Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Ishq Hawao Mein By Rumama Ajaz Roman Urdu Stories

Tags: hain mahira arham

Ishq Hawao Mein by Rumama Ajaz Roman Urdu Stories

“Gulabi gal terey surkh ankhain teri

Hawa mai lehraiyen haar haar batain teri

Teri khush mizaji pay yeh chand bhi muskuraye janam

Tu hai Malika meri mujh pay hukomat teri.”

Ishq kiya cheez hai? sahi shaks sey hojaye to aesa hai key jannat zameen pay agye ho or agar wahi ishq kisi aesay shaks se hojaye jo apkay qabil na ho to zindagi jahanum numa honay mai waqt nahi lagta. shurwat mai to ishq chahe kisi se bhi ho pyara to lagta hi hai kasmain bhi hazar hoti Hain wadain bhi beshumar hotay hain haar taraf khusbu hi khusbu mehakti nazar ati hai jee han to aj ki story bhi kuch aisi hi hai

Islamabad, Pakistan ki rehnay wali pyari si larki ki kahani wesey to yar jawani mai muhabbat hona to am si baat hai mery lihaz sy to jo shaks ye kahain us ne jawani mai muhabbat nahi ki likh lo meri baat jhoot bol raha hai aray han kahani ki bt ho rhi thi.

Khubsurti beshumar husan to bhi urooj pay baal lehratay howe jhumkay muskuratay howe hath mai choriyan or shokh ada ab behan to itna saj sawar ky nikli ho to lrkay to cheren gay hi na bahar hal wahi bollywood scene khubsurat ko bazar mai larkay chertay hain or aik larka Hero ki tarhan entry maar ke ussay bachata hai bachata nahi bachany ki koshish karta hai jis chakkar mai wo khud hi pit jata hai ab jee wo larkay wahan se chaley jatay hain issay maar ke asal mai to yeh kaho ke awam aik banday pay hath saaf karkey nikal ti hain. Larki ka naam Mahira jee han to wo larki mahira jee us lrkay ko uthati hain pochti hain ap theek to hain jesey ke usay to dikh hi nahi raha banda buri tarhan pita hai kesay theek hoga, han to  larkay to hotay hi larkay hain “han han mai to theek hoon” wo Larka kheta hai.

Barhal howa phir kiya wahi jo hota hai ishq pyar muhabbat “aray bhae kab samjho gay tum log ya Attraction hoti hai koi pyar nhi hota pehli nazar ka pyar whatever yar” Han to mahira ko laga ke wo larka jis ka naam Ashfaq hai wo us se pyar karta hai or behad karta hai mahira ke maa baap chunkay samajhdar thay to unho ne Ashfaq sy mil ky yeh faisla kiya ke yeh larka humari beti ke Qabil nahi or phir hona kiya tha larki ghaar se sara saman le ke larke ke sath karachi bhag gaye yar aik baar bhi nhi socha jinho ne itnay pyar sy pala unka pyar bara hai ky 2 din ke aye we us larkay ka or yeh baat to ap ne sunni hi hogi.

             “ jo shakhs apnay baro ka ahteram nhi krta Wo zalil o khuwar hi hota hai “

Hona kiya tha ashfaq mahira ko dhoka de ke sara saman le ke bhag gaya ab Mahira itni pareshan thi ke wo wapis ghaar bhi nahi ja skti thi kunkay bhae kis mu se jati ke jis larkay ke liyen wo apnay baap ko chor gaye wo larka ussay hi chor gaya Barhal is waqt wo bebas or be sahara thi karachi mai chunkay kisi ko nhi janti thi to bas chaal pari kahi bhi kisi bhi rah ko issay lagaa ke zindagi khatam hogye lekin:

   “Zindagi mai chahe kitni onch neech aye lekin

   Iska mtlb yeh nahi ke zindagi khatam hogye balkay

  Iska matlb yeh hai ky utho balkay or oncha utho

 Dikhao is dunya ko ke in mushkilat ne in azmaisho

Ne tumhe girna nahi balkay parwan barhna sikhaya hai”

Mahira ne kuch din karachi ke kisi road ke footpath pe guzar diye roz aik larki wahan se guzarti or ussay dekhti chali jati aj wo larki buhut khush thi wo Mahira ki taraf barhi us say masla daryaft kiya hosla diya himmat di sir pay chaat di or aik job dilwa di.

Is larki ka nam Manizey tha,  kehtay hain kuch log farishtay hotay hain uska yeh matlab nahi ke wo waqai mai farishtay hotay hain iska yeh matlab hai ke un mai abhi bhi Insaniyat baqi hoti hai Manizay apnay ghaar mai akeli nhi rehti thi uskay sath uska bhai rehta tha jo kuch hafton ke liyen out of town gaya howa tha.

Jaab Manizey ka Bhai wapis ata hai to ussay shoq lagta hai wo kehta hai “Manizay yeh larki kon hai? or ghaar mai kiya kaar rahi hai? I told u na bacha kisi ko ghaar mai nahi latay aesay.” Manizey kehti hai: “Bhaiya thand rakho sabar pani piyo or lambi sans lo” haaaa uska bhai kehta hai han bhae aab batao daal mai kiya kala hai?

Manizay, Mahira ki pori kahani ussay bata deti hai. or phir Mahira ko kehti hai mahira yeh Arham bhai hain bachpan mai mama baba ki death ke baad hum dono ne aik dosry ko smbhala hai or yahi meri zindagi hain. Arham Mahira sy kehta hai “Jo howa so howa zindagi jiyo or us shaks ko batao tum kisi se kaam nahi” Mahira yeh baat sun ke chaunk jati hai ke matlab pehli mulaqat mai koi itna frank kesey? Barhal wo samajh jati hai Arham aik saaf dill ka Larka hai.

Kuch din guzartay hain teeno mai understanding or bond or mazboot hojati hai taab Arham kehta hai hum kahi ja rahay hain saman pack karo Manizay or Mahira kehti hain kahan? Arham kehta hai surprise hai yar chalo and then kuch ghanto bad bhoom Mahira aik dum khamosh hojati hai kunkay wo un dono ko Islamabad laya hota hai uskay ghar yaar issay kesey pata yeh mahira ka ghaar kahan hai?  to is sawal ka jawab yeh hai ke usey aesa pata chala ke uski mulakat Islamabad ke aik Police Officer se hoi us Police station mai Mahira ki pic lagi vi thi missing mai or us ne wahan se uska adress pata karliya ab Mahira ki ankhon se ansu tap tap gir Rahy hain Maa Baap se kafi arsay door hokay ussay ahsas hogaya ke Maa Baap Nemat hain usnay apnay waldain se pocha ap gussa nahi hain mujh pay?

Unho ne kaha “meri bholi bachi tum pay kun gussa hongay tum humaray jigger ka tukra ho.” Yeh sun ky mahira buhut Sharminda hoti hai or baad mai sambhalnay ke baad Arham or manizey ka shukriya ada karti hai.

Arham aur Manizey kuch roz Islamabad hi rehtay hain Mahira Unhe sub jagah ghumati hain. Mahira apni Ammi ke sath jub bethi hoti hai, Ammi us se pochti hain “yeh Arham or tumhary talluk kesey hain?” Wo kehti hain “hum achay dost hain”.  Uski mama kehti hain “kuch hai to btao kunkay Arham kafi acha larka hai or us ka tumharey liyen itna krna or tumhay hasaney ki koshish karna saf zahir karta hai wo tumhe passand karta hai.” Abay yaar aik to yeh mama bhi na matlab sukoon nahi ha kuch din bnday ko single hi rehnay do foran mingle karanay ke chakkr mai hoti hain Barhal Mahira is bt pay buhut ghor karti hai or ussay bhi aesa hi lagta hai jesa uski mama ko lagta hai…

Ab Manizay or Arham karachi Janay ke liyen saman pack kar rahay hotay hain Mahira ati ha bolti hai mujhy yad karo gay? Arham kehta “Nahi chalo bhae aik bala se to jan chuti dusri ko bhi jald rukhsat kar key aram sey rahon ga” dono usko thappar laga deti hain Manizey kehti hai “Chor yaar isko fuzool hi bolay ga” Manizey bahir chali jati hai or Mahira bhi bahir ja rhi hoti hai ke itnay mai Arham uska hath Pakrta hai or ussay apni taraf khenchta hai or kehta hai “zyada buhut zyada had sey zyada tumhari coffee ko miss karon ga.”  Yeh larka bara hi pagal hai bara hi Pagal romance ko mazak mai badal diya kuch nhi hoskta in larko ka inhey pata hi nhi hota kab kiya kehna hai Wo dono Karachi ko Rawana Hojaty hai.

Aab Social Media  Kis liye hai? haan baton ke liyen bton ke liyen to wo dono chat kartay rehtay hain chat krtay rehtay hain ab takreebn aik saal guzar jata hai Arham lagatar aik haftay online nahi ata Mahira buhut pareshan ho jati hai buhut calls bhi karti hai magar koi Answer nahi? Aab wo buhut pareshan or udas ho jati hai.

Aik din darwaza bajta hai or Mahira darwaza kholti hai wah bhae kiya Itefak hai usi ny khola darwaza haan to samnay kiya dekhti hai Gulab hi gulab gulab hi gulab haar tarhan ke gulab ka guldasta wahan tayar Rakha hota hai or achanak aik bara sa bhalo ata hai or kehta hai “kesa laga madam?” Mahira kehti hai “Izzat se yeh sub lein or jayen yahan se jo bhi hain ap bilkul acha nahi kiya apnay buhut bakwas hai” us teddy bear ka sir hattati hai or ander sy kon niklta hai Arham, Mahira freeze hojati hai Arham bolta hai yar itni mehnat tumhay bakwas lagi Mahira kehti hai nahi nahi wo arham baat kattay we uskay hath mai aik letter rakhta hai wo parhti hai to wo arham ka promotion letter hota hai.

Peechay se Manizay bhi ati hai or kehti hai “Surprise kesa laga” uski mama ati hain dekhti hain Manizay or Arham ko or bolti hain “Mahira ander bulao ao bachon mai bus khana lagati hoon fresh hojao” Manizay kehti hai Aunty mai help karo gi Mahira bhi ja rahi hoti hai Arham hath pakrta hai or apni taraf khenchta hai or kaan mai kehta hai “tumhari coffee ko bht miss kiya paar han tum sy zyada nhi I love u mahira I love u” Mahira bilkul khamosh or thandi paar jati hai

Mahira ke Father dono ko ander bulatay hain or khana khanay ke baad chai pe batein kartay hain or pochtay hain “haan bhae kesey agye yaad itnay time baad?” Arham kehta hai “Uncle darasal hum rishta ley key aye ha” uskay father kehtay hain “kesa Rishta”

Arham bolta “uncle mai Mahira se shaadi karna chahta hoon ab manizey or mahira ka to rishta nahi kar saktay to socha ma kar hi leta hoon issay shadi” sb hasnay lagtay hain. Uncle kehtay hain “Beta humain to tum passnd ho mahira sey poch lo? ” Mahira Bhi bhaan khedeti hai.

Shaadi fix hojati hai or 6 mahinay baad dono ki shaadi hojati hai or kuch mahinay baad wo manizay ki bhi shaadi fix kaar detay hain istarhan un Teeno ki life settle hojati hai or khushiyon ky mosam mai unka guzar basar honay lgta hai.

LESSON:

Pyar wo Nahi jis mai sirf Izhar ho pyar wo hai jis mai aetbar ho or apnay mehbob ki khushi ka khayal ho

Or maa baap hi wo hasti hain is dunya mai jo kabhi apsy naraz nhi hosktay chahe ap kitni hi ghalti na karen wo apko haar pal maaf krnay ko tayar rehtay hn

Agr ap kisi sy achay ki umeed kartay ho to ap bhi dosrn key liyn acha kiya karein issay hukook ul ibad poray hon gay or insaniyat qaim rahy gi

The post Ishq Hawao Mein By Rumama Ajaz Roman Urdu Stories appeared first on Eshu Tech.



This post first appeared on Reason Not To Buy IPhone X – Flagship Phone Of Apple – Eshu Tech, please read the originial post: here

Share the post

Ishq Hawao Mein By Rumama Ajaz Roman Urdu Stories

×

Subscribe to Reason Not To Buy Iphone X – Flagship Phone Of Apple – Eshu Tech

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×