Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Choti Nasihat a Sabaq Amoz Kahani in Urdu Hindi | Life Changing Story

 Choti Nasihat a Sabaq Amoz Kahani in Urdu Hindi | Life Changing Story

sabaq Amoz Kahani,moral stories in urdu,urdu kahani,sabaq amoz kahaniyan in urdu,stories in urdu,sabaq amoz kahani in urdu,sabaq amoz kahani hindi urdu,kahaniyan in urdu,kahani,hindi kahani,sabaq amoz kahani in hindi,moral story in urdu,sabaq amoz kahanian,story in urdu,sabaq amoz kahanian in urdu,sabaq amoz kahani hindi/urdu,ikhlaqi kahani,sabaq amoz kahani urdu,sabaq amoz kahani hindi,moral stories in hindi,kahani in urdu,ikhlaqi kahani in urdu



Atrat Batool : 

rashid aur amjad do bhai thay dono apny maa baap k sath gao main rahte thay. agrchah wo gareeb thay lakin waqat acha guzar raha tha gurbat k bawajood maa apny bachon ka bohat khayaal rakhti thi es ki koshish hoti thi kah wo apne bachon ko saaf suthre achy kapry pahnay aur acha khana khilay. lakin kerna khuda ka yeh howa kah maa kuch arsah bimaar rah ker foot ho gai an dono bhayon per gam ka pahar toot para in k abu aur chacha wagera in ka khayal kerny lagy lakin maa ki kami anhain bohat mahsoos hoti thi. aur ab gao main un ka dil nahi lagt atha gao main roozgar bhi na hony k barabar tha . tang dasti aur gurbat barh rahi thi halat aisy thay kah yeh dono bhai school bhi nahi ja sakte thay un k abu ny halat main bahtri lany k liye gao chor ker shahar jany k faysla kia.shahar main aa ker un k abu ny mahnat mazdoori shuru ker di aur haalaat bater kerny k liye an dono bhaiyon ko bhi chote chote kamon per laga do.arshid ko ak store per mulazmat mili ab wo sara din store per rahta gahak ate rahte wo inhy matlubah chezein nikal ker deta copyian ,pancilein colors, is store per ziayda perhny likhny ki chezein thi.ak din is store per ak aanti aee  wo bachon ki kahaniyan likhti thee. arshid ko maloom huwa to is ny kaha meri kahani bhi likh dein, tumhain kaisi kahaniyan pasand hain? anti ny pucha. maa ki kahani likh dein. arshid ny kaha. meri ami foot ho chuki hain.arshid bola. anti ny kaha thek hai, anti ny kaha lakin ak baat mano gy? ji arshid ny kaha,tum ny kaha kah maa ki kahani likh dein is ka matlab hai kah tumain apni maa se bohat muhobat hai her maa ki khwahish hoti hai kah us ka beta parhy, agr tum school nahi ja skte to farig waqat main parh sakte ho, thori se koshish se aur kisi ki madad sy tumhain likhna parna aa jay ga is tarha tumhain kahaniyan parni aa jay gi achai aur burai ka pata chale ga. ku kah taleem hi achi zindgi guzarny ka tarika batati hai. ak parhe likhy insaan aur an par main bohat faraq hai bohat sy aisay bachon ki misalain mojood hain.jo chothi umar main school nahi ja sakte lakin jab inhain taleem ki ahmiyat ka ahsaas howa to unho ny parhna shuru ker dia,taleem k liye umar ki koi qeed nahi hoti arshid jis store main kaam kerta tha us k malikan bohat achy loog they anho ny arshid ka shooq dekh ker usy kaam k baad farig waqat main parhny ka moqa dia, arshid ny socha wo parhay likhay ga achi batain sekhey ga to yaqeenan us ki maa ki rooh khush ho gi. es tarha us ny parhna likhna shuru kia aur ahista ahista us ny taleem mukamil ker li.ab wo m.com ker chuka hai, ak factory main manger ki job ker raha hai aaj bhi wo us khatoon ko yaad kerta hai jis ny us ko naseehat ki aur baat us k dil main uter gai es tarha us ny taleem ka silsilah shuru kia aur aaj ak bawaqar zindgi guzar raha hai.

Dosto aj ki yeh kahani ap ko kesi lagi apni qemti ray ka ezhar comment main zaroor karein aur es kahani ko apne dosto ko sath bhi zaroor share karein ta ka wo bhi is se lutafandoz ho sakein aur agr ap ne abhi tak hmare channel ko subscribe nahi kia to jaldi se subscrube ker lein ham apne channel per islami waqiat,sabaq amooz kahaniyan,aqwal e zareen,paheliyan wagera ki videos uplode kerte hain jo k ap ko zaroor pasad ayin gi.Thanks for Watching




This post first appeared on Roshni Quotes, please read the originial post: here

Share the post

Choti Nasihat a Sabaq Amoz Kahani in Urdu Hindi | Life Changing Story

×

Subscribe to Roshni Quotes

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×