Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Personal Computer Me Password Kaise Lagate Hai | How to Protect My Computer

Hi Friend, Ajj Ke Communication Ke Yug Me Har Person ke Pass Ek Apna Computer System Hota hai. Ho Sakta hai ki Wo Office Use Ke Liye ho Ya Personal Use Ke Liye , Par Kaise Bhi Ho Usme Hame Apni Privacy Bana Kar Rakhni Padti hai. Jisse Hamara Data Sirf Hamara hi Bana Rhe Aur Share Karne ke Liye Jo Data hai Usse Share Kar Sake. 
  • Ye Bhi Padiye: Top 7 Website For Software Downloading
Agar Hum Koi Laptop Ya Computer System Upyog Kar Rahe hai to Iske Liye Hum Use Password Se Protect Bhi kar Sakte hai. 
HOW TO PROTECT COMPUTE WITH A PASSWORD:Iske Liye Apko Computer Me Kuch  Change Karne hai Aur Wo Bhi Bina Internet Connection Ke ,
  1. Iske Liye Apko Simple Way me Batau To Start Button Par Click Karna hai Jo Ki Keyboard Ke Dwara bhi Kar Sakte hai.
  2. Us Par Apko User ICon Par Click Karna Hota hai. Jisme User Ki Detail Hoti hai.

    Computer Password Protection
  3. Us Par Click Karne Bad Control Pannel Open Ho Jata hai. Jisme Create New Password Par Click karke Computer Ko Password Se Protect Kiya Jaa Sakta hai.

    Ye Bhi Pade: Windows 7 Ki Theme Download Kaise Kare

    Computer Password Protection

  4. Isme Apko 3 Box Dikhai Denge Jiske First Wale Box me Apko Apna New Password Jo App Computer Par Lagana chahte hai Wo Daalna hai. 
  5. Second Wale Box Me Bhi Wahi Password Dubara Daalna hai Jo Phele Daala tha.
    (Password Ko Dhyan Se Daalna Aur Yaad Kar Lena Jisse Computer Par Lock Lagne Ka Khatra Na Ho)
    Computer Password Protection
  6. Third Wale Box Me Apko Password Ke Koi Hint Dena hai. Jisse Hint Milne Par Apko Password Proper yaad Aa Sake 
  7. Uske Bad Save Karna ha Ya Create Password Par Click Karna hai
    Iske Save Hone Ke Bad App Apna Computer Restart Karenge to Apko Password Daalna hoga Tab hi Apka Computer Proper On Ho Payega


    To Is Tarike Se App Koi Bhi Computer Ko Protect Kar Sakenge Aur Apni Computer Ki Security Puri Tarah Se kar Payenge.

    Ye Bhi Pade: Whatsapp ko Computer Par kaise Chalaye

    I Hope Ki Apko Ye Article Pasand Aaya hoga aur App Ise Share Jarur Karenge, Kyu Ki Apka Ek share Kisi Ke chehre Par Muskan Laa Sakta hai.


This post first appeared on My Hindi Help, please read the originial post: here

Share the post

Personal Computer Me Password Kaise Lagate Hai | How to Protect My Computer

×

Subscribe to My Hindi Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×