Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Single Youtube Video Ko Another Channel Par Move Kaise kare

Agar aap ek youtuber hai aur single Youtube video ko apne ek channel se dusre channel par move karna chahte hai. To iss post me mein aapko iska simple aur easy tarika batane wala hu. Jiski help se aap apni ek ya ek se jyada youtube video ko. Apne dusre channel par transfer kar sakte hai.

Bahut se youtubers hai jinke youtube par ek se jyada channels hai. Aur unn alag alag channels par vo video banakar upload karte rehte hai. Jinme se unka koi ek youtube channel grow kar jata hai. Aur videos par views bhi aane lag jate hai.

  • 4000 Watch Hours Aur 1000 Subscribers Jaldi Se Kaise Badhaye

Agar aapke sath bhi yahi condition hai to aap jarur apne dusre youtube channel ki sabhi videos ko. Growing channel par move karne ki sochenge. Aap apne youtube channel ke all data (videos, likes, dislikes, subscribers, comments aur views) ko another channel par ek sath transfer kar sakte hai.

Lekin iss post me mein aapko batane wala hu ki single video ko another channel par move kaise karte hai. To chaliye janate hai ki ek video ko other channel par transfer karne ke liye kya karna hoga. Iske liye aap niche diye easy steps ko follow Kare.

  • Youtube Video Ko Large Thumbnail Ke Sath Facebook Par Share Kaise Kare
  • Youtube Channel Ke Liye Custom URL Kaise Set Kare

Single Youtube Video Ko Another Channel Par Move Kaise kare

Step 1

Sabse pehle youtube ki official website me login kare aur apne uss channel ke video manager me jaye. Jiski single video ko apne another channel par transfer karna chahte hai.

  1. Jiss video ko move karna hai usse select karne ke liye tick box me tick kare.
  2. Actions ke dropdown par click kare.
  3. Creative Commons ke option par click kare.

Step 2

Ab video update karne ke liye ek popup message open hoga

  1. Tick box me tick kare.
  2. Yes, submit ke button par click kare.

Step 3

Iske baad aapka video creative common attribution me add ho jayega. Ab video ko download karna hoga.

  1. Edit dropdown par click kare.
  2. Download MP4 par click kare.

Step 4

Video download hone ke baad ab isse apne other youtube channel par upload kare. Upload ho jane ke baad ab isme niche di gayi setting kare.

  1. Dropdown menu se Unlisted select kare.
  2. Done button par click kare.

Step 5

Video upload ho jane ke baad ab iss video ki Info & settings me jaye.

  1. Dropdown ke option par click kare.
  2. Public select kare.
  3. Save changes button par click kare.

Step 6

Wapas video ki Info & settings me jaye aur niche diye steps follow kare.

  1. Advanced settings par click kare.
  2. Dropdown option par click kare.
  3. Standard youtube license ko select kare.
  4. Finally Save changes button par click kar dijiye.

Iss tarah se aap apne youtube channel ki kisi bhi single video ko apne other channel par move kar sakte hai.

  • Youtube Video Me Custom Thumbnail Enable Kaise Kare
  • Youtube Par MP3 Song Upload Kaise Kare

I hope, ab aap samajh hi gaye honge ki single youtube video ko another channel par move kaise karte hai. Agar ye jankari aapko helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi jarur share kare.

The post Single Youtube Video Ko Another Channel Par Move Kaise kare appeared first on Hinglish Help.



This post first appeared on Hinglish Help, please read the originial post: here

Share the post

Single Youtube Video Ko Another Channel Par Move Kaise kare

×

Subscribe to Hinglish Help

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×