Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Blog Ki Top Ranking Ke Liye 7 Jaruri Baat | Search Ranking Help

Welcome Dosto, Ajj-Kal Online Kitne Blog Bante hai Aur Na Jaane Kitne Blogger Apne Blog Ko SEO Aur Search Me Top Ranking ke Liye Regular lage Rahte Hai. Jo Ki Ek Blogger Ke Jaruri Hai. Aur App Bhi Esi Soch Ke Sath Ho To Apko Ye Article Bahut Madad Dega. Jinki Madad se Apni Website Aur Content Ko Search Engine Ke Search Me Top Ranking Par Laa Sakte Hai. Apko Website Ke Liye SEO Work To Karna hi hai sath hi In POINTS ko Sath Leker chalna hai.

Top Search Ranking 
Ye Bhi Padiye: Chrome Me Extension kaise Add Karte hai

Top 7 Thing , You Should Do In Blogs
  1. Mobil Friendly :- Online shopping Website se Leker News website Tak Ka Traffic Ab Smartphones Aur Mobil Phone Par Badh Rha Hai. Esliye Blog Mobil friendly Hona Jaruri hai Isse Search Me Result Aane Ke Behtareen Vikalp Rahenge. Aur apke Blog Par Search Engine Se Traffic Aane Ki Possibility 65% Tak Badh Jayegi. Esliye Apko Apne Blog Ke Baare Me Ye Confirm Karna Jaruri hai Ki Wo Mobil Friend Hai Ki Nhi . Agar Nhi hai to Usse Mobil Friendly Banane Ki Koshish Kijiye

    Ye Bhi Pade: Alexa Rank Kya Hai Aur Alexa ID Kaise Verify Karte hai
  2. Social Friendly;- App Jaha rhte hai Ya waha Bhi Koi Samaj ya Social Environment Jarur Hoga Aur app Unke Anusar Samaaj Me rhenge To Log Apko Pasand Karenge. Same Esa hi Blogging Me Hota Hai Blog me Jo Bhi Content Hone Chahiye Wo Social Hone Chahiye aur Apke Visitors Ke Anusar Hone Chahiye. Jisse Content Jitna Social friendly hoga Utni hi Tej App Blogging Carrier Me Success Hone Ki Sambhavna Badhegi. Kyu Jab Apko Pta hoga ki Hmare Visitors Hmari Website Par Kya chahte hai aur Ese Content App Daalenge to Apke Visitors Ki Sankhya Me Badotari Hogi. Is Point Ka final word ye hi hai ki Logo Ki Pasandgi Wale Content Hi Hme Apne Blog Par Daalne chahiye. Jisse Visitors Aana Pasand Karenge.
  3. Topics :- Keyword Ke Sath Sath Hmko Apne Content Ki Quality Ka Bhi Dhyan Rakhna Jaruri hai. Yadi Hmara Post Content Accha Hoga To Log Jyada Se Jyada sankhya Me Prabhit Honge. Kyu Ek accha Topic Pure Post Ko Quality Ke Baare me Jaankari De Deta Hai. Jis Content Ke Baare Me App likhte Hai Us Topic Content Ke Liye Apke Research Karni jaruri Hai. jiske Liye Google Keyword Planner Sabse Best Tool Hai. Esliye Content Topic Behtreen Hona Chahiye.
  4.  Blog Loading Speed: Apko pta hona Chahiye ki Apke Blog ki Loading Speed Search Ranking Me Top Me Laane Me Bahut Importance Rakhti hai. Esliye Website ya blog ki Loading Speed acchi honi chahiye Jisse Blog Accha Rank Bna Sake: Apki Website Loading speed Kam ya dheemi Hogi to Visitors Ko kholne me Pareshani Ka Samna Karna Pad Sakta hai Aur Search Result Me Neeche AaSakti hai. website ki loading Speed online tools ke dwara Check kar sakte hai. App Pingdom Tool Ke Sath Speed Check Kar Sakte hai

  5. Regular Update : Agar App Apne blog Ko regular Update nhi Karenge To Search Results Me Apki Website Pichhad Jayegi aur Ranking Bhi Kam Ho Sakti Hai. Esliye Website Ko Roj Update Karte Rhna Jaruri hai isse Rank Badti hai. Aur results Positive Ho Sakte hai. Regularly Ka Matlab Ye Nhi hai Ki Apne Ek Sath 3-6 Post Kar Diye ,
    Regularly Ka Matlab App Roj Update Kare Chahe , Ek hi Post Regular Hi Kyu Na Ho.
  6. Back-links : Search Engine Me Top Rankings Me Bne Rhne Ke Liye Keyword Ke sath Backlinks Ka hona Bhi Jaruri hai  Apko Apne Post ki Link Apko Other Kisi Sites Se Jodni Chahiye. Aur Apne Purane Posts Ka Link New Post Me Jarur Daalna Chahiye Jisse Visitors Purane Posts Ko Asani Se Pad Sake.
  7. Good Behavior : App Soch Rhe honge ki Blog ka Apna kya Behavior Hoga. To apko Jaanna Jaruri hai ki Blog Ke Content Aur Website ke admin Ka jo Behavior hai Wo Friendly Hona Chahiye . Jisse Visitors Ko Apnapan Mahsus Ho. Aur ye to App Bhi Jante ho ki Apnapan se Ek Rista Ban jata Hai. Esliye apko Blog ka Behavior Environment Bahut Accha Rakhna Chahiye

    Ye Bhi Padiye: Google Me Blog Kaise Submit Kare ?
Agar App Is Post Ke Article Ko Samjhenge Aur Iske Anusar Chalenge To Me Confidence ke Sath Keh Sakta hu Ki Apke Post Google Par Acche Ranking Ke Sath Apka Sath Denge,
Umeed Karta hu Ki App is Post Ko Jarurat Mand Logo Ke Sath Share Jarur Karenge,
Aur Isse Related Swal Kar Sakte hai
THANKS FOR READING ,,, ALL THE BEST.


This post first appeared on My Hindi Help, please read the originial post: here

Share the post

Blog Ki Top Ranking Ke Liye 7 Jaruri Baat | Search Ranking Help

×

Subscribe to My Hindi Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×