Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Hazrat Abu Baker Sadiq

Bismi Allahi arrahmani arraheem
In the name of Allah, the most Gracious, the most Merciful


Aap Rasool(S.A.W) ke khalifa the.Ap ka isme garami Abdullah Ibn Abi Qahfa Usman bin Aamir bin Omroo bin Kaab bin Saad bin Taim bin Mrah bin Kaab bin Loi bin Ghalib-ul-Qurshi Altemi tha.Aap ka nasab Mrah bin Kaab per Rasool e Khuda (S.A.W) se mil jata hai.
Imam Novi ne apni kitab" tehzeeb"ma likha hai ke Hazrat Abu Baker Sadiq ka ism e garami Abdullah hi sahi aur mashoor hai bauz log kehte hain ke aap  ka nam Atiq tha lakin tamam ulema ka is baat  per itefaq hai ke Atiq ap ka laqab hai ism e garami nahi hai.Atiq ke maini hain aag se azad kiya hova.

Hadis sharif ma aya hai ke jise Tarmzi(R.A) ne biyan kiya hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne farmiya  ke ap atish dozagh se azad hain.Baaz kehte hain ke hasan o jamal ki wajah se atiq kahe jate the (atiq ke maini sahib e jamal ke bhi hain) bauz maurkhain" ka  khiyal hai ke chaunke aap ke nasab ma koi aaib nai tha aise liye ap ko atiq kaha gaya.Mausab Ibn Zubair wagirah likhte hain ke ais aamer per tamam umat ka itefaq hai ke aap ka laqab sadiq hai kyunke aap ne bay khof aur nadar ho ke Hazoor(S.A.W) ki naboot ki tasdeeq ki aur kisi qism ki tarsh roai ya jhijak ais tasdeeq mai sarzad nahi hovi.

Hazrat Abu Baker Sadiq ka maqam rafih:

Islam ma aap ka darja aur martaba aur darja bohat hi buland hai Sadiq ka laqab pane ma waqiah Miraj bhi mashoor hai ke aap ne kafron ke sawal ke jawab ma waqiah miraj  ki foran tasdiq farmai .Eihal o aiyal ko chor ker Rasool (S.A.W) ke sath hijrat farmai,Ghar -e- Saur aur tamam raste aap ki khidmat ma rahe naiz Yaum e Badar ma aap ka (kufar ke mauqable ma )kalam karna Hudaibiya ma Makkah Sharif ma dhakhil na hone ke baais logon ke dilon ma jo shakook paida ho gaye the ain ka irtafa(dour karna) aur Rasool (S.A.W) ka ye irshad garami sun ker ke "Allah Tallah ne apne bande ko duniya ma rehne ya akhrat qabool ker laine ka ikhtiar de diya hai" aap ka aha zari karna, Sarwar Alam (S.A.W) ke wasal ke waqt sahba karam ki taskeen khatir ke liye aap ki istaqamat aur khutaba ke zariye ain ma tasqeen qalab paida karna aur Muslmano ki maslahat ke paish e nazer khilafat ko qabool farma laina.

Maurtadeen se jang ke liye Hazart Usama bin Zaid ki qiyadat ma Shaam ki janib lashker ko rawana karna aur aise aazam per sabit qadam rehna, sahaba karam ko (Allah sharha sadoor farmaye) ba saboot o dalail ain ko haq e se agah karna aur murtadeen ke khilaf jang ma ain ko apna humnawa banana ,mumlikat Shaam ki jasnib faujaun ko rawana karna aur phr ain ko kamk pohnchana aur phr mumlikat Sham ki taskhir Hazrat Sadiq Akber (R.A) ke ahaim fazail hain.Naiz aap ka Hazrat Umer(R.A)ko khilifa mauntakhib karana bhi bohat bari fazilat ka hamil hai. Yaun Hazrat Sadiq Akber (R.A) ke fazil o kamalat beshamar wila tadad hain.(irshad Imam Novi) Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ka isme garami aap ka laqab jaisa ke mazkor ho chuka .

Allama Ibn Kasir kehte hain ke tamam ulema ka ais bat per itefaq hai ke aap ka isme e garami Abdullah Bin Usman hi hai magar Ibn Saad Ibn Sarin se rawyat kerte hain ke aap ka ism sharif "Atiq" hai lakin sahih yehi hai ke"ATIQ" aap ka laqab tha,nam nahi tha han ais aamer ma ikhtlaf hai ke ye laqab kab aur kis wajha se hova.Baaz kehte hain ke aap ke husan o jamal ki wajah se ye laqab hova Ibn Naeem kehte hain ke aamor e khair ma aap ki sabqat karne ke wajah se aap ka ye laqab hova .Baaz ashab ka khiyal hai ke pak o saaf aur aala nasab hone ke wajah se aap ka ye laqab hova.baaz ka khayal hai ke aap ka nam Atiq hi tha phr baad ma Abdullah ho gaya.

Tabrani ne likha hai ke Qasim Bin Muhammad(S.A.W) ne Hazrat Ayesha (R.A)(um ul mominain) se aap ka aism e mubarak dariyafat kiya tu Hazrat Ayesha Sadiqa (R.A) ne farmiya.Abdullah aarz kya gaya ke log tu aap ko Atiq kehte hain tu Hazrat Ayesha (R.A) ne farmiya ke Abu Qahfa ki teen oladain thain jin ko Atiq Mataq aur Matiq kaha jata tha.
Ibn Manda ka biyan hai ke Ibn Talha(R.A) ne apne walid se daryaft kiya ke Hazrat Abu Baker (R.A) ka nam Atiq kyo hai unho ne jawab diya ke ain ki walda majda ki olad chaunke zinda paida nahi hoti thain tu jis waqt aap paida hove tu aap ki walda majda aap ko Khaana-e-Kaaba mai le gain aur baregah Elahi ma aarz kiya Elahi ye bacha moot ke changal se azad raha hai aab aise mujhe inayat farma de.

Tabrani ne likha hai ke aap ko aap ke husan o jamal ke bais Atiq kaha jata tha .Ibn Asker ka biyan hai ke unho ne Hazrat Ayesha (R.A) se rawyat ki hai ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ka naam nami ghar ke logon ne tu Abdullah hi rakha tha magar Atiq zayada mashoor ho gaya.Ye bhi rawyat hai ke Rasool Akram(S.A.W) ne aap ko Atiq se masom farmiya tha.
Abu Yaali ne apni masnad ma aur Ibn Saad (Rehmat Ullah)aur Hakim(Rehmat Ullah) Hazrat Ayesha Sadiq(R.A) se rawyat hai ke unho ne farmiya"ma aik din kashana naboot ke dilaan ma thi aur dilaan per pardah pera hova tha.Sehan ma Rasool Allah (S.A.W) ma sahaba karam (R.A) tashrif farma the itne ma walid majid tashrif laye ain ko deikh ker Sarwar Alam(S.A.W)ne farmiya jo koi dozakh se bari aur azad shaks ko deikhna chahta ho wo Abu Baker ko deikh le pas aap ka naam gharwalo ne tu Abdullah hi rakha tha lakin Atiq mashoor ho gaya.

Tarmazi(Rehmat Ullah) aur Hakim ne Hazrat Ayesha ki rawyat se likha hai ke aik roz walid majid Sarwar Konain(S.A.W) ki khidmat ma hazir hove tu Hazoor (S.A.W) ne irshad farmiya .Aye Abu Baker(R.A)Allah Tallah ne tum ko aag se bari farma diya .Chonacha aisi din se aap Atiq ke naam se mashoor ho gaye.

Bazar wa Tabrani ne Abdullah Ibn Zubair ki sanad se likha hai ke Hazrat Abu Baker (R.A) ka nam Abdullah tha Sarwar Alam (S.A.W) ne jab ain se farmiya ke Allah Talla ne tum ko dozakh ki aag se bari farma diya hai tu aap Atiq ke nam se mashoor ho gaye.

Laqab Sadiq ki haqeeqat:

Ibn Masdi ne likha hai ke aap Sadiq ke laqab se zamana jahliat(qabal islam) hi ma malqab the aise liye ke aap hamesha sach bola kerte the baaz ne likha hai ke chaunke aap Rasool Allah(S.A.W) ki har khaber ki tasdeeq karne ma sabqat farmate the ais liye aap ko Sadiq kaha gaya ,Ibn Ishaq aur Qatada ka biyan hai ke shab e miraj ki subah hi se aap aise laqab se mashoor ho gaye.Hakim ne apni maustadrak ma Hazrat Ayesha(R.A) se rawiytki hai  mushrikin Arab ne walid majid ke pas aa ker kaha ke aap ko kuch khaber hai ke aap ke dost (Muhammad(S.A.W)) ye dawaa kerte hain ke(ye zhum hai )ke wo raat ko yahan  Bait ul Maqadas pohnchaiy gaye,

Hazrat Sadiq(R.A)ne farmaiya ke kia waqai wo aisa hi farmate hain.Unho ne kaha han wo yehi kehte hain  tu aap ne kaha beshak wo sach farmate hain ager Hazoor (S.A.W) subah ya shaam ko aise se bhi zayada aasmano ki(sair ki) khaber daite tu mai foran ain ke tasdiq kerta ,aisi bina per aap ko Sadiq  kaha jata hai aisi hadees ko Tabarani ne Hazrat Anas(R.A) aur Abu Huraira(R.A) ki rawiyat se likha hai.

Saad Bin Mansoor ne apni masnad mai Abu Huraira ke ghulam Abi Wahab ke havale se likha hai ke jab shab e miraj ma Rasool (S.A.W) maqam Zai Toaa per pohnche tu aap ne Hazrat Jabrael (A.S) se farmiya ke ais waqaih ki tasdiq meri milat nahi kare gai(ke bazhair wo mehar al aaqol hai) tu Hazrat Jabrael (A.S) ne aarz kiya ke ap ki tadiq Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) karain gaye jo Sadiq hain.

Tabrani  ne Aust ma Abu Huraira(R.A) se aur Hakim ne mastadrak mai Nizal Bin Sirah se rawiyat ki hai ke hum ne Hazrat Ali(R.A) se aarz kiya ke aye aamir ul momenin! aap hum ko Hazrat Abu Baker (R.A) ke bare mai kuch bataye tu Hazrat Ali(R.A) me farmiya ke( Hazrat) Abu Baker ki hasti wo (muhtram)hasti hai jis ka nam Allah Tallah ne Hazrat Jabreal aur Hazrat Muhammad (S.A.W) ki zuban mubarak se Sadiq rakha aur namaz  ma wo Rasool (S.A.W) ki khlifa the.Pas jis shakas se Rasool e Khuda (S.A.W) deeni mamalat ma razi hove hum  aise se apni duniya ke mamlat ke liye razi ho gaye (ain ko khalifa maqrar ker liya aur ain se bait li).

Dar Qatna aur Hakim ne Ibn Yahya se rawiyat ki hai ke unho ne kha ke ma ne barha Hazrat Ali Karam Allah Wajah ko berser manber ye farmate suna hai KhudaWand Tallah ne apne Rasool (S.A.w) ki zuban se Hazrat Abu Baker(R.A) ka nam sadiq rakha.Tabrani Hakim Ibn Saad  se rawiyat kerte hain ke Hazrat Ali Karam Allah Wajah aik bar bahalaf ye farmate  the ke  Allah Tallah ne Hazrat Abu Baker (R.A) ka nam (Sadiq) aasman se nazil farmiya hai.Aisi tarha hadis ma majood hai ke "tum taskeen rakho tum ma nabi, Sadiq aur shaheed hain" 



Hazrat Sadiq (R.A) ki walda mohtrama 

Hazrat Sadiq Akber(R.A) ki walda mohtarma ka nam Salma bint Sanhar bin Aamir bin Kaab tha aur ain ki kuniat Uml ul Khair thi ,aap ki walda mohtarma aap ke walid ke chacha ki dukhter thain .Ibn Aasker ne bhi aise quol se itefaq kia hai.

Hazrat Abu Baker(R.A) Sadiq ka molid wa Mansha:. 

Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ki waladat,Rasool Akram (S.A.W) ki waladat ba saadat se 2 sal 2 mah baad(Makkah ma) hovi aur teraisat(63) saal ki umer pa ker aap ka intiqal hova.Khalifa bin Khiyat Yazeed bin Aasim se rawiyat kerte hain ke aik bar Rasool Akram(S.A.W)ne Hazrat Abu Baker(R.A)se farmiya ke Abu Baker tum bare ho ke ma bara hon,Abu Baker (R.a) ne aarz kia ke bare tu aap hi hain albata meri umer zayada hai.(ye hadees ghair matasal gharib hai)

Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ki parwarish aur nashodunama Makkah Mauzama ma hovi aur tajarti wa karobari zaroorton ke ilwa kabhi Makkah Mauzama se bahir nahi nikle,apni baradri ma sab se zayada doolat mand the lakin maroot wa ehsaan ke paiker the.Quoam ma bohat moaziz samjhe jate the ,aap ke oasaaf ke bare ma Ibn wa Gahna kehte hain ke aap sila rehmi kerte hain.

Ahadis Rasool Allah(S.A.W) ki tasdiq farmate hain aur gumshuda ki talash aap ka shaiwa hai ,zamana ki shidotuon ka aap muqabla kerte hain aur maizbani aap ka shaar hai .Imam Novi(Rehmat Ullah) ka biyan hai ke iyam e jahliat ma aap ka shumar roosaaye Quraish ma hota tha,Quresh aap se mashwara liya kerte the aur aap se ain logon ko behad mohbat thi aur aap bhi ain ke mamlat se had darja ka taluq khatir rakhte the (ain ke mamlaat ki deikh baal farmate the).Jab aap islam ma dakhil hove tu siwaye islam ke kisi chez se sarokar nahi raha (qadeem mashagial biqul tarq ker diye)Ibn Zubair ne Maroof bin Kharbooz se rawiyat ki hai ke aap Quraish ke ain girah(11) ifrad ma se hain.

 jin ko eihad jahliat aur zamana islam dono ma sharf aur bazurgi hasil rahi aap zamana jahliat ma deet (khaon baha) aur jurmane ke muqadmat faisal kia kerte the kyunke Quraish ma koi badshah nahi tha ke aisey kamo ka insram ais ke hath ma ho balke her khandan ka raais ya her qabila ka mohtram shaks aik muqrara kaam ka zimedar hota tha.Jis tarah bani Hashim hajiyon ke muntazam aala the (ain ko pani pilana aur khord wa noosh ka intezam Bani Hashim ke supard tha, aisi tarah fasal qazaiya aur deet ke ihkaam Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) qabal islam jari farmiya kerte the).Abdul Dar ke zime Kaaba ki darbani thi,aalambardari aur majlis Shaura ka intezam the yani ain ki ijazat ke baghair koi Bait Ullah ma dakhil nahi ho sakta tha aur jab tak ye persham jang buland na kerte koi khandan jang ke liye tayar na hota tha.Goya jangi aamoor ka intezam bhi Bano Abdul Dar ke sapord tha majlis Shaura ke mauntazim bhi yehi the ainhi ke hukam se Dar al Nadowa ma ijtama hota tha.

Eihad -e - Jahliat ma Hazrat Abu Baker ka pakeeza kerdar:.

Ibn Aasker ne Hazrat Ayesha Sadiqa (R.A) se rawyat ki hai ke Khuda ki qasam walid majid Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ne zamana jhaliat ma kabhi koi sheher kaha aur na eihad Islam ma,aap ne aur Hazrat Usman(r.a) Bin Aafan ne zamana jahlait hi ma shirab tark ker di thi.

Abu Naeem Hazrat Ayesha(R.A) se rawyat kerte hain ke unhon ne farmiya walid majid Hazrat Abu Baker (R.A) ne zamana jehaliat hi mai khud shirab haram ker li thi(sharab pina tarak ker diya tha) .Ibn Asker ne Ibn Zubair(R.A) ke havala se likha hai ke aap ne kabhi bhi sheher nahi kaha .Ibn Aasker hi Abu al Aaliya Riyahi ke hivala se kehte hain ke sahaba karam ke aik majma ma Hazrat Sadiq Akber(R.A)se diryafat kia gaya  ke aap ne zamana jehliat ma shirab noshi ki hai?tu aap ne farmiya bakhuda!ma ne kabhi shirab nahi pi! logon ne ais ka sabab pocha tu farmiya ke ais liye nahi pi ke izat wa namos mehfoz rahe, marowat baqi rahe kyunke sharab khori se marwat jati rahti hai,ye kahber jab Rasool e khuda(S.A.W) ko pohnchi tu Hazoor ne dou(2) martaba irshad farmiya ke Abu Baker ne sach kaha.

Hazrat Abu Bker Sadiq(R.A) ka holiya sharif:.

Ibn Saad ne Hazrat Ayesha (R.A) ke havale se likha hai ke aik shaks ne aap se aaraz kia ke aap hum ko Hazrat Abu Baker (R.A) ke sarapa se aagha farmiye tu aap ne farmiya ke aap ka rang safaid tha .akhera badan tha.dono rukhsar ander ko dabe hove the, pait itna barha hova tha ke aap ka azara aakser nechy khisak jata tha .paichani hamesha aarq aalod rehti thi .chehre per gosht zayda na tha ,nazrain hamesha nichi rakhte the biland pechani the ongalion ki jarain gosht se khali thain ,hina aur kasam ka khizab lagate the.

Hazar Aanas (R.A) se marvi hai ke jab Hazoor(S.A.W) Madina tashrif laye tu Hazart Abu Baker Sadiq(R.A) ke siwa kisi ke baal safiad aur siyah makhlot nahi the chonacha aap ain khichari balon per hina aur kasam ka khazab lagia kerte the.

Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ka islam qabool farmana:.

Tarmazi wa Ibn Haban,Abi Saeed Khudri se rawyat kerte hain ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ne farmiya ke kia tum ma sab se zayada musthaq khilafat ma nahi hon?kia islam laine ma mujhe awliyat hasil nahi ?kia mujh ma ye awsaf nahi hain?Ibn Aasker ne Hazrat Ali(R.A) ke hivale se likha aap ne farmiya ke mardon ma sab se pehle Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) islam laye ,Ibn Abi Khashima ne Zaid Bin Arqam(R.A) se rawyat ki hai ke Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) wo pehle shaks hain jinhon ne Rasool e  Khuda (S.A.W) ke sath namaz perhi hai! Ibn Saad ne Abi Ardi al Dosi al Sahabi (R.A) se rawyat ki hai ke unhon ne farmiya sab se pehle islam qabool karne wale Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) hain. Shabi(r.a)farmate hain ke ma ne Ibn Aabas (R.A) se daryaft kia ke sab se pehle kon islam laya tu aap ne farmiya Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) aur tum ne Hasan Bin  Sabit ke ye ishaar u sunhe hi hon gaye
.
Jab tu kisi ka ranj wa alam yad karo   tu Hazrat Abu Baker (R.A) ko bhi yad karo
WO duniya ma sab se zayada naik aur aadil they siway Nabi Akram ke, aap sab se zayada wafadar the aur sulahkar 

Aap baregah Khudawandi ki taraf rojou hone aur aap hi sab se pehle Rasool (S.A.W) ki tasdeeq karne wale the aur yar e ghar the

Abu Naeem ne Farat Bin Saaib ki zubani likha hai ke unhon ne Saimoon Bin Mehrani se daryaft kia ke aap ke nazdiq Hazrat Abu Baker(R.A) wa Umer afzal hain ya Hazrat Ali Karam Allah Wajah tu wo larza branadam ho gaye aur ain ke sath se aasa chot ker gir gaya aur unhon ne jawab diya ke mujhe guman bhi na tha ke ma aise zamane tak zinda rahon ga ke jis ma ain dono ke darmiyan mauzana karne ka waqat aye ga .Wo dono ache the aur islam ke liye aise the jaise jism ke liye sir,phir ain se diryafat kia gaya ke Hazrat Abu Baker (R.A) pehle muslman hove the ya Hazrat Ali(R.A),

Aap ne jawab diya ke Hazrat Abu Baker (R.A) Bihra e Rahab ke zamane ma islam la chuke the jabke (Hazrat) Ali Karam Allah Wajah paida bhi nahi hove the baaz ashab ki raiye hai ke aap kul sahaba (R.A)aur taibin wa gair se pehle eiman laye the balke baaz hazraat ne tu yahan tak da-wa kia hai ke aap ki sabqat islam per ijama hai ,aisi tarah baaz kehte hain ke Hazrat Ali (R.A) sab se pehle eiman laiye hain ,baaz ka khiyal hai ke Hazrat Khadija(R.A) sab se pehle eiman lain, ain sab mukhtalif aqwal ki tabtiq ais tarah hai ke mardon ma Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ,khawateen ma Hazrat Khadija(R.A) aur bachon ma Hazrat Ali (R.A) hi sab se pehle islam laine wali hastian hain ,ye tatbiq wa tauzih sab se pehle Hazrat Amam Abu Hanifa (R.A) ne ki hai.

Aise silsaly ma mukhtalif ara:.

Salam Bin Jad ne Muhammad Bin Hanifa (R.A) se diryaft Kia gaye ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) sab se pehle eman lane wale shaks hain ,unhon ne kaha nahi ,ain se phir daryaft kia gaya ke phir ye bat kyo mashoor ho gai ke sab se pehle Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) eman laye tu unho ne farmiya ais liye ye bat mashoor ho gai ke wo islam lane se apni wafat tak tamam muslmano ma sab se afzal wa aala rahe.

Ibn Abi Shiba aur Ibn Aasker ne Saad Ibn Waqas ki zubani biyan ki hai ke ma ne apne walid se diryaft kia ke kya Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ne islam qabool karne ma sab se pehle sabqat li tu unho ne jawab dia ke nahi balke ain se qabal panch Hazraat islam la chuke the magar aamer waqai ye hai ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ka islam hum se behter wa buland tha.Ibn Kasir(R.A) kehte hain ke Rasool Akram (S.A.W) per sab se pehle eman lane wale eihle bait Rasool Allah(S.A.W) thay yani Hazoor ki zauja muhtarma (um ul momanin) Khadija(R.A),aap ke Ghulam Zaid,Zaid ke zauja Um e Aiman ,Hazrat Ali (R.A) aur Warqah Bin Naufal.

Ibn Aasker Isa Bin Zaid se rawiyat kerte hain ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ne farmiya ke aik martaba ma Ka'aba ke samne bhaitha tha aur Zaid Bin Omroo Bin Nafil kahra hova tha ke ais asna ma Umiya Ibn Abi Salt mere pas aya aur mera mazaj pocha ma ne kaha ke thik hon phr aise ne deen Hanifa ke bare ma aik sher perha aur mujh se kehne laga ke paighumber muntazir humre khandan ma paida honge ya aap ke khandan ma ,mai ne aab tak ais nabi muntazir ke bare ma kuch nahi suna tha ke` wo kaab maboos hon ge aise liye ma Warqah Bin Nofal ke pas gaya jo Aasmani Kutab per gehri nazar rakhte the aur ain ke maun se akser aisa kalam nikala tha jis ka koi mafhoom samjh ma nahi aata tha ke ma ne ain ke pas ponch ker ye tamam qisa ain se biyan kia.unhon ne mujh se ye waqiah sun ker kaha ke aye mere bhai!ma kutab samavi ka aalim hon aur ain aloom aasmani se mujhe aaghai hai ye nabi muntazir mulk Arab ke wast ma nasab ke lihaz se paida hon gaye aur ain ke nasab ka mujhe ilm hai .

Chaunke tum bhi nasban wast Arab se taluq rakhte ho.Aise liye wo tum hi ma paida hon ga.Ma ne kaha ke wo kia taleem dain gaye unhon ne jawab dia ke ain ke taleem yehi ho gai ke "aik dosre per zulm na karo,na kisi ghair per zulm karo aur na khud mazloom bano" .Ye tafsil sun ker wapis chala aya aur jis waqat aur jis waqt Rasool Allah (S.A.W) ki baaus hovi ma ne foran islam qabool ker liya aur ap ki tasdiq ki.Muhammed Ibn Ishaq kehte hain ke mujh se Muhammmad Bin Abdul al Rehman ne barrawiyat Abdullah Bin al Sahin al Tamaimi biyan kia ke Rasool Allah (S.A.W) ne irshad farmiya ke jab ma ne kisi ko islam ki dawat di tu aise ko tadbazab ma paya aur aise ko tradad hova siway (Hazrat) Abu Baker (R.A) kay ke jab ma ne islam paish kia tu baghair tadzab aur tardad ke unho ne islam qabool ker lia.

Baheqi kehte hain ke aap ki sabiq al islam hone ka sabab ye hai ke aap naboot ki nechania qabal az islam hi mauloom ker chuke the pas jab aap ko islam ki dawat di gai tu aap ne islam lane ma sabqat ki Abu Maisara ka biyan hai ke Rasool Akram (S.A.W) aik ghaibi awaz ya Muhammad suna kerte the aik bar jab ye awaz suni tu aap ne aisi waqat ye baat Abu Baker Sadiq (R.A) ko sunai ke wo zamana jehliat ma bhi aap ke dost the.

Abu Naeem aur Ibn Aasker ne Hazrat Abas(R.A) se Rasool Allah(S.A.W) ka ye irshad naqal kia hai ke"ma ne jis ko dawat islam di ais ne mere kalam ko lota dia yani inkar kia siway Ibn Abi Qahafa kay ke ma ne jaise hi dawat e islam di unhon ne foran qabool ker lia aur ais per sabit qadam rahe.Bukhari Abu al Darda ki rawiyat se Rasool Akram (S.A.W) ka ye farman biyan kerte hain ke"aye logo !kia tum mere dost (Abu Baker(R.A)) ko chorna chahte ho aur waqiah ye hai ke jab ma ne tum se kaha ke ma Khuday Wahid ka rasool hon.Mujhe Khuda Wand Tallah ne tumhari hadyat ke liye bhaija hai tu tum ne mujhe jhutla dia magar ais waqt Abu Baker (R.A) hi ne meri tasdiq ki.

Suhbat WA Hazoori Khidmat
Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ki masalsal rafaqat:.

Tamam ulema ka aise bat per itefaq hai ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) qabool islam ke bad se sarwar aalam(s.a.w) ki wisal sharif tak hamesha safar wa khizar ma aap ke rafiq rahe behjaz ais ke ke aap ke hukam aur ijazat se hajj ke liye ya kisi jehad ma aap ki suhbat ma na reh sake,warna wo her hal ma her waqt aap ke sath rahte Hazrat Sadiq Akber(R.A) ne Allah aur Rasool Akram(S.A.W) ki khushnodi wa raza ke liye eihal wa aiyal ko chor ker Rasool Allah ke sath hijrat farmai ,Ghar e Saur ma aap ke sath rahe jaisa ke quran kareem ma irshad hai(  ghaar ma do hi the jab ke Rasool(S.A.W) ne apne rafiq se kaha ke ghum na karo Allah humare sath hai)aksar ghazwat ma Rasool e Khuda (S.A.W)ki aanat ki ,naiz aap ki sirat per aur aise bohat se showahid majood hain,khasosan jang Hanain ma jab ke log aap ka sath chor ker bhag gaye aap rasalt Maab (S.A.W) ki khidmat ma majood rahe aap ki shujat ka biyan judagana anwan ke tehat kia jaye ga.

Ibn Aasker Abu HUraira (R.A) se rawiyat kerte hain ke Yaum e Bader ma firshton ne aik dosre se kaha ke deikho Sadiq(R.A) Rasool Allah(S.A.W) ke sath saiban ke nechy majood hain .Abu Yali( R.A) aur Ahmed (R.A) ne Hazrat Ali Karam Allah Wajah se rawiyat ki hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne mujh se aur (Hazrat) Abu Baker(R.A) se farmiya ke tum ma se aik ki madad Jabrael (A.S) ker rahe hain aur dosre ki Makeal (A.S) Ibn Asker (R.A) kehte hain ke ghazwa Bader ma Abdul Rehman Bin Abi Baker mushrikin ke sath the,islam qabool karne ke bad unho ne Abu Baker Sadiq(R.A) se kaha ke aap Jang e Bader ma kai bar zad ma aye lakin ma ne ne aap se qatah nazar ki aur aap ko qatal nahi kia ye sun ker Hazrat Abu Baker(R.A) ne farmiya ke ager tum meri meri zad ma aa jate tu ma tum se sirf nazer na kerta aur tum ko qatal ker daita.

Hazrat Abu Baker (R.A) ki shujat

Aap tama sahaba karam sab se zayada bahadur the:.

Al Bazar ne apni masanad ma likha Hazrat Ali ne logon se diryaft kia "batao ke sab se zayda bahder kon hai?"jawab dia ke aap sab se zayada bahadur hain ! aap ne farmiya ke ma tu hamesha apne baraber ke jor se larta hon phir ma sab se bahadur kaise hova? tum ye batao ke sab se zayada bahadur kon hai

!logon ne kaha ke janab hum ko nahi mauloom aap hi farmyain,aap ne irshad kia ke sab se zayada bahadur aur shuja Hazrat Abu Baker(R.A) hain,suno!Jang Bader ma hum ne Rasool khuda(S.A.W) ke liye saiban (aarsh) banya tha hum ne aapis ma meshwara kia ke(aise saiban ke nechy)Rasool Allah(S.A.W)ke sath kon rahe ga .Kahin aisa na ho ke koi mushrik Rasool (S.A.W) per hamla ker de ,bakhuda hum ma se koi bhi agey nahi barha ke itne ma Hazrat Abu Baker(R.A) shimshir berhana hath ma laiker Rasool Allah (S.A.W) ke pas kahre ho gaye aur phir kisi musrik ko aap ke pas aane ki jurat na ho saki.Ager kisi ne aisi jurat ki bhi tu aap foran ais per toot pare,ais liye aap hi sab se zayda bahdur the.

Hazrat Ali (R.A) ki dosri shadat:
                                                               
Hazrat Ali Karam Ullah Wajah hi farmate hain ke aik martaba ka waqiah hai ke ke musrikin ne Rasool Allah (S.A.W) ko apne naza ma le lia aur wo aap ko ghasit rahe the aur keh rahe the ke tum hi ho jo kehte ho ke Khuda aik hai .Khuda ki qasm kisi ko ain musrikin se muqabala karne ki jurat na hovi lakin (Hazrat) Abu B aker Sadiq (R.A) agey barhe aur musrikin ko mar mar ker aur dhake de de ker hatate jate aur farmate jate tum per afsos hai ke tum aise shaks ko aiz poncha rahe ho jo ye kehta hai ke mera Parwardigar sirf aik Allah hai ".Ye farma ker Hazrat Ali(R.A) ne apni chader othai (chader  maun per rakh ker ) aur itna roye ke aap ki darhi tar ho gai phir farmiya ke Allah Tallah tum ko hadiyat de .

Aye logo !batao ki momin aale Firuan ache the ke Abu Baker (R.A) ache hain (aale Firuan se jo log eman laye unho ne apne paeghamber per ais qader jaan nisari ki jitni Hazrat Abu Baker ( R.A) ne) logo ye sun ker kahmosh rahe tu Hazrat Ali ( R.A) ne farmiya ke logo !jawab kyo nahi daite !Khida ki qasm Abu Baker (R.A) ki aik saat (hiyat)aale Firuan ke momin ki hazaron saaton se behter aur bartar hai ,ais liye ko wo log apna eman (dar ki waja se) chupate  the aur Abu Baker (R.A) ne apne eman ka izhar ali ul eilan kia.

Urwa Bin Zubair kehte hain ke ma ne Abdullah Bin Umro Bin al Asas se sawal ke kia musrikon ne Rasool Allah (S.A.W) ke sath sab se zayada aur sakht tareen burai (ghustakhi) kon se ki hai ? tu unho ne jawab dia ke ma ne bashasham khud deikha hai ke Aqba Bin Abu Mauit Rasool Allah (S.A.W) ke pas aya ais waqt Rasool (S.A.W) namaz per rahe the ,Aqba ne apni chader Rasool Allah ki garden ma dali aur aap ka gla ghontne laga (gale ma chader dal ker ais ko bal diane laga yahan tak ke Rasool Allah ka gala ghutne laga) ke itne ma (Hazrat )Abu Baker Sadiq (R.A) tashrif laye aur Aqba ko dhaka dai ker pechy hatiya aur kaha ke tu ais shaks ko mar dalna chata hai jo ye  kehte hain ke "mera Rab Allah hai , aur jo Parwardigar ke pas se bohat si nechaniya le ker aye hain".

Hisam ne apni masnad ma Hazrat Abu Baker (R.A) ki zubani likha hai ke jang e Uhad ma tamam log Rasool Khuda (S.A.W) ko tanha chor ker mantashir ho gaye.Sirf ma tanha wo shkas tha jo Rasool Khuda(R.A) ke sath raha .Ibn Aasker Hazrat Ayesha (R.A) se rawiyat kerte hain ke jis waqt islam ma 38 afrad dakhil ho chuke the tu Hazrat Abu Baker(R.A) ne Rasool Akram (S.A.W) se lehjat ke sath aarz kia ke aab aap islam ka ala ul eilan izhar farmaye.Hazoor (S.A.W) ne farmiya ke aye Abu Baker (R.A) abhi hamari jamiat bohat kam hai ,Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ne phir bhi israr kia farmiya yaha tak ke Hazoor S.A.W) ne deen barhaq ka eilan farma diya ais ke bad muslman masjid se idhar odhar muntashir ho gaye sirf eihle khandan hi masjid ma reh gaye .

Ais waqt walid majid ne kahre ho ker aik taqreer farmai aur logo ko islam ki dawaat di ,mushrikin ne Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A)  per hamla ker dia aur masjid ma majood muslmano ko bohat aaiz pohnchai.

Ibn Aasker Hazrat Ali (R.A) se rawiyat kerte hain ke Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ne islam qabool karne ke bad islam ko zahir farmiya aur logo ko islam ki taraf baliya.

Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ka bazal aamwal! Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ke eisar per Allah Tallah ki khushnodi:

 Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) tamam ashab Rasool ma se ziyada sakhi the.Allah Tallah ka ye irshad ke "wo perhaizgar aur mutaqi hai jo apna maal islam ki liye ais muqsad se kharch kerta hai ke wo pakeeza ho jaye "ulema mufasrin ka is per itefaq hai ke ye ayat aap hi ki shan ma nazil hovi hai.Hazrat Abu Huraira (R.A.) se rawiyat hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne farmiya ke Abu Baker Sadiq (R.A) ke maal ne mujhe jitna nafa diya itna kisi ke maal ne nahi diya.Aisa per Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ne rote hove aarz kia "Hazoor ma aur mera maal sab Hazoor hi ka hai.Aik hadees Hazrat Ayesha (R.A) se bhi aisi tarah ayi hai (Abu Yali ) Saeed Bin Masib se marvi hadees ma ais qader aur azafa hai ke Hazoor (S.A.W) Hazrat Abu Baker (R.A) ke maal ko apne maal ki tarah kharch farmiya kerte the.
Hazrat Ayesha (R.A)se marvi hai ke jis roz Hazrat Abu Baker (R.A) mashraf ba islam hove aap ke pas chalis hazar darham majood the ,ap ne ye tamam maal Rasool(S.A.W) per kharch ker diya.

Ibn Aasker ne Ibn Omer se rawiyat ki hai ke jis roz Hazrat Abu Baker (R.A) eman laye tu ain ke pas chalis hazar darham the    aur jab aap hijrat karke Madina aye tu ais maal ma se sirf panch hazaar darham baqi reh gaye the,aap ne tamam maal (35 hazar darham) muslmano ke azad karane aur islam ki madad karane ma kharch ker dala tha.Hazrat Ayesha (R.A) se marvi hai ke Hazrat Abu Baker (R.A) ne saat aise muslamano ko azad karia jin ke aaqa ain ke muslman hone ki bina per ain per dard naak azab kerte the.(ain ko sakht tareen sazain  daite the)

Ibn Shaheen,al Baghovi aur Ibn Aasker ne Ibn Omer (R.A) se rawiyat ki hai kay ma aik roz Rasool Allah (S.A.W) ki khidmat ma hazir tha aur wahan Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) bhi majood the  aur wo aik aisi qaba pehne hove the jis ko unho ne apne sina per kanto se atkia hova tha (batno ya tasmo ki bjay ais ma kante lage hove the .) pas ais waqt Jabrael (A.S) nazil hove aur unho ne farmiya aye Muhammad (S.A.W) aaj Hazrat Abu Baker(R.A) apni qaba ko seene per kanto se kyo itkay hove hain.Hazoor (S.A.W) ne jawab ma irshad farmiya unho na apna tamam maal mujhe per (islam ki taraqi ke liye) kharch ker diya hai.Hazrat Jabrael ne kaha ke ya Rasool Allah, Allah Tallah ne aun per salam bhaija hai aur farmiya hai ke ain se kaho aye Abu Baker (R.A) kia tum mujhe se apne aise faqar ma razi ho ya nakhush ho! ye sun ker Hazrat Abu Baker (R.A) ne kaha ka ma apne rab se nakhush kis tarah ho sakta hon ma tu ais se razi hon,khush hon,bohat khush hon ,bohat razi hon ,Aise tarah ki aur bohat si ahadees aur bohat si rawyatain hain jin ma aap ke maal o daulat ke aisar aur islam ki rah ma ais ke kharch karne ka haal hai.

Ibn Aabas (R.A) se rawiyat hai ke Rasool Akram(S.A.W) ne farmiya ke aik din Hazrat Jabrael (A.S) aik aisa  jaba jis ma kante lage the pehne hove nazil hove Hazoor (S.A.W) ne ain se diryaft kia ke aye Jibrael ye kia halat hai ,unhno ne aarz kia ke Allah Tallah ne firshton ko hukam hiya hai ke wo aisa hi labas pehne jaisa  Hazrat Abu Baker (R.A) pehne hain.

Abu Dawood aur Tarmazi ne bahavala Hazrat Omer Farooq (R.A) likha hai ke bargah Nabvi(S.A.W) se hum ko hukam hova hai ke hum rahe khuda ma apna kuch maal tasdiq karain .Ma ne dil ma pukhta irada ker lia ka ma aaj Abu Baker (R.A) se ziyada maal rahe Khuda ma tasdiq karon ga chaunacha ma apna nisaf maal laiker Rasool Allah ki kihdmat ma hazir hova .

Sarwoor Alam (S.A.W) ne mujhe se daryaft farmiya ke apne eihle wa aiyal ke liye kitna maal chora,ma ne aarz kia ke ain ke liye nisf maal chor aya hon,itne ma Hazrat Abu Baker (R.A) apna (kal) maal laiker hazir hove ,Hazoor (S.A.W) ne ain se farmaya ke tum ne apne eihle wa iyal ke liye kia chora? unho ne jawab ma kaha ki ain ke liye Allah aur ais ka Rasool kafi hai.Aise waqt ma ne apne dil ma faisala kia ke ma kisi baat ma ain se sabqat nahi le  ja sakta.
Hasan Basri (R.A)farmate hain ke aik murtaba Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) jab sadqa laiker hazir hove tu ais ki maaliyat ka izhar kiye baghair Hazoor (S.A.W) se aarz kia ke ye mera sadqa hai wallah mujhe aab Allah hi kafi hai .Hazrat Omer Farooq(R.A) bhi sadqa le ker hazir hove aur ais ki maaliat zahir karke kehne lage ke mujhe aab khuda ka sahra hi kafi hai .Rasool Khuda (S.A.W) ne farmiya ke tum duno ke sadqaat ma itna hi faraq hai jitna tum duno ke ilfaz ma farq hai.

Tarmazi ne Abu Huraira (R.A) se bahavala Abu Baker (R.A) tehreer kia hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne farmiya "ma ne her aik ka ehsan otar diya siway Abu Baker(R.A) ke ehsan ke ain ka ehsan mere zima baqi hai ,ain ka ehsan itna aazeem hai ke ais ka awuz qiyamat ke din ke Allah Tallah hi ain ko aata farmaye ga,mujhe kisi ke maal se itna nafa nahi poncha jitna Abu Baker(R.A) ke maal se pohncha.

Bazar ne berrawiyat Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) tehreer kia hai ke aik roz ma apne walid Abu Qahfa ke sath baregaha nabvi ma hazir hova tu (mere borhe walid ko deikh ker )Hazoor(S.A.W) ne farmiya ke tum ne apna zaaif walid ko(yaha aane ki ) kyo takleef di ,ma khud ain ke pas a jata ais per ma ne aarz kia ke aap ka zehmat farmane ke bajaye ain ka ana hi thik hai ,ais per irshad farmiya ke hume ain ke baite yani (Abu Baker) ke ehsaanat yad hain.

Ibn Aasker ne berriwayat Ibn Aabas (R.A) likha hai ke Rasool Akram (S.A.W) ne irshad farmiya ke Abu Baker (R.A) ke mujhe per azeem ehsaanat hain ke aur kisi ke nahi hain unho ne apne jan aur maal se meri madad ki.Aur apni baiti bhi mere aaqad ma dey di. 
Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ka murtaba ilmi

       Aap tamam sahaaba (R.A) ma sab se zayada aalim aur sab se zayada zaki the :
Amam Novi ne apni tasneef "tehzeeb" ma likha hai ke ulema ne aap ke tehjer ilmi per Bukhari aur Muslim ki ais hadees se aistadlal kia hai ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ne farmiya ke Khuda ki qasam ager koi shaks namaz wa zakat ma farq kare ga tu ma ais ko qatal ker don ga .Kia ain ma wo mujhe majboor samjhte hain? wo jo kuch bhi Rasool Allah (S.A.W) ke zamane ma ada kerte the ager ais ma kuch bhi kami ki tu ma in se qaatal karon ga.

Sheikh Abu Ishaq ne ais hadees se aur degar ahadees se istadal kia hai ke Hazrat Abu Baker (R.A) sab se zayada aalim the kyunke sahaaba karam (R.A) ko kisi masala ma tardad hota aur aise hal na ker pate tu ais ko Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ki khidmat ma paish ker daite aur ais per jo kuch raye aap ki hoti thi jarah wa taadail ke bad jawab dursat hota tha aur sahaba(R.A) aisi taraf roujo kerte the (aisi faisle per amel hote the ).Abdullah Ibn Umer se kisi ne sawal kia Rasool Allah (S.A.W) ki eihad mubarak ma kon shaks fatwa diya kerta tha tu unho ne jawab diya ke Hazrat Abu Baker aur Hazrat umer (R.A) se ziyada koi aalim nahi tha (yehi duno hazraat fatwa diya kerte the) 

Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ka kamal fahaim wa farasat:

Abu Saeed Kahudri(R.A) se marvi hai ke aik roz Rasool Akram (S.A.W) ne khuttba ma irshad farmiya ke Allah Tallah ne apne bande se kaha ko wo duniya ko pasand ker laye ya akhrat ko ikhtiar ker laye.So ais bande ne apne liye akhrat ko pasand ker liya hai.Ye sunte hi Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ashkabar ho gaye aur kehne lage ke kaash ya Rasool Allah hum apne maa baap aap per qurban ker dain,ye kalmaat sun ker hum hazrin ko taajub hova kyunke Hazoor(S.A.W) tu mehaz aik shaks ka zikar farma rahe the jis ko ye ikhtiar diya gaya tha aur ais ma haqeeqat aur ramzia tha ke wo sahib e ikhtiar khud Rasool Allah (S.A.W) ki zaat garami thi,ais ramaz ko faqat Abu Baker Sadiq(R.A) ka ilam hi pa saka.Aisi zakwat fahim ke baais wo hum ma sab se zayada alim the .

Rasool Akram (S.A.W) ne farmiya ke jo log mujh per eman laye ain ma Abu Baker ki muhbat aur ain ka maal mujhe sab se zayda pasand hai ager ma Allah ke siwa kisi ko dost bana sakta tu Abu Baker(R.A) ko dost banata lakin ain ki akhowat islami maudat mere dil ma baqi hai Hazoor (S.A.W) ne irshad farmiya ke tamam darwzon ke band ker daine ke bawjood Abu Baker (R.A) ka darwaza lazman khula rahe ga.

 Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ka ilm quran:.

Ibn Kasir kehte hainke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) sahaba ma sab se zayada ilm quran rakhte the ais liye ke Rasool Allah (S.A.W) na aap ko namaz ma sahaaba ka


This post first appeared on Dua Wazaif Collection, please read the originial post: here

Share the post

Hazrat Abu Baker Sadiq

×

Subscribe to Dua Wazaif Collection

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×