Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Facebook Post Par Like Gain Karne Ke Tips In Hindi

Hello Dosto, Shayad Apko Pta Ho Ki Facebook Par 4.5 Arab (अरब) Likes Daily Kiye Jaate hai.
Ese Me Apko Bhi Like and Comment Mile honge, Par Like aur Comment Prapt Karne Ke Liye Bahut Se Log Fake Likes Ka Istemal Karte Hai, Jisse Jinki Privacy Par Asar Padta Hai. Aur Fake Like Sirf Fake likes Hote Hai. Aur Unme Likes Se Apne Facebook Account Ko Bahut Nuksaan Hota hai. Hame Fake likes Se Bachna Chahiye Kyu ki Jo Cheej Hum Likes Nhi karte hai , Wo Automatically Likes Ho Jati . Jisse Hmari Facebook Images Bigad Sakti hai. Jo Me Apko Salah Dunga Ki Facebook Par Fake Likes Se Dur Rhe Kyu Ki Inse Jyada App Apne Acche Post and Article Se  Bahut Likes Gain Kar Sakte Hai.

How to Get more Real Likes in Facebook.


Apko Me Kuch Important Btane Jaa Rha hu. Jisse App Facebook Par Likes Prapt Kar Sakte hai.
  • Facebook Par Every Day 1-2 Post Regular Karne Chahiye !
  • Facebook Content New Hone Chahiye aur Quality Wale Hone Chahiye
  • Facebook Par Friendz Ke Post Aur Articles Like Karne Chahiye , Jisse Wo Wapas Apko Like Kar Sake.
  • Post Description Par Short likhe Aur Sunder Likhe:
  • Jyada Copy Paste Na Kare,
  • Facebook Post Par Articles Ke Sath Photo Lagane se Uska Likes Gain Karne Ka Chance 23% Bad Jata Hai.
  • Weak Me Ek Bar Funny Post Jarur Daalne Chahiye ,
  • Post ke Thru Kabhi Kabhi Interactive Question Jarur Puchne chahiye , Jisse App Highlight Ho Sake !
  • Kuch Ese Images Bhi Upyog Kare Jinse Jo Comment Karne Ke Liye Facebook Friend ko Majbur Kar De
    Example: Post


  • Ese Post Na Kare , Jisme kasam , Ya Kisi Dharmik (धार्मिक ) Feelings  ko Aahat ho.
  • Facebook Post Me Photo Quality (HD) Acchi Honi Chahiye.
  • Facebook Comment ka Turant Reply Diya Jaan Chahiye
  • Post Par Tagg Feature ka Upyog Kare, Jinse Facebook Friend Par Post Ka notification Pahuchta hai.
  • Post Me # (hash#tag) Ka use Jarur Kijiye Jo Ki Post Ko Highlight Karta hai.
In Tips Ke Jariya App Dheere Dheere Like Gain Karne Me Success Ho Sakte hai. Kyu Ki Ye content Experiment ke Bad Likhe Gye hai.
Umeed Karta hu Ki Apko Ye article Achhe Lage Aur share Jarur Karenge .!

THANKS FOR READING AND ALL THE BEST


This post first appeared on My Hindi Help, please read the originial post: here

Share the post

Facebook Post Par Like Gain Karne Ke Tips In Hindi

×

Subscribe to My Hindi Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×