dashboard Me Me Jaate hai.
  • Jaha Apko Tracking ID hone Lag Jaati hai, Yaha Par Apka Adha Kaam Ho Jaata hai
  • Ab Apko Wo Google Analytics Ki Tracking ID Blogger Me Submit Karni Hoti hai
    .

Tracking ID
  • Jaisa Ki App Image Me Dekh Sakte hai Apko Tracking ID Ko Copy Karna Hai. 
  • Aur Blogger Me Jaane Ke Bad Apne Blog Ke Setting Me jaana hai
    Jisme Other Tab Me Neeche Ki Side Google Analytic ID ka Option hota hai 
  • Usme ID Ko Paste Karke Save Kar Dena Hota hai
Submit Google Analytic ID
Google Analytic Tracking ID Ko Blogger Me Paste Karne Aur Save Karne Ke Baad Apka Kaam Complete Ho Jaata hai. Ab Google Ka Kaam hota hai Jo Ki 1-2 Din me Blog ko Google Anaytic Me Jod Deta hai. Aur Apke Apne Blog Ke Visitors Ki Detail Aasani Se Jaan Sakte hai. Agar App Smartphone User hai to Google analytic Ko Smartphone Par bhi Jaan Sakte ho, Store Me Iski Application Mil jaati hai

Ye Bhi Padhiye: Google Search Me Apni Image Kaise Daale
To Ek Blogger Ke Liye Bahut Jaruri Work hai, Umeed Karunga Ki Kisi Dusre blogger Ki App Help Karenge, New Post Ke Liye Apna newsletter subcribe Kar Sakte hai ya Blog Ko Follow Kar Sakte hai
Comment Ke Jariye App Apne Sawal Puch Sakte hai
Thanks for Reading ,, All the Best for Blogging...:)


This post first appeared on My Hindi Help, please read the originial post: here

Share the post

Blog Ko Google analytics Account Se Kaise Jode With Image ( Hindi )

×

Subscribe to My Hindi Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×