Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Rajab ki Fazilat


Rajab is the seventh month in the Islamic lunar calendar. Rasul ul Allah (S.A.W) says that the month of Rajab is the month of great virtue. There is a reward of worship in this month.

10 Raka'ah on the first of it (month of Rajab) and in each Raka'ah recite Surah Al-Faatihah once, Surah Al Ikhlaas thrice and Surah Al Kafiroon thrice and after you do your Salaam (at the end of each 2 units) raise your hands and say:

la ilaha illa allahu wahdahu la shareka lahu, lahu almulku wa lahu alhamdu,yuhye wa yumetu,wa huwa hayyun la yamutu,biyadihi alkhayruwa huwa `ala kull shay‘in qaderun.Rasool maqbool (S.A.W) farmate hain keh mah rajab ki be shumar fazilat hai aur is mah mubarak ki ibadat buhat afzal hai.

Rajab ka Mahina:

Rasool maqbool (S.A.W) farmate hain keh mah rajab ki be shumar fazilat hai aur is mah mubarak ki ibadat buhat afzal hai. 

1-Is mahina ki 4 tareekh ko jung safeen pesh aayi.

2-Is mahina ki 27 tareekh raat ko mehboob khuda Hazrat Muhammad (S.A.W) ne Miraj Shareef ki. Jis mein aasmani sair Jannat aur Dozakh ka mulahiza karna aur didar nabi se musharraf hona tha.

3-Is mah mein Allah Tala apne bandon par rehmat o maghfarat undelta hai. 

5-Is mein ibadatein maqbool aur duayein mustjab hoti hai. 

6-Hazur Aqdas (S.A.W) ka irshad garami hai keh jab mah Rajab ka chand dekho to pehle aik martaba yeh dua parho.

Rajab ka Wazifa:

1-Rozana 1000 martaba parhein 

Ya Hayyu ya Qayyumu

2-Pure mah mein 3 roze. 

3-Rozanah aadha ghantah darood shareef. 

4-Rozanah do rikat nafal 

Do rikat nafal is tarah parhein keh Surah Fatiha ke baad Surah Ikhlas 21 martaba parhein. Namaz se farigh hone ke baad 10 martaba Darood Pak parhein aur phir Dua karein to Allah Tala is ki duya qabool farmaye ga aur jab doosron ke dil murda ho jayein gay to is ka dil zinda rakhe ga.

Rajab ki Namaz:

Mah Rajab ki pehli shab qabal namaz isha 20 rikat namaz 10 salam se parhe har Rikat Mein Baad Surah Fatiha k Sura Kafaroon teen 3 martaba aur Suarah Ikhlas 3, 3 dafa parhe . Insha Allah Tala is namaz key parne wale ko Allah Pak Qiyamat key din shahidon mein shamil kare ga aur hazar darjah is key buland kare ga.

Hajat Qabool Hoga:

Pehli shab baad namaz Isha 4 rikat namaz do salam se parhe. Har rikat mein baad Surah Fatiha k Surah Nashrah aik bar Surah Ikhlas aik bar, Surah Falaq aik bar, Surah Naas aik bar parhe. Jab do rikat ka salam pher de to Karmah Toheed 33 martaba aur Darood Shareef 33 dafa parh kar jo bhi hajat ho Allah Pak se talab kare. Insha allah tala har hajat qabool hogi. 

Sehat Ata Farmaye Ga:

Mah rajab ki pehli shab baad namaz Isha 2 rikat namaz parhe aur har rikat mein baad Surah Fatiha key Surah Iklas 5, 5 martab parhe baad salam key Surah Ikhlas 100 martaba parhni hai. 

Insha allah tala is namaz ki barkat se Allah Pak ise sehat ata farmaye ga. Bimar ki sehat key liye yeh namaz buhat afzal hai. 

Pehli Jumma ki Namaz:

Mah rajab key pehle jumma ko Zuhar aur Asar key darmiyan 4 rikat namaz aik salam se parhe har rikat mein baad Surah Fatiha key Aayat ul Kursi 7 martaba Surah Ikhlas 5 martaba parhe baad salam k 25 maraba yeh parhe

Phir 100 martaba yeh astaghfar parhe.


Bad azan 100 martaba Darood Shareef parh kar jo bhi Dua kare kha woh dunyawi ya dini ho Insha Allah tala dargah e ilahi mein zaroor qabool hogi.

Mah rajab key kisi jumma ki shab ko baad namaz isha do rikat namaz parhe har do rikat mein baad Surah Fateha key Aayatul Kursi 11 martaba, Zulzal 11 martab, Surah Takasur 11 martaba parhe. Baad salam key Dargah Ilahi mein apne gunahon ki maghfarat talab kare. Insha Allah Tala is namaz parhne wale key tamam k tamam gunah muaf farma kar Allah Pak is ki bakhshish farmaye ga. 

Baad azan 100 martaba Darood Shareef parh kar jo bhi dua kare khua woh dunyawi ya dini ho Insha Allah Tala dargah ilahi mein zaroor qabool hogi. 

7,15,27 Tareekh ki Shab :

Mah rajab ki 7, 15 aur 27 tareekh ki shab baad namaz isha 20 rikat namaz 10 salam se parhe . Har rikat mein baad surah fatiha key surah ikhlas 1 bar parhe . Haq tala is namaz key parhne wale ko dunyawi aur dini tamam aafaton se mehfooz rakhe ga aur pul sarat ka rastah is par se aasan hoga.

15 Tareekh ki Namaz:

15 tareekh ki shab ko baad namaz isha 20 rikat namaz 10 salam se parhni hai. Har rikat mein Surah Fatiha key baad Surah Ikhhlas 1,1 dafa parhe . Insha Allah Tala Allah Pak is namaz ka be had sawab ata farmayein gay aur is namaz key parhne wale key guanah aise jharein gay jaise darakht key sukhe patte jharte jate hain.

Tags: rajab ka mahina, rajab ka mahina ki fazilat, rajab ki fazilat, rajab ki dua, rajab ki namaz, rajab ki fazeelat, shab e barat ki fazeelat, rajab ki ibadat, rajab ki raat, rajab ki namaz, rajab ka wazifa


This post first appeared on 786 Qurani Wazaif, please read the originial post: here

Share the post

Rajab ki Fazilat

×

Subscribe to 786 Qurani Wazaif

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×