Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Google Webmaster Tool Kya hai Webmaster Tool Me Site Kaise Submit Karte hai

Welcome Dosto, Jaisa Ki App Sab Jaante hai Google World Ka Best Aur Sabse Jyada Upyog Kiya Jaane Wala Search Engine hai. Jab Koi New Blog Banta hai to Har Blogger Yahi Chahta hai ki Uska Traffic Google Se Mile, To Is Post Me Apko Google Ki Free Service Google Webmaster Tool Ke Baare Me Bataunga Aur Ye bhi Bataunga Ki App Google Webmaster Tool Me Apna Blog Kaise Submit Kare, Ye Google se Traffic Received Karne ke Liye Bahut Hi Jaruri hai.
What is Webmaster Tool & Submit Blog

Google Webmaster Tool Kya Hai ?


Google Webmaster Tool Google Ki Ek Service hai Jisme App Apne Account Se Log-in Karke Apni Koi Bhi Website Submit Karwa Sakte hai Aur Usse Google Ke Search Result Me Show Karwa Sakte hai. Apni Site Par Aur Us Par Control Banaye Rakhne Ke Liye Google Webmaster Tool Ka Upyog Kiya Jaata hai. Usme Bahut se Facility Aur Service hai. Jiske Dwara Hum Apni Website ko Automatic Crawl Karwa kar Search Me behtar Result Paa Sakte hai. Ek Blog Ya Site Ke Liye SEO Work Jaruri hota hai Aur Usi Ka Ek hissa Google Webmaster Tool Ke Dwara Kiya Jata hai
Google Webmaster Tool Me Hum Apne Blog Ka Appearance Report , Crawl Report, Keyword Report , Total Click Report , Index Report , Aur Bahut Si Jaruri Jaankari Paa Sakte hai Jo ki Har Blogger Ke Liye Bahut Important Hoti hai. 


Google Webmaster Me Apni Site Kaise Submit Kare?



Google Webmaster Me App Apne Blog Ko Is Post Ki Help Se Submit Ya Add karwa Payenge,
Iske Liye Kuch Step Karne Hote hai. Jo ki Ese hai

  • Sabse Phele Apko Google Webmaster Tool Ki Website Par Jaana hai
  • Agar Apne Log-in Nhi Kiya Hai To Usko Log-in Karni hoti hai
  • Waha Par "Add A Property" par Click Karke Apni Website Ka URL (Link) Dalni Hoti hai
    Add Your Blog

  • Iske Bad Webmaster Tool Apse Us Domain Ko Verify Karne Ko Kahta hai. Agar Wo Domain Apka Hai To App Use Verify Kar Sakte hai.
  • Site Verification ke bahut Se Option Show Ho Jaate hai Par Apko Sabse Simple Option Ko Select Karna hai, Jiske Liye "Alternate Method" Par click Karte Hue HTML Tagg Par Click Karna hai
    HTML Verification 

  • HTML Tagg Me Apko Webmaster Ek HTML Line Provide Karwana Hota hai Jisko Apko Apne Blog Me Submit Karna Hota hai.
  • Blog Me Submit Karne Ke Liye Apko New Tab Se Apne Blog Ke Dashboard Par Jaana Hai. Jisme Template Par Click Karke Edit HTML  Par Click Karke HTML Code Ko Usme Daalna Hota hai
  • Edit HTML Me 4-5 Line Neeche "<head>" Likha Hota hai App Us HTML Code Ko Jo Ki Webmaster Tool Se Copy Kiya Tha Usko Us <head> Ke Ek Line Neeche Paste Karke Daal Dena hai Or Save Par Click Karke Save Kar Dena Hota hai. Ab Google Webmaster Tool Wale Tab Par Jaakar Verify Button Par Click Karna Hota hai. Aur Apka Website Verify Ho Jaata hai.
    Edit HTML For Verification

  • Verify Hone Ke Sath Apna Website Google Webmaster to Add Ho Jaata hai
Google Webmaster Me Domain Submit Karne Ke bad Site Ko SEO Friendly Banane Ke Liye Usme bahut Si Setting Karni Padti hai. Jo Ki App Is Blog Par Padh Sakte hai.
Umeed Karunga Google Webmaster Ka Pehla Article Apke bahut Kaam Aayega Aur App Share Jarur Karenge.


Thanks For Reading And Keep Smiling...:)



This post first appeared on My Hindi Help, please read the originial post: here

Share the post

Google Webmaster Tool Kya hai Webmaster Tool Me Site Kaise Submit Karte hai

×

Subscribe to My Hindi Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×