Get Even More Visitors To Your Blog, Upgrade To A Business Listing >>

Mai raha umar bhar juda khud se - Jaun-Elia poetry

میں رہا عمر بھر جدا خود سے
یاد میں خود کو عمر بھر آیا

سارے رشتے تباہ کر آیا
دل برباد اپنے گھر آیا

آخرش خون تھوکنے سے میاں
بات میں تیری کیا اثر آیا

تھا خبر میں زیاں دل و جاں کا
ہر طرف سے میں بے خبر آیا

اب یہاں ہوش میں کبھی اپنے
نہیں آؤں گا میں اگر آیا

میں رہا عمر بھر جدا خود سے
یاد میں خود کو عمر بھر آیا

وہ جو دل نام کا تھا ایک نفر
آج میں اس سے بھی مکر آیا

مدتوں بعد گھر گیا تھا میں
جاتے ہی میں وہاں سے ڈر آیا

جون ایلیا

Mai raha umar bhar juda khud se
Yaad mai khud ko umar bhar aaya

Saare rishte tabaah kar aaya
Dil-e-barbaad apne ghar aaya

Akhirash khoon thookne se miyaan
Baat mai teri kia asar aaya

Tha khabar ziyaan dil-o-jaan ka
Har taraf se mai be-khabar aaya

Ab yahan hosh mai kabhi apne
Nahi aunga mai agar aaya

Mai raha umar Bhar Juda Khud se
Yaad mai khud ko umar bhar aaya

Wo jo dil naam ka tha ek nafar
Aaj mai us se bhi mukar aaya

Muddaton baad ghar gya tha mai
Jaate hi mai wahan se dar aaya



This post first appeared on Urdu Aur Mai - Urdu Poetry, please read the originial post: here

Share the post

Mai raha umar bhar juda khud se - Jaun-Elia poetry

×

Subscribe to Urdu Aur Mai - Urdu Poetry

Get updates delivered right to your inbox!

Thank you for your subscription

×